Pooja
Guest
|
waqat se bane rishte, kayun pal mai bikhar jaate hai karty hai jo toot kar payaar, kayun wo hi jakham de jaate hai kabhi banaya apna, kabhi paraya kar diya paraya karne se pahle, kuch wo kayun nahi soch paate hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 03, 2006, 01:40:37 PM » |
|
Nice one Pooja !
Ye rishte dilon ke kyun bikher jaate hain Jo bikherna hi hai, to kyun ye bante hain Asaan hai kisi ke liye rishte tod ke jaana Aur kuch log ye zakhm liye jiye jaate hain !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #2 on: August 03, 2006, 01:47:04 PM » |
|
Nice Reply Talat.. Last line bahoot hi achi lagi.....
kabhi khud ko, kabhi aoro ka na samjh paaye dil ko tor kar jaane wale kayun na yah soch paaye baato ke jakham kabhi bhara nahi karte hai is dil mai, her ane jaane wale bhi nahi basa karte hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #3 on: August 03, 2006, 01:51:09 PM » |
|
Thanks Pooja...again a good one !
Dil me jo bas jaate hain wo ta-umr raha karte hain Jaane humse door jaa kar woh kaise jiya karte hain Humne to kai raatain kaati hain bhigo kar takiye Suna hai woh khushbaash zindagi basar karte hain !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #4 on: August 03, 2006, 02:02:49 PM » |
|
waah bahot khoob !!!
dekha jo aienna to khud ko begana paya yaad phir wahi guzra hua zamana aaya dekha jo jigar ko gour se humne dafatan to yaad tere teer ka woh nishana aaya !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 03, 2006, 02:04:56 PM » |
|
Aaj dekha unhe humne jo muddaton ke baad Beete lamhe aankhon ke saamne aane lage Wo kabhi har pal yaad kiya karte the hume Door gaye jabse, hume wo bhulane lage !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 03, 2006, 02:08:49 PM » |
|
Nazarien har lamha tera salaam dundti hai Bikhri hui yadoon ka sab saman dundti hai Na aayi raas khushi humey to Ashq hi sahi Ruuh ab meri waffa ka inaam dundti hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #7 on: August 03, 2006, 02:10:37 PM » |
|
Gaye door jabse zindagi adhoori hai Tum bin meri har khushi adhoori hai Laut ke aa kabhi ae door jaane waale Ab to lagta hai saansen adhoori hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #8 on: August 03, 2006, 02:14:27 PM » |
|
Rhey hamesha sath tere saye ban kar Base tere hathon mein rekhaye ban kar Kya yhi hai meri muhoobat ka inaam? Mile ho aaj humse praaye ban kar !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #9 on: August 03, 2006, 02:17:47 PM » |
|
Waqt ki berehem aandhi chali kuch is tarah wo jo saanson me base the paraye ho gaye Shikayat karen kisse zara bata ae zindagi Kaise dhoonde unhe, jo lamhe kho gaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #10 on: August 03, 2006, 02:29:58 PM » |
|
Chata tha jinko humne apni zindgi ki trah Mile hai aaj woh humse ajnabhi ki trah Sitam to yeh ke woh bhi na ho sake apne Kabool jinke kiye gum bhi khshi ki trah !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #11 on: August 03, 2006, 02:32:12 PM » |
|
Mile hain humko wo zamane ke baad Labon pe le kar magar kitne shikwe Humne kaate hain ye pal kaise akele Kaise jiye hain hum, koi unse kehde !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #12 on: August 03, 2006, 02:35:51 PM » |
|
Shikwa na koi shikayaat hai dil mein Laout aaye hai phir teri mehfil mein Dil hai ke jata hai tere hi kucche ko Kaun jane hai kitna dard Sahil mein !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #13 on: August 03, 2006, 02:38:19 PM » |
|
Ye Sahil jaane kyun udaas rehta hai Aksar ishaaron me kuch kehta hai Kabhi shor machaati hain uski lehren Kabhi uska sannata fizaaon me goonjta hai !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #14 on: August 03, 2006, 02:41:08 PM » |
|
Tam-na hai sahil ki samunder mein duub jane ki Jo kho chuki hai ik lehar uske wapis le aane ki Janta hai Sahil na hogi kabhi puri yeh tam-na Magar usko bhi hai adaat si har pal chot khane ki !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|