<<<<<<<Paraya>>>>>>

by Pooja on August 03, 2006, 01:37:16 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4848 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: August 03, 2006, 02:45:45 PM »
Sahil me utar kar le aayen hum teri khushi
Jo ho bas me to naam kar den tere zinadgi
Ek muskurahat ko teri saare dukh mil jaayen
Rahe khush sada tu, hum fana ho jaayen !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nahee tu paraya by anjaan dharkan in Shayri-E-Dard
hume hi paraya rakha..... by @kaash in Shayri for Dard -e- Judai
apna paraya by 19deepak94 in Miscellaneous Shayri
ek tu hi bas apna, jag sara paraya hai by ripan dev in Share: Poetry of Pain
Paraya by sanglikar in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: August 03, 2006, 02:51:37 PM »
Sagar ki bahoon mein mouje hai jintni
Sahil ke dil mein muhoobat hai utni
Shayad kismat mein hi uski hai dukh
Phir bhi Kisi se koi na shikyaat hai apni
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: August 03, 2006, 02:55:09 PM »
Mohabbat ko thukra ke yoon jaane waale
Ye bhi bata de bina tere kaise jiye hum
Aaj dekha tujhe to ye ashk beh nikle hain
Warna to see ke honton ko sada jiye hum !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #18 on: August 03, 2006, 03:00:48 PM »
Teri berukhi ne kiya hai yeh haal mera
Jehan mein har lahma hai khyaal tera
chodna hi tha to pyaar kiya kyun tumne
yahi hai tumse akhiri sawaal mera !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: August 03, 2006, 03:04:14 PM »
Tera har zakhm qabool hai hume
Bewafa magar hume naam na de
Jeena aasaan na tha juda ho ke tujhse
Jiye hain hum teri chahat ke sahare !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #20 on: August 03, 2006, 03:08:15 PM »
Bewaffa tum nahi yeh kismat hai meri
Muhoobat shayaad hume raas na aayi
Na tera hai koi kasoor mere sanam
Mere hi hisse mein pyaas hai aayi !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: August 03, 2006, 03:11:43 PM »
Sahil ke kinaare hum rahe, aur pyaase
Manzil ko dekha magar phir bhi tarse
Jaane kya soch Usne taqdeer banayi
Paas ho kar bhi hum tujhse juda rahe !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #22 on: August 03, 2006, 03:17:45 PM »
Hai sehra ki guzarish yahi rab se
Ke kabhi toot ke badal barse
Hota hai yun bhi kabhi ya rab
Sahil bhi ik boond pani ko tarse !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: August 03, 2006, 03:19:30 PM »
Hume manzoor tha jalte sahra mai chalna
Jo tera meherbaan saaya saath main hota
Har dard seh jaate hum hanste hanste
Jo naseeb main humare tera pyar hota !
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #24 on: August 03, 2006, 04:44:03 PM »
Quote from: "Pooja"
waqat se bane rishte, kayun pal mai bikhar jaate hai
karty hai jo toot kar payaar, kayun wo hi jakham de jaate hai
kabhi banaya apna, kabhi paraya kar diya
paraya karne se pahle, kuch wo kayun nahi soch paate hai...


door karke khud se
kehte ho muskurao

andhere mein hath chord kar
kehte ho jagmagao

meri hassi tum
meri roshni tum

phir kaise sochte ho
tere bina main jee jaun...Huh?


Talat n Humtum aap dono ki har post lajawab hai ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: August 13, 2006, 11:59:30 PM »
wah wah wah bahoot khoob HumTum and Talat.. kamal ka likha hai app dono ne...

Good post Jeet!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: February 20, 2009, 05:38:23 PM »
waqat se bane rishte
waqat ke sath toot gaye
waqat na jaane lega kitna waqat
bharne ko zakham,
jo waqat ke rishto se
waqat ke sath
zindagi se jurr gaye!!
Logged
smardia
Guest
«Reply #27 on: February 20, 2009, 06:08:31 PM »
"karty hai jo toot kar payaar,".....Poojaji badi achhee rachna hai aapki... Applause Applause Applause
PER YE JUMLA JARA SAMAJH NAHI AAYA."TOOT KAR PYAAR KAISE.....
Kartey hai jo atoot pyaar....jayada theek rahega...

waqat se bane rishte, kayun pal mai bikhar jaate hai
karty hai jo toot kar payaar, kayun wo hi jakham de jaate hai
kabhi banaya apna, kabhi paraya kar diya
paraya karne se pahle, kuch wo kayun nahi soch paate hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: February 20, 2009, 06:13:11 PM »
"karty hai jo toot kar payaar,".....Poojaji badi achhee rachna hai aapki... Applause Applause Applause
PER YE JUMLA JARA SAMAJH NAHI AAYA."TOOT KAR PYAAR KAISE.....
Kartey hai jo atoot pyaar....jayada theek rahega...


Bahoot sahi kaha apne smardia ji.. toot kar ki jagah atoot bahoot he acha shabd hai.


Mujhe behad khushi hui hai ki apne meri itani sadharn si tukbandi ko apna waqat diya aor mujhe kuch sikhne ka moka. Agge bhi yahi umeend rakhati hu ki app issi tarah mujhe sikhne ka avsar dete rahege. Bahoot bahoot shukaria!!!

Toot kar shayad Punjabi main kahte hai aor atoot hindi main!!

Main Hindi, Punjabi, Urdu aor kuch had tak telgu, tamil, english mahol main pal kar badi hue hu.. so meri bhasha kuch mila jula kar Khichari bhasha rah gai hai  DOH DOH

Logged
smardia
Guest
«Reply #29 on: February 20, 2009, 06:43:23 PM »
Poojaji aapne tou bahut sare shabd likh diye tariff mai...dhanyavaad
Mujhe tou Panjabi ya koi aur bhasha ka itna gyan nahi hain...
Bus english aur hindi....AApko tou chhen chhen bhashaon ka tajurba hai...wakaii kabile tariff hai...
Bahoot sahi kaha apne smardia ji.. toot kar ki jagah atoot bahoot he acha shabd hai.


Mujhe behad khushi hui hai ki apne meri itani sadharn si tukbandi ko apna waqat diya aor mujhe kuch sikhne ka moka. Agge bhi yahi umeend rakhati hu ki app issi tarah mujhe sikhne ka avsar dete rahege. Bahoot bahoot shukaria!!!

Toot kar shayad Punjabi main kahte hai aor atoot hindi main!!

Main Hindi, Punjabi, Urdu aor kuch had tak telgu, tamil, english mahol main pal kar badi hue hu.. so meri bhasha kuch mila jula kar Khichari bhasha rah gai hai  DOH DOH


Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:48:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer