PAS AANE KA HAQ TO DO

by Sayyid Randeri on March 13, 2008, 05:01:53 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 3485 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: March 13, 2008, 11:27:26 PM »

Mera daaman hai khaali, mere hathon main kuch nahin
Dhoondte ho kya in main, meri aankhon main kuch nahin

Koi khayal ab nahin, na koi hume ab hai aarzoo
Taabeer kya dhoonden, mere khwaabon main kuch nahin

Na silsila sawaalon ka, na jawabon ka intezaar
Khamosh hain ye lab, meri baaton main kuch nahin

Ek khala hai zindagi, aate ho mere paas kyun
Din hain veeraane, meri raaton main kuch nahin

 Mil jaayenge tumhe aur naye raaston ke nishaan
Na karavan, na manzilain, meri raahon main kuch nahin
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ek tere aane se. . . . . by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
TERE AANE SAE by vin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aapke Aane Se by ehsaas chahat ka in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ke dosti pe apni gumaan aane laga mujhko. by shad in Share: Poetry of Pain
Roja
Guest
«Reply #16 on: March 14, 2008, 01:40:24 AM »

Mera daaman hai khaali, mere hathon main kuch nahin
Dhoondte ho kya in main, meri aankhon main kuch nahin

Koi khayal ab nahin, na koi hume ab hai aarzoo
Taabeer kya dhoonden, mere khwaabon main kuch nahin

Na silsila sawaalon ka, na jawabon ka intezaar
Khamosh hain ye lab, meri baaton main kuch nahin

Ek khala hai zindagi, kyun aate ho mere paas
Din hain veeraan, meri raaton main kuch nahin

 Mil jaayenge tumhe aur naye raaston ke nishaan
Na karavan, na manzilain, meri raahon main kuch nahin


Very good... Bahut accha likha hai aapne Talat siso.
Daad kabul farmayiyega
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: March 14, 2008, 03:34:26 PM »
Thanks a lot Roja Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #18 on: March 14, 2008, 05:06:46 PM »

Mera daaman hai khaali, mere hathon main kuch nahin
Dhoondte ho kya in main, meri aankhon main kuch nahin

Koi khayal ab nahin, na koi hume ab hai aarzoo
Taabeer kya dhoonden, mere khwaabon main kuch nahin

Na silsila sawaalon ka, na jawabon ka intezaar
Khamosh hain ye lab, meri baaton main kuch nahin

Ek khala hai zindagi, aate ho mere paas kyun
Din hain veeraane, meri raaton main kuch nahin

 Mil jaayenge tumhe aur naye raaston ke nishaan
Na karavan, na manzilain, meri raahon main kuch nahin


SUBHAN-ALLAH!!! Talat ji mene to in safhat me ek kamzor si ibteda ki thi magar aap ne to dard ki inteha kardi, aesa laga mano

-: KAGAZ PE RAKHDIYA HE KALEJA NIKAL KE :-

Beshak ye fan seekhne or sikhane ka nahi balke khuda ki den he "Ta-n-bakhshad ke khuda-e-bakhshinda" So aap ka daaman khaali nahi khuda ki aesi bakh'shishon se bhra he, ummid karta hun aainda bhi isi trha ye bakh'shish khuda ke bandon me taqseem hoti rahegi.

+++++++++++
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: March 15, 2008, 11:54:13 AM »
Bohot bohot shukriya Sayyid..humne to bas yunhi jo dil main aaya wo likh diya, pas aapne ne maamooli nahin bohot behtareen likha hai...!!


Ek aur koshish aapki tehreer ki hui line pe....topic se kuch alag ho gaya hai, aur kisi particular theme ko follow nahin kiya, sort of free style !




Wo khafa ho gaya tha meri khamoshiyon pe
Main dhoond na paayi jawab, uske sawal ke

Shikwa nahin lekin yunhi khyaal aata hai
RAB bhool gaya mitti ke putlon main dhaal ke ?

Raaste main ek ajnabi ne haal mera poocha
Chal diya phir mujhko hairat main daal ke

Deewar hai nazuk, kachchi hai zameen iski
Dil de rahe hain lekin, rakhna sambhal ke

Mere ash'aar ko chand lafz na samajhna,
Kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal ke
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: March 15, 2008, 12:15:57 PM »
KYA BAAT HAI!!! BAHUT KHOOOB SAYYID SAAB, POOJAJI.. AUR TALAT..
SAB NE EK SE BADHKAR EK LIKHA HAI YAHAN..BAHUT ACHE.. Applause Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #21 on: March 15, 2008, 08:19:51 PM »
Bohot bohot shukriya Sayyid..humne to bas yunhi jo dil main aaya wo likh diya, pas aapne ne maamooli nahin bohot behtareen likha hai...!!


Ek aur koshish aapki tehreer ki hui line pe....topic se kuch alag ho gaya hai, aur kisi particular theme ko follow nahin kiya, sort of free style !




Wo khafa ho gaya tha meri khamoshiyon pe
Main dhoond na paayi jawab, uske sawal ke

Shikwa nahin lekin yunhi khyaal aata hai
RAB bhool gaya mitti ke putlon main dhaal ke ?

Raaste main ek ajnabi ne haal mera poocha
Chal diya phir mujhko hairat main daal ke

Deewar hai nazuk, kachchi hai zameen iski
Dil de rahe hain lekin, rakhna sambhal ke

Mere ash'aar ko chand lafz na samajhna,
Kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal ke

Talat ji! aadab!
Aap ke ash'ar or andaz-e-byan ki tarif karna chahta hun, magar jo alfaz zehen me aate hen wo is sadah byani ke aage haqeer nazar aate hen, inhe'n padh kar WAH ke sath ek AAH bhi nikalti he, masha-allah ye dil chhoolene wale hen.

++++++++
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #22 on: March 15, 2008, 08:22:32 PM »
KYA BAAT HAI!!! BAHUT KHOOOB SAYYID SAAB, POOJAJI.. AUR TALAT..
SAB NE EK SE BADHKAR EK LIKHA HAI YAHAN..BAHUT ACHE.. Applause Applause

khwaish ji !! me aap ka mashkoor hun, aap ne pasand farmaya, ye aap ki inayat he.
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: March 17, 2008, 03:32:55 PM »
Thank You Khwaish....

Saayid, aapki zarra nawazi hai, hauslaafzai ka shukriya...Bohot hi dard bhara kalam aapne likha....daad den magar kaise ki taaliyan bajane ka bhi hausla nahin.....




Dil ke zakhm usne humko jo dikhaye,
Do aansoo chupkse aankho se dhalak aaye

Raah-e-wafa ki dagar hoti hai pathreeli si kyun
Chala hai jo bhi, pairon main aable paaye

Gardishen sitaaron ki ya taqderon ka khel
Manzil-e-Ishq se sab aaye hain thukraaye

Shab-e-ghum ki taarikiyaan hoti hain kam nahin
Na jaane kitne deewano ne apne dil hain jalaye !!


Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 17, 2008, 03:35:47 PM »
bahoot khoob sayyid and Talat
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #25 on: March 17, 2008, 09:08:05 PM »
Thank You Khwaish....

Saayid, aapki zarra nawazi hai, hauslaafzai ka shukriya...Bohot hi dard bhara kalam aapne likha....daad den magar kaise ki taaliyan bajane ka bhi hausla nahin.....




Dil ke zakhm usne humko jo dikhaye,
Do aansoo chupkse aankho se dhalak aaye

Raah-e-wafa ki dagar hoti hai pathreeli si kyun
Chala hai jo bhi, pairon main aable paaye

Gardishen sitaaron ki ya taqderon ka khel
Manzil-e-Ishq se sab aaye hain thukraaye

Shab-e-ghum ki taarikiyaan hoti hain kam nahin
Na jaane kitne deewano ne apne dil hain jalaye !!




Wah talat ji... bohot khoob
swal ka jwab or jwab ka phir jwab.. isse hmare fann or klaam ko faaida hasil hota he, or traqqi hoti he.

++++++
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: March 17, 2008, 09:10:48 PM »
nice lines sayyid  Clapping Smiley
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #27 on: March 17, 2008, 09:15:27 PM »
bahoot khoob sayyid and Talat

Shukriya Pooja ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: March 17, 2008, 09:17:33 PM »
dil se kahe:
agar ulfat na teri un nakam hoti
kaise phir anjam-e-mulakaat hoti..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #29 on: March 17, 2008, 09:40:53 PM »
dil se kahe:
agar ulfat na teri un nakam hoti
kaise phir anjam-e-mulakaat hoti..

+++++++++++
Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:16:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer