pathar

by Pooja on September 08, 2004, 03:23:17 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Author  (Read 7434 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #75 on: October 20, 2006, 07:47:49 AM »
very  nice  Pooja sis......Arun  BHai...... Bhondu..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PATHAR KA KHUDA (sunny_bewafa) by sunny_bewafa in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dard Ke Pathar... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Raaj Pathar ka! by nirbhay in Miscellaneous Shayri
pathar by saahill in Shayeri for Dard -e- Bewafai
pathar by saahill in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #76 on: October 23, 2006, 06:01:57 PM »
tHANKS WAHEED
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #77 on: October 24, 2006, 09:01:39 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot sahi kaha dost kavi ji......

bhool gaye jo hume, wo ajj bhi yaad atte hai
dhoka bahoot sahe unke, apne dhoko se ab ghabraate hai
dil kahna hai na ayye wo wapis, ab aor zulam unke sahe nahi jaate hai
phir kayun yaandon ke ghare mai, dard hum sahe jaate hai


bahut khoob POOJA JI.......

Kuch lamhon ke liye hi sahi, par milne ka wada to kar lo,
bhool gaye ho mana tum humko, yaad ek baar to kar lo.......

zulm maine bhi sahe hain, mohabbat-e-safar me sanam,
use mohabbat ki khaatir aaj dilbar, ek mulakaat to kar lo.......!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #78 on: October 24, 2006, 09:44:48 AM »
maanaa ke teri nazaron pe ab sar nahi koi
kya teri aastin mein abh Khanjar nahi koi

majabooriyon ne ghar se nikalane na diyaa
duniyaa samajh rahi hai mera ghar nahi koi

ab kyaa karunga main naye suraj ki roshani
jab dekhane ke vaaste manzar raha nahi koi

dil ho rahaa hai der se Khaamosh jheel saa
kya dosto apke hath mein bhi pathar nahi koi (nm)
Logged
angel4u
Guest
«Reply #79 on: October 24, 2006, 05:19:14 PM »
very ncie all...


Abhi Wo Dard Baqi Hai,
Agar Waqt MarhaM Hai,
Magar Kuch Waqt Lagta Hia,
Kisiko Bhool Jane Mein
Dobara Dil Basane Mein,
Abhi Kuch Waqt Lagna Hia,
Abhi Wo Dard Baaqi Hai,

Main Kaise Nayi Ulfat Mein,
Apni Zaat Ko GuM Kar Dun,
Ke Mere JisM-O-Wajood Mein,
Abi Wo Farq Baqi Hia,
Abhi Us Shakhs Ki Mujh Par Nigaah Baaqi Hai,
Abhi To Ishq Ke Raaston Ki,
Mujh Par Gard Baqi Hia,
Abhi Wo Dard Baaqi Hia...
* * * * *
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: August 25, 2007, 06:05:17 AM »
bahoot khoob Vicky ji, naya daur and Angle!!!

kahti hu usko pathar, jo mujhko pathar bana gaya
kaya thi main, kaya se kaya mujhko bana gaya

kah jata hai koi bhi kuch, chup yah juban rahti hai
her ek armaan ko kahin wo dafna gaya

kahti hu usko pathar, jo mujhko pathar bana gaya
kaya thi main, kaya se kaya mujhko bana gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #81 on: August 27, 2007, 02:02:09 AM »
wah wah wah kaya baat hai Majid ji, jitani tareef karu , utani hi kam hai... bahoot, bahoot hi acha likha hai apne... app hi ki kavita pard kar jo man mai ayya wo hi likh rahi hu...

Dard ki kimat dekhein to kuch bhi nahi
Sochein to sari zindagi, le jaata hai

Kisi ke liye ek shabd hai yah shayd
Kisi ki rooh mai sama jaata hai

Jeet kaise aor haar kaise jab dard mil jaaye
Her shah se uncha phir yah uth jaata hai

Kisi ka kuch palo ka kheil yaha dunia main
Koi umarbhar ke liye ansuo main doob jaata hai

Dard ki kimat dekhein to kuch bhi nahi
Sochein to sari zindagi, le jaata hai.....
Logged
jay091081
Guest
«Reply #82 on: June 18, 2008, 11:48:27 AM »
VERY NICE SHYARI(47)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #83 on: June 18, 2008, 02:48:52 PM »
bahoot khoob Shihab !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #84 on: June 24, 2008, 06:38:57 PM »
Shihab jee kanjoosi ki baat nahi.. bas dil mai kuch atta hi nahi, to kaya likhu..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #85 on: June 26, 2008, 02:31:36 PM »
Waqat ne kab pathar bana diya pata he na chala
Her dard ka lafaz, be-arth laga, pata he na chala

Likh likh haari kalam, ro ro ashaq muk chale
Hum hai wahin, halat wahin, waqat ka pata he n achala

Wo chup, main chup, kab cha gaya sannatta,pata he na chala
Ek umeend per Kab, kaise guzar gai yah zindagi, pata he na chala

Waqat ne kab pathar bana diya pata he na chala
Her dard ka lafaz, be-arth laga, pata he na chala!!!
Logged
sandip4u
Guest
«Reply #86 on: June 27, 2008, 06:16:07 AM »
zameen hi nahi asmman bhi veerna lagta hai
jitna bhi mai sochati hu, utna hi tanha yah ghar lagta hai
Tum kaya chale gai, yah sab rangiyaan buri lagti hai
jeevan ki yah sanse andhoori lagti hai
tumsa dour hou too kaya huwa
        waqat beta lunga tare yaad ka sahare
        too nahi to kaya huwa
        tare tabeer hai paas hamara
Logged
Pooja
Guest
«Reply #87 on: June 27, 2008, 07:42:45 PM »
tumsa dour hou too kaya huwa
        waqat beta lunga tare yaad ka sahare
        too nahi to kaya huwa
        tare tabeer hai paas hamara


Good one sandip!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: June 27, 2008, 07:43:14 PM »
wah kya kehne pooja ji bohat khoob
aur shukariya ji humari ziid ko pura karne ke liye hmhmhm
good job
kuch bana to main jarur likh dunga....

Thanks Shihab jee, Intzaar rahega apko padne ka
Logged
Pooja
Guest
«Reply #89 on: June 30, 2008, 09:07:41 PM »
wah bahoot khob shihab jee... jalad he kuch likhne ki koshish hogi!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:30:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer