PATHER .........

by coolhewk on October 18, 2004, 10:55:17 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1058 times)
coolhewk
Guest
Thukraate huwe aaghe baarhe zaat ke patthar
Tukraaye buhat hum se mafadaat ke patthar
Yeh shehr-e-sitam chain se rehne nahn detaa
Har waqt baraste raahe aafaat ke patthar

Ik shuks ki taqdeer men pholon ki hai barish
Auron ke muqaddar men halaat ke patthar
Hum kis se karen baat nazar aate hen humko
Har shuks ke haathon men mafadaat ke patthar

Aei dil! Yeh raahe yaad ke khidmaat ke badle
Har rukh se chale aayege din raat ke pattar
Chun chun ke othaaletaa hon pholon ki tarah men
Jab bhi mujhey laghte hen teree baat ke pattar

Khud ko na bhulaa itnaa bhi zalin-e-imroz
Lagh jayenge ik roz makafat ke pattahr
Swaleh kaaro bardaasht hai inaam-e-zaman
Lamhaat ke kankar kabhee din raat ke patthar

Aye khuda ret ke sehra ko samandar karde,
Ya chalktee huye aankhon ko bhii patthar karde
Aur kuch bhi mujhe darkaar nahiin hai lekin
Meri chaadar mere pairon ke barabar karde..................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil pather ho gya.... by Amarjeet Kaur in Shayri-E-Dard
Pather(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pather Kya Loha Bhi Pigla De by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
Pather sa(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
pather dil pighal gaya by jeet jainam in Shayri for Khumar -e- Ishq
nishita
Guest
«Reply #1 on: October 18, 2004, 11:22:37 AM »
nice coolhewk
Logged
coolhewk
Guest
«Reply #2 on: October 20, 2004, 11:18:12 AM »
thnx Nishita ......... Usual Smile

Mohabbat ka gawah rahein hain patthar
Haqeeqath- e- taj bhi to hain patthar
Duniya ka tohfa majnu ko patthar
Ishq mein khoday farhad ney bhi patthar
Zubaan - e- ishq boltein hain patthar
Mohabbat ke shaan dekhatein hain patthar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 20, 2004, 05:46:56 PM »
wah!!! coolhewk ji bahoot khoob likha hai apne!!!!
Logged
coolhewk
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2004, 11:00:48 AM »
shukriya  pooja  Usual Smile
Logged
coolhewk
Guest
«Reply #5 on: October 22, 2004, 11:07:15 AM »
Patthar ke khudaa patthar ke sanam
Patthar ke hi insaan paaye hain
Tum shahar-e-mohabbat kahate ho
Ham jaan bachchaakar aaye hain

But-khaanaa samajhte ho jisko
Puuchcho na vahaan kyaa haalat hai
Ham log vaheen se lauTe hain
Bas shukr karo lauT aaye hain

Ham sonch rahe hain muddat se
Ab umr guzaaren bhi to kahaan
Sehra mein khushi ke phuul nahin
Shehron mein gamon ke saaye hain

Hoton pe tabassum halkaa saa
Aankhon mein nami si hai 'Fakeer'
Ham ahl-e-mohabbat par aksar
Aise bhi zamaane aaye hain
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:40:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer