Patthar Samait Loon,.

by Jaanasheen on March 17, 2008, 12:08:32 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 833 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Waqt-e-Safar Jareeb Hai Bistar Samet Loon,.
Bikhraa Hua Hayaat Ka Daftar Samait Loon,.

Phir Jaane Hum Milein Na Milein Ek Zara Ruko,.
Main Dil Ke Aine Mein ye Manzar Samait Loon,.

Gairon Ne Jo Salook Kiye Unka Kya Gilaa,.
Phenke Hain Doston Ne Jo Patthar Samait Loon,.

Kal Jaane kaise Honge Khaan Honge, Ghar Ke Log,.
Aankhon Mein Ek Baar Bhara Ghar Samait Loon,.

Sail-e-Nazar Bhi Gham Ki Tamaazat SE Khushk Ho,.
Wo Pyaas Hai Mile To Samander Samait Loon,.

"Ajmal" Bhadak rahi Hai Zamaane Mein Jitni Aag,.
Jee Chahta Hai Seene Ke andar samait Loon,.

_______________________Ajmal Ajmali-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh Bebakiyaan kar loon.... by sharmaarunkumar in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Aakhri martba dekh loon use to mar jaaun fir sukoon se, by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kar loon by humara in Miscellaneous Shayri
~~ KAR LOON ~~ by ALONE BAD in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #1 on: March 17, 2008, 01:54:41 PM »
wah wonderful sharing Azeem
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: March 17, 2008, 02:04:26 PM »


Kal Jaane kaise Honge Khaan Honge, Ghar Ke Log,.
Aankhon Mein Ek Baar Bhara Ghar Samait Loon,.


_______________________Ajmal Ajmali-


Bohot khoobsurat sharing ki hai Azeem....Is sher ne to jaan nikaal di ...ghar ki yaad aa gayi  sad5 sad5
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 17, 2008, 06:12:45 PM »
BAHUT KHOOOOB LIKHA HAI AJMAL SAAB NE.... Applause Applause
THANX FOR SHARING A WONDERFUL PIECE OF POETRY AZEEM...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: March 18, 2008, 06:52:50 AM »
Thanks for sharing Azeem bro ji bohat achi peom hai.. Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 19, 2008, 09:36:28 AM »
Shukriya Roja Ji,.
Talat Ji,.
Khwaish Ji,.
Honey Sis,.

Waise Ye Meri Sabse Fav8 Shayari Hai,.
Jisme Zindagi Ke Bahoot Mayne Hain,.
Khushi Hui Ke aapko Bhi Ye Pasaan Aai,. Giggle
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 19, 2008, 09:47:40 AM »
Is Se Pehle Ke Bewafaa Hojaayein,.
Kyun Na Aye Dost Hum Judaa Hojaayein,.

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Hai Patthar,.
Hum Bhi Kal Kya Se Kyaa Hojaayein,.

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,.
Aur Kahin Aur Mubtala Hojaayein,.

Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,.
Khaak Hojaayein Kemiyaa Hojaayein,.

Ab Ke Agar Tu Mile To Hum Tujhse Se,
Aise Liptein Teri Qabaa Hojaayein,.

Bandagi Humne Chord Di Hai "Faraaz",.
Kya Karein Log Jab Khudaa Hojaayein,.

_____________________-Ahmed Faraaz- Applause

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:53:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer