Payaar ka lafz, Nafarat sa mujko lagta hai!!!

by Pooja on March 16, 2006, 04:38:20 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
Print
Author  (Read 8668 times)
HumTum is back
Guest
«Reply #30 on: March 17, 2006, 04:12:29 PM »
Quote from: "Pooja"
wah wah wah humtum@lajawaab.com @ wah wah wah!!

bahoot khoob bhondu ji!!!

Khuda ke pass hi ab to jaana hai
duniya mai bacha na koi aor thikana hai
kis tarah ke duniya is khuda ne banai hai
Pyaar se ho gai nafrat, baat itani hi samjh mai aai hai!!

Itni waah waah .....   chaliyee aap ko bhi wah waah waah !!

Na naam lo iss namuraad lafz ka mere samne
mujhe phir us kafir ki yeh lafz yaad dilata hai
mein bhull jana chahat hoon usko iss baras
lekin zahen mere ussi ke tasuur mein kho jata hai !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PAYAAR by Amit Janglan in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
PAYAAR by SAMA in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohabbat - bas ek lafz sa lagta hai by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Nafarat na kare hamse....mann by mann.mann in Miscellaneous Shayri
Payaar Moran Di Nahin, Batoran Di Cheese Eh.... by surindarn in Miscellaneous Poetry in Punjabi
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #31 on: March 17, 2006, 04:41:37 PM »
Quote from: "Pooja"

Khuda ke pass hi ab to jaana hai
duniya mai bacha na koi aor thikana hai
kis tarah ke duniya is khuda ne banai hai
Pyaar se ho gai nafrat, baat itani hi samjh mai aai hai!!

pooja Ji itni nafrat kyn hai pyaar se,

Nafrat ko bhi pyaar se pyaara bana denge,
duniya mein milegi na jagah to dil mein basa lenge
pyaar bhi to khuda ki hi den hai
iske liye to khud wo bhi eahsaan ada denge.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: March 17, 2006, 04:47:47 PM »
sahi khana apne HumTum ji!!!

Jis naam ko sunkar shrmaati thi, ajj wo lahoo ke ansuu rulata hai
Jiske anne se dharakati thi dharkan, ajj wo khamosh hua jaata hai
jiski lambi umar ki karti thi dua, ajj sirf ankho se ashaq bahty hai
e-khuda, tujh per bhi to kiya bharosa,
phir kayun din raaat hum yah dukh sahty hai!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #33 on: March 17, 2006, 04:48:37 PM »
Quote from: "HumTum is back"

Na naam lo iss namuraad lafz ka mere samne
mujhe phir us kafir ki yeh lafz yaad dilata hai
mein bhull jana chahat hoon usko iss baras
lekin zahen mere ussi ke tasuur mein kho jata hai !!

bhulne ki kosis mein usay her pal yaad kertein hai aap
us kaafir ki yadoon ko man mein basaye firtein hai aap
chahte hai us kafir  ko bepanah iskadar
her pal anjaani se aag mein jaltein hai aap.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #34 on: March 17, 2006, 04:54:50 PM »
Quote from: "Pooja"

Jis naam ko sunkar shrmaati thi, ajj wo lahoo ke ansuu rulata hai
Jiske anne se dharakati thi dharkan, ajj wo khamosh hua jaata hai
jiski lambi umar ki karti thi dua, ajj sirf ankho se ashaq bahty hai
e-khuda, tujh per bhi to kiya bharosa,
phir kayun din raaat hum yah dukh sahty hai!!

aray pooja ji itna zaada gum bhara hai aapke ander !!

Kyn hua wo aaapki mohabbat se itna door,
aap usko paa naa saki ho gayi itna majboor
rakhogi khuda per bharosha to chah baaki rakhega,
usko paane ki koi nayi raah baki rakhega.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #35 on: March 17, 2006, 04:59:23 PM »
Quote from: "Pooja"

Jis naam ko sunkar shrmaati thi, ajj wo lahoo ke ansuu rulata hai
Jiske anne se dharakati thi dharkan, ajj wo khamosh hua jaata hai
jiski lambi umar ki karti thi dua, ajj sirf ankho se ashaq bahty hai
e-khuda, tujh per bhi to kiya bharosa,
phir kayun din raaat hum yah dukh sahty hai!!

Aap ki sharam dekhker hum to sharamsaar hue.
Aap ke kiye pyaar ke hum talabgaar hue.
aap ko de wo sari khushiyaan chahey humari muskaan le
aapke sare dukh humein de de aapko koi dukh naa de.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: March 17, 2006, 05:13:24 PM »
bahoot khoob bhondu and thanks !!!

kaise kahin ab kaya se kaya ho gaya
na ayya kuch samjh, aor rasta juda ho gaya
na bola wo kuch, na hi humne pucha kuch
wo chal diya khamosh, tanha yah jeevan ho gaya!!!

-------

Humari sharm se app kayun sharmsaar hui jaaty hai
yah dil ab shayd dharkna hi bhool gaya
khushiyan hai kaya, inki pahchan hi bhool gaya
ab to her bar hansi ki jagah ansoo hi atty hai
aor duniya kahty hai, waqat ke sath sabhi jakham bhar jaaty hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #37 on: March 17, 2006, 05:53:03 PM »

wonderfull. Pooja sis......  bhondu....and all...............

Ai  Shama teri  umar  hai  sirf aaj ki raat  
hanske  is gujaar  ya roke  ise  gujaar..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: March 17, 2006, 05:56:35 PM »
wah kaya lines likhi hai Waheed bhai bahoot hi khoob!!

Shama ki kismat dekh a parwane
ek raat mili aor sari raat jali!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #39 on: March 17, 2006, 06:22:58 PM »
thanx  alot  sis..............   :lol:  aap ne bhi bahot  acchi reply  kiya hai....

Shama  ko  pata hai  apni  kismat  ka  raaj
isiliye woh kahti hai mujhe bujhne na poori raat
kya pata hum  na  mile tumhein phir  kisi  aur raat
hum to  roshan  rahenge  tumhare saath poori raat
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: March 17, 2006, 06:27:59 PM »
wah kay abaat hai... purane din yaad dila diye ajj apne!!!

Shama per na jaane kitne parwaane mar gaye
hum to shama ki kismat se dar gaye
khud jali aor jalati rahi sabko
dekar roshini kabhi to kabhi mitati rahi sabko!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #41 on: March 17, 2006, 06:39:22 PM »
hahaha.  sis....  Purna din  ki  yaad mujhe  bhi aa gaye......  aap  ki reply  ne  jaga diya....  :lol:

Parwaane  jalkar  bhi  humesha aabaad rahte hain
dard  paate hain  phir  bhi aah  nahi karte hian
shama ke saath mar mitne mein unhein maza aata hai
mit jaane  per  log  unhen  parwane ka  naam dete hain..........
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #42 on: March 19, 2006, 03:20:21 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"

Shama  ko  pata hai  apni  kismat  ka  raaj
isiliye woh kahti hai mujhe bujhne na poori raat
kya pata hum  na  mile tumhein phir  kisi  aur raat
hum to  roshan  rahenge  tumhare saath poori raat

waheed bhai bahut khub kaha hai aapne....

Humien bhi pata hai shaama ki kismat ka raaz,
khud aakeli jalti hai deta nhi koi bhi saath.
ab humnein bhi soocha hai thameinge shama ka haath,
jalte rahenge shama ki tarah kisi ki yaad mein saari raat.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #43 on: March 19, 2006, 04:19:38 AM »
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "waheed_rose2004"

Shama  ko  pata hai  apni  kismat  ka  raaj
isiliye woh kahti hai mujhe bujhne na poori raat
kya pata hum  na  mile tumhein phir  kisi  aur raat
hum to  roshan  rahenge  tumhare saath poori raat

waheed bhai bahut khub kaha hai aapne....

Humien bhi pata hai shaama ki kismat ka raaz,
khud aakeli jalti hai deta nhi koi bhi saath.
ab humnein bhi soocha hai thameinge shama ka haath,
jalte rahenge shama ki tarah kisi ki yaad mein saari raat.

Raaz toh shama ne ab bhi chupa rakha hai.......
Parwaane ko dekho toh sahi kiss kada jala rakha hai......
Jal jaoge tum bhi parwane ki tarah thaam ke uska haath......
Phir na kehna ke humne Mahobbat me sab kuch lutta rakha hai.......!!!!!!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006

View Profile
«Reply #44 on: March 19, 2006, 05:07:09 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"

Raaz toh shama ne ab bhi chupa rakha hai.......
Parwaane ko dekho toh sahi kiss kada jala rakha hai......
Jal jaoge tum bhi parwane ki tarah thaam ke uska haath......
Phir na kehna ke humne Mahobbat me sab kuch lutta rakha hai.......!!!!!!!

Bewafaai ka jimma aapne sar jhoot leti hai,
ye mohabbat hi hai jo sab kuch deti hai ya looth leti hai.
duniya mein aapne pyaar se pyaara koi sanam nhi hoga
yadi pyaar ke haatho "bhondu" mare to koi gum nhi hoga.
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:24:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer