Pee Jaaun Tere Ranj-o-Gham....

by Aryaan on January 26, 2005, 09:27:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1332 times)
Aryaan
Guest
Pee jaaun tere ranj-o-gham, rahe na koi pyas baqi
Dum tootey aghosh mein teri, aarzoo hai yehi khaas baqi

Yaadon ka kafan odh ke, ho jaaun jahaan se rukhsat
Dharkanein tere naam ki hon, dil bhi rahe na paas baqi

Chupa lena meri maut ka gham, hothon ke tabbassum mein
Varna kya doge, is zamaane ko, wafaa mein hisaab baqi

Jhuk ke sajda bhi na kar paye, agar, janazey ko mere
Dekh lena nazar bhar ke, toote na dil ki aas baaqi

Qasid ne sunayi jab, mere marr jaane ki khabar
Rang hua zard , rahe na hosh-o-hawaas baqi!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TUM APNA RANJ O GHAM MUJHE DE DO by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Bas Tere Gham Ki Aarzoo Hai Mujhe! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
...~~ranj-o-gham~~... by HumTum in Shayri-E-Dard
Gham rakh laye tere.....! by chahal_sanjeev in Love Poetry in Punjabi
Tere Gham Se Pyar Hai..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2005, 10:25:24 PM »
wah!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: January 27, 2005, 12:15:03 AM »
Thanx Pooja..Usual Smile
Logged
Meena
Guest
«Reply #3 on: January 27, 2005, 04:59:39 PM »
"Chupa lena meri maut ka gham, hothon ke tabbassum mein
Varna kya doge, is zamaane ko, wafaa mein hisaab baqi

Jhuk ke sajda bhi na kar paye, agar, janazey ko mere
Dekh lena nazar bhar ke, toote na dil ki aas baaqi "


beautiful linesssssss!!!!!!!!! really very gud!!!!!!!!! love it!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: January 27, 2005, 05:50:40 PM »
shukriya Meena...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: January 29, 2005, 01:00:12 AM »
Yeh soch kar palkon mein chupa leta hoon aansoo
Gir kar yeh meri aankh se ho jayein na be-ghar  
Logged
jalpari
Guest
«Reply #6 on: February 01, 2005, 07:51:43 PM »
Quote from: "Aryaan"
Pee jaaun tere ranj-o-gham, rahe na koi pyas baqi
Dum tootey aghosh mein teri, aarzoo hai yehi khaas baqi

Yaadon ka kafan odh ke, ho jaaun jahaan se rukhsat
Dharkanein tere naam ki hon, dil bhi rahe na paas baqi

Chupa lena meri maut ka gham, hothon ke tabbassum mein
Varna kya doge, is zamaane ko, wafaa mein hisaab baqi

Jhuk ke sajda bhi na kar paye, agar, janazey ko mere
Dekh lena nazar bhar ke, toote na dil ki aas baaqi

Qasid ne sunayi jab, mere marr jaane ki khabar
Rang hua zard , rahe na hosh-o-hawaas baqi!


Wah...beautiful Aryaan.... bohat ache..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: February 02, 2005, 09:30:52 PM »
Thanx  Jalpari...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #8 on: June 27, 2005, 03:43:52 AM »
Kabhi hasaney ki kabhi rualney ki
achi aadat hai yeh zamaney ki
mere iss dil ko to rona bhi nahi aata
tumhi koi soorat karo issey rulaney ki
itni muddat ke baad to hum ne tum ko paya hai
aur tum baat kartey ho phir se janey ki
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: June 27, 2005, 05:29:26 AM »
kya baat hai Aryaan ....aur jal pari tumhari last line sabse achi hai

"tum baat karte ho janey ki "

aate hai hai vo aur aakar chale jaate hai
apna dil behalate hai humara tadhpakar chale jatae hai
hum tuh reh jate hai unka intazaar hi karte
jo ek barah aane ka phir se bana ke chale jate hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: June 27, 2005, 01:27:38 PM »
Quote from: "sandhaya"
kya baat hai Aryaan ....aur jal pari tumhari last line sabse achi hai

"tum baat karte ho janey ki "

aate hai hai vo aur aakar chale jaate hai
apna dil behalate hai humara tadhpakar chale jatae hai
hum tuh reh jate hai unka intazaar hi karte
jo ek barah aane ka phir se bana ke chale jate hai

Bohat shukriya Jalpari & Sandhaya ...n Nice Ones...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:40:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer