Phir Dard Ki Kahaani,.

by Jaanasheen on June 24, 2008, 02:16:44 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3780 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Kuch din to baso meri ankhon main
Phir khwab agar ho jao to kya

Koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya

Ek aina tha so tut gaya
Ab khud se agar sharmao to kya

Main tanha tha main tanha hun
Tum ao to kya na ao to kya

Jab ham hi na mahak phir sahib
Tum bad-e-saba kahlao to kya

Jab dekhne wala koi nahin
Bujh jao to kya jal jao to kya

______________-Obaidullah Aleem-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: June 25, 2008, 04:56:04 AM »
Bhaai Jansheen,
Bahut Achchha Kalaam Pesh Kiya Hai,
Padhkar Dil Ko khusi Huei,
Samaj Ke Fayada Bhi Huaa

Koi Agar Saath De aur Na De To bhi Kya..
Waqt Na Thehare Aur Sadiya Guzre To Bhi Kya..

Bahot Khub Obaildullah Aleem Saab K Liye
Logged
Sammual
Guest
«Reply #2 on: June 25, 2008, 12:02:48 PM »
Bahut Hi Acha Likha Hai.
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: June 26, 2008, 06:39:01 AM »
Kuch din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya

koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya

ik aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya

main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya

jab ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya

jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya

______________-Obaidullah Aleem-



bahut khoob jaanasheenji
thanks for sharing such a nice post
by obaidullah Aleem
simple yet great.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: June 26, 2008, 06:50:28 AM »
Wonderful submission Azeem bhaya... aap ki sharings hamesha se buhat hi shaandar rahi hai...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: June 26, 2008, 09:29:34 AM »
Bahot Khub Shihab Saab
Logged
syednaami
Guest
«Reply #6 on: June 26, 2008, 02:03:07 PM »
Buhat bhaavuk prastuti Shihab baba... Aur bhi share karo...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2008, 02:11:19 PM »
Kuch din to baso meri ankhon main
phir khwab agar ho jao to kya

koi rang to do mere chehre ko
phir zakhm agar mahkao to kya

ik aina tha so tut gaya
ab khud se agar sharmao to kya

main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya

jab ham hi na mahak phir sahib
tum bad-e-saba kahlao to kya

jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya

______________-Obaidullah Aleem-


Yah Gazal Gulam Ali jee ki awaz se suno... wah kaya gazal share ki hai apne...

main tanha tha main tanha hun
tum ao to kya na ao to kya

jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya jal jao to kya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: June 26, 2008, 02:12:41 PM »
Kuch to duniya ki inayaat ne rone na diya
Aur kuch Talkhiye Haalat ne rone na diya

Hum tou samjhe the, Bahar banke aayi hai khushi
Mili khushi tou humein, Khushi ne bhi rone na diya

Sitaro ki tarha purnoor thi , Qismat apni
Bewafa chaand ne usko bhi, Chamakne na diya

Sahil se bhatka huwa anjaan musafir hoon
Jisko lehro ne kabhi, Manzil se milne na diya

Mehbooba koi hai "Alam" Tou bas maut apni
Duniya walo ne ishq, Usse bhi karne na diya !!!!!!!

by Alam Qazi

wah kaya baat hai shihab jee.. bahoot he achi gazal share ki hai apne....

Sahil se bhatka huwa anjaan musafir hoon
Jisko lehro ne kabhi, Manzil se milne na diya

Mehbooba koi hai "Alam" Tou bas maut apni
Duniya walo ne ishq, Usse bhi karne na diya !!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 27, 2008, 03:06:14 PM »
Shukriya Mohammed Bhaijaan,.
diya ji,.
Pooja sis,.
Majid Bhaijaan,.
naami bhai,.

waise good sharing Bhaijaan,.
Alam qazi Ji Ki,. Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 27, 2008, 03:08:25 PM »
wah kaya baat hai Shihab .. bahoot khoob.. yah lines behad pasand aai!!

Humne zindagi ko Lafzo ka sahara, jo diya tha kabhi
Usi ka Khaamiyaaza umr tamam, bhugat rahe hai hum

Thee kahin koi Nigahein shauk bhi, Humpar kabhi
Faasla itna woh chandni, Aur the siyaah raat hum !!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 27, 2008, 03:09:07 PM »
Guzre dinon ki yad barsati ghata lage
Guzrun jo us gali se to thandi hawa lage

Mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
Us roz bin sajaye mera ghar saja lage

Main is liye manta nahin wasl ki khushi
Mere raqib ki na mujhe baddua lage

Wo qahat dosti ka para hai k in dinon
Jo muskura k bat kare ashna lage

Tark-e-wafa k bad ye us ki ada 'Qateel'
Mujhko sataye koi to us ko bura lage
 
______________________-Qateel Shifaai-b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 29, 2008, 09:07:22 AM »
Kitni Mushkil Se Guzra Tujh Bin Sawera Mere Aaangaan Se,.
Jaise Rukhsat Ki Ghadi Aaati Hai Phoolon Ki Gulshan Se,.

Tere Jaane Ke Baad Na Raat Thi Raat Jaisi, Na Din The Din Jaise.
Door Thi Roshni "Azeem" Jaane Kyun Mere Ashiyaan Se,.

_________________________________-Jaanasheen-


Logged
Muhammed
Guest
«Reply #13 on: June 30, 2008, 05:58:01 AM »
Tere Jaane Ke Baad Na Raat Thi Raat Jaisi, Na Din The Din Jaise.
Door Thi Roshni "Azeem" Jaane Kyun Mere Ashiyaan Se,.

Nice One
Bhai Azeem aapki Is Baat Se ek sher Yaad Aaya Ki :
 
Ujaale Apni Yaado'n K Hamare Saath Rehne Do,
Na Jaane Kis Gali Me Zindagi Ki Shaam Ho Jaye..

Bahot Khoob Qatil Shifai K Ash'ar K Liye

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 02, 2008, 01:03:34 PM »
Shukriya Bhaijaan,.
Aur Qateel Shifaai Ji Mere Sabse Pasandida Shayar Hain,.

And Thankx For Sharing,.
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:48:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer