Phoolon Ki Sej

by Meena on February 10, 2005, 06:44:02 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 4204 times)
Meena
Guest
Phoolon ki sej par jane kyu kaanten chub rahe te,
Shehenayion ki awaz par jane kyu arman matam mana rahe te,
Laga li haathon me kisi aur ke nam ki mehendi aaj,
Aise kushi ke mauk pe hum najane kyu anson baha rahe te?
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #1 on: February 10, 2005, 06:53:33 PM »
wow!!!!!! 10000 excellents! meena sis

tum itne aansu mat bahaya karo glasses2
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: February 10, 2005, 07:04:05 PM »
lollllllllll thanxxxxxxxx mai kaha baha rahi hoon oye, woh to na itefaq se mujhe mere notes mil gaye jo ke maien yeh poem likhi thi isslyie maine yaha bih post kar diya!

 :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: February 11, 2005, 01:51:50 AM »
Wah  Meena.. jawaab nahi aapka, dil ko choo jaati hai aapki shaeri......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: February 11, 2005, 01:55:04 AM »

Ek phool ko sab dekh rahe they
Sab uski khushboo se lutf utha rahe they
keh itne mein kaanton ke rone ki aawaaz aai
Phool ne poocha kya huwa..
Kaanton ne kaha tum tau phool ho
Tumhaari khushboo logon ko achi lagti hai
Lekin mere sath koi bhi Mohabbat nahi karta
Phool ne kaha.. main tau tum se Mohabbat karta hoon
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2005, 06:19:13 AM »
Quote from: "Meena"
Phoolon ki sej par jane kyu kaanten chub rahe te,
Shehenayion ki awaz par jane kyu arman matam mana rahe te,
Laga li haathon me kisi aur ke nam ki mehendi aaj,
Aise kushi ke mauk pe hum najane kyu anson baha rahe te?



superbbbbbbbbbbb     meena..............aryan.............

phoolon  ko  dekh  kar  sabhi  ne  choom  liya,
kaanton  se  kisi ne  baat  ki ,
yeh  dekh  kar kaanton ke liye  mujhe  jeena pada...............
Logged
pandit
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2005, 06:38:14 AM »
phoolo k liye ziye to kya ziye,
kaato par bhi ikhityaar kar k to dekh,
kaate bhi bahaar laa sakte hai ,
unse bhi pyaar kar k to dekh.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2005, 06:42:05 AM »
Tahnx Waheed..n nice 1...

nice wording Pandit...
Logged
pandit
Guest
«Reply #8 on: February 11, 2005, 06:44:28 AM »
thanx aaryanji........
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: February 11, 2005, 10:40:38 AM »
Quote from: "Meena"
Phoolon ki sej par jane kyu kaanten chub rahe te,
Shehenayion ki awaz par jane kyu arman matam mana rahe te,
Laga li haathon me kisi aur ke nam ki mehendi aaj,
Aise kushi ke mauk pe hum najane kyu anson baha rahe te?



wow.... chak te fatteY kudiyeee.... really very nice..... ab jra jwab bhi sun lo.....

ghulshan ki fakat phoolooN se nhi
khantooN se bhi zeenat hoti hai
jeeney ke liye iss duniya mein
gum ki bhi jrrurat hoti hai...
ei' Meena-e-nadaaN karti hai
tu ik qayaamat ka charcha
yha roz nigaheY milti hai
yha roz qayamat hoti hai...nm

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: February 11, 2005, 03:00:42 PM »
shukriya dosto!!!!  :D  aap sab ka pyar hi hai ke mai aab tak likhit hoon, meri shayari padne ke liye shukriya!  :D

aaryan ji, waheed ji, hum tum ji, pandit ji aap sab ne bhi bohot hi acha likha!

 :D
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2005, 03:07:59 PM »
kya khub kaha hai mina ji
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: February 11, 2005, 03:09:45 PM »
Quote from: "Meena"
shukriya dosto!!!!  :D  aap sab ka pyar hi hai ke mai aab tak likhit hoon, meri shayari padne ke liye shukriya!  :D

aaryan ji, waheed ji, hum tum ji, pandit ji aap sab ne bhi bohot hi acha likha!

 :D


ur welcome Meena ji.....
Logged
lost_soul
Guest
«Reply #13 on: February 11, 2005, 03:11:48 PM »
Quote from: "Meena"
Phoolon ki sej par jane kyu kaanten chub rahe te,
Shehenayion ki awaz par jane kyu arman matam mana rahe te,
Laga li haathon me kisi aur ke nam ki mehendi aaj,
Aise kushi ke mauk pe hum najane kyu anson baha rahe te?


as usual beautiful  meena ji...
Logged
abhishek_gaurav
Guest
«Reply #14 on: February 11, 2005, 03:13:56 PM »
aap murjhaya huaa phul nahi khilta huaa gulab hain
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:59:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer