pilaate rahe

by salil2002 on January 23, 2009, 04:54:22 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 794 times)
salil2002
Guest
mehfil mein jamm se jaam takraate rahe
har khanak kii awaaz se kuch toot kar bikhar jaate rahe
sheesho ko sajaya bade salike se tha maine
saaki kii nazar se woh behak jaate rahe
karli tauba kii ab haath na lagayenge jaam ko
woh apni nigahon se oos shaam pilaate rahe
seene kii aag har pal bhadakti rahi
hum saari raat oose Maye se bujhaate rahe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dur rahe by dev_omu in Shayri-E-Dard
dhur rahe by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
rahe-ishq by dheer in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Hum Ja Rahe Hai by Meena in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
tum jaa toh rahe.... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: January 23, 2009, 05:22:59 AM »
wah SALIL, bahut khoob

Jasbir Singh
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: January 23, 2009, 05:48:06 AM »
mehfil mein jamm se jaam takraate rahe
har khanak kii awaaz se kuch toot kar bikhar jaate rahe
sheesho ko sajaya bade salike se tha maine
saaki kii nazar se woh behak jaate rahe
karli tauba kii ab haath na lagayenge jaam ko
woh apni nigahon se oos shaam pilaate rahe
seene kii aag har pal bhadakti rahi
hum saari raat oose Maye se bujhaate rahe



Bahut khoob, bahut hi pyara likha hai Salil,

Wo saari raat mehfil me mulaqat-e-yaar batate rahe,
Ham lekar jaam haathon me dil ke dard ko dabaate rahe,

Kon jaane ki wo apni baaton se hame jalate rahe,
Sun Sun ke unki mastiyaan ham tadaf jaate rahe,

Jiski chaah me ham aksar khud ko bhulate rahe,
Wahi aaj hame gairo se bhi gair nazar aate rahe.

Shally.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #3 on: January 23, 2009, 05:56:12 AM »

Bahut khoob, bahut hi pyara likha hai Salil,

Wo saari raat mehfil me mulaqat-e-yaar batate rahe,
Ham lekar jaam haathon me dil ke dard ko dabaate rahe,

Kon jaane ki wo apni baaton se hame jalate rahe,
Sun Sun ke unki mastiyaan ham tadaf jaate rahe,

Jiski chaah me ham aksar khud ko bhulate rahe,
Wahi aaj hame gairo se bhi gair nazar aate rahe.

Shally.

very nice shally

jasbir singh
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: January 23, 2009, 05:58:31 AM »
Nice one Salil Ji
N Shally Ji
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: January 23, 2009, 06:03:51 AM »
kya baat hai ..salil ji.......

mehfil mein jaam se jaam takrate rahe,
ham pite rahe, aur "wo" pilaate rahe.

dil mein aag hamaare bharadhak ti rahi,
aur "wo", aur aag lagate rahe.

itni chad gayi thi hum ko, pata na chala ki hum kya kar rahe,
dil ki aag "wo"s ke badle,ooes maye se bhujaate rahe.


Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: January 23, 2009, 10:30:57 AM »
thanks jasbir and rajesh bhai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: January 23, 2009, 10:34:45 AM »

Bahut khoob, bahut hi pyara likha hai Salil,

Wo saari raat mehfil me mulaqat-e-yaar batate rahe,
Ham lekar jaam haathon me dil ke dard ko dabaate rahe,

Kon jaane ki wo apni baaton se hame jalate rahe,
Sun Sun ke unki mastiyaan ham tadaf jaate rahe,

Jiski chaah me ham aksar khud ko bhulate rahe,
Wahi aaj hame gairo se bhi gair nazar aate rahe.

Shally.
nice one shally

har zakhm ko seete rahe
har gham ko bhulaate rahe
tere ghar kii sadak kaanton se bhari thi
phir bhi teri taraf kadam badaate rahe
tere darwaaze pe dum tod diya deewaane ne
aur tum gairon ka dil behlaate rahe
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: January 23, 2009, 10:38:19 AM »
kya baat hai ..salil ji.......

mehfil mein jaam se jaam takrate rahe,
ham pite rahe, aur "wo" pilaate rahe.

dil mein aag hamaare bharadhak ti rahi,
aur "wo", aur aag lagate rahe.

itni chad gayi thi hum ko, pata na chala ki hum kya kar rahe,
dil ki aag "wo"s ke badle,ooes maye se bhujaate rahe.



nice one cara

kii woh aur honge jo bhool gaye teri bewafaai ko
humse kissa koi bhoola nahin jaata
woh aur honge jo behak jaate hain ek nazar se
yahan maikhana bhi hai kam pad jaata
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 23, 2009, 10:41:11 AM »
Nice One salil Bhai,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: January 23, 2009, 10:49:12 AM »
Nice One salil Bhai,.

thnks azeem yaar kuch likha nahin

nasha bad na jaaye jara sambhal kar jaam banana
kii aaj saaki bhi mujhe sambhalne nahin aayega
jo behak jaun mein toh oonki tasveer dikha dena
dard se suroor kuch ootar jaayega.....
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:35:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer