- Pocha Tanhai Ne Mujhse -

by Meena is back on August 02, 2007, 12:37:53 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2452 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: August 08, 2007, 09:58:19 AM »
pooja ji....dhaneyawad did!! apne kuch likha hi nahin?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
na fir mujhse khatkhataana hua by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
JO TUNY POCHA HA AJ MUJH SY ...TO SUNO by SADIQA JAWED in Shayri for Khumar -e- Ishq
mujhse naraZ by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
mujhse kaho by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Dekh Kar Tanha Mujh Se Pocha Baharon Ne.! by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: August 10, 2007, 08:39:40 AM »
Quote from: "Meena is back"
abhi thoda free time time to ek aur poem ban gayi. meri ek aur koshish pesh hai:

Pocha mujhse tanhai ne, kyu mera saath tujhe itna payara hai,
Kaha maine ke duniya ki beedh me mujhe kisi ne apnaya hi nahin,

Pocha umeed ne ke kyu rehne nahin deti tum mujhe apne pas,
Kaha main, ek toote sapne ke baad maine aur koi sapna sajaya hi nahin,

Pocha vishwas ne kyu dam tood raha hoon mai teri zindagi me pal bar me,
Kaha main ke tum to nazuk  ho, tume kisi ne majbood banaya hi nahin,

Pocha mayusi ne kyu humesha mera daman pakde baithi rehti ho,
Kaha maine kisi ne koi aur tareeka jeena ka mujhe sikhaya hi nahin,

Pocha Khuda ne kyu aab tera mujh pe vishwas na raha “Meena”,
Kaha maine tumne dukh ka saya meri zindagi se kabhi hataya hi nahin!


Hum hai mushtaaq aur woh bezzaar
Ya Ilaahi yeh mazzara kya hai Huh??

waah waah ... Meena -Ji hamesha ki trah .. bahut khoob ... ab to aap masusiyoon, umeedoon , tanhaiyoon aur vishwaas se baatien karne lage....  chaliye kucch hum bhi likhne ki khosish karte hai !!

'E yaar hum teri tanhayiooN ko mitta denge
Pyaar ki hazzaar mehfilloN ko sajjja denge

Saari khushiya bhar denge tere daman mein
Aur teri zindgi se mayusiooN ko hatta denge

Sulgha ke apne pyaar ke sholo ko dilbhar
Hum umeedooN ki roshniyooN ko jala denge !!


HumTum
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #17 on: August 10, 2007, 09:44:17 AM »
shukriya humtum ji...kya kare jab aur koi nahin milta to inse hi baate kar lete hai.  :lol:  apne bohot hi acha likha hai lekin...

Jab likhta hai khud Kuhda kismat me tanhai,
To koi aam banda us likhe ko kya mitayega,

Tehra hai ankhon me jo dard ka samundar,
Who ashk koi aur bhala kaise bahayega,

Taqdeer to likhi hai khud Khuda yne “HumTum”,
is janam me insaan koi aur kismat kaise payega!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #18 on: August 10, 2007, 10:24:10 AM »
Lagta hai aapki Manager holidays pe hai .... aaj kal shyari pe shayri ho rhi hai na;)....  aapne bahut hi accha likha .... magar.... yeh naseeb yeh kismat yeh taqdeer to apne apne karmo ka phal hai .... jo boyega woh payega ... tera kiya aage aayega ... sukh dukh hai kya .. .. bas phal karmo ka ..... kehte hai ke bhagti mein bahut shakti hoti hai .... gar woh chahe to kismat kya ...... iss jahan ka nakhsa hi badal sakta hai ......  ohoffoo .. yeh shayri mein parvachan kha se aa gaye .... chahiye kucch shayri likhte hai !!

Pyaar har shai ko munkin bna deta hai
Dukhon pe pyar apni marham lga deta hai
Pee jati hai tab tanhaiyo ko shahnayiia
Pyar jab honthon pe sargam sajja leta hai !!

HumTum
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: August 11, 2007, 12:50:30 PM »
super hit hai Meena sis..as always. Jaanasheen ji n Humtum ji apne bhi bahut khoob likha hai hamesha ki tarah....
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: August 11, 2007, 03:24:39 PM »
Meena, Humtum, Manav and Jansheen.... very nice work ! Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: August 11, 2007, 07:45:17 PM »

Puchha Meri Saanson Ne Mujhse Kyon Meri Rawani Ko Pareshan Kiya,
Kaha Maine, Har Saans Ke Saath Yaad Unki Aati Hai, Dard Si Laati Hai,

Puchha Meri Dhadkano Ne Kyon Beghar Hone Ko Keh Rahi Ho Hamein Ab,
Kaha Maine, Teri Har Sada Bas Unhi Ki Sadayein Laati Hai,

Puchha Meri Rooh Ne Kyon Tere Wajood Ne Pehchanne se Inkaar Kiya Mujhe,
Kaha Maine, Mere Khoye Hue Wajood Ki Pehchan Meri Aahein Hi Laati Hai...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #22 on: August 17, 2007, 01:53:10 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Lagta hai aapki Manager holidays pe hai .... aaj kal shyari pe shayri ho rhi hai na;)....  aapne bahut hi accha likha .... magar.... yeh naseeb yeh kismat yeh taqdeer to apne apne karmo ka phal hai .... jo boyega woh payega ... tera kiya aage aayega ... sukh dukh hai kya .. .. bas phal karmo ka ..... kehte hai ke bhagti mein bahut shakti hoti hai .... gar woh chahe to kismat kya ...... iss jahan ka nakhsa hi badal sakta hai ......  ohoffoo .. yeh shayri mein parvachan kha se aa gaye .... chahiye kucch shayri likhte hai !!

Pyaar har shai ko munkin bna deta hai
Dukhon pe pyar apni marham lga deta hai
Pee jati hai tab tanhaiyo ko shahnayiia
Pyar jab honthon pe sargam sajja leta hai !!

HumTum


han ji holidays pe hi hai :D  so pandit humtum ji...apse itni bhi sehmat nahin hoon:

pyar ka nam lo dosto, pyar to bas rulata hai,
tootda hai woh sapne jo khud pyar dikahta hai,
anson, dard, tanhai, mayusi..yehi bas hai milta,
pyar ek dokahai, pyar kuch nahin dilata hai!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #23 on: August 17, 2007, 01:54:33 PM »
nikki kuddiye long time no ...how are u? thans for liking my poem, tum bhi to kuch likho. kitni der hogi tuamra likha kuch nahin pada!!

thanks Talat and angel..bohot khood likha!

 :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #24 on: August 20, 2007, 01:48:25 PM »
Shukriya Meena Ji,.
Nikki Ji And Talat Ji,,
Aur Husena Ji Aap Ne Bhi Bahoot Khoob Likha Hai Ji,.,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #25 on: August 20, 2007, 01:55:33 PM »
Ji Aap Jaise Umda Shayaron Ke Aage To Hum Kuch Likh Nahi Sakte,..
Magar Jo Humne Seekha Hai Use Zaheer Karte Hain,..

Hope U All Like It,..

Mere Dard Ki Wajah Na Pooche Koi,..
Ke Hume To Dard Milta Hai Har Hasi Ke Baad,.
Jaise Chaa Jaata Hai Andhera Roshni Ke Baad,..

Phir Bhi Khushi Se Dard Ko Apnaa Kar Jeeye Jaate Hain,..
Jaise Koi Jeeta Hai Phirse Zindagi Khone Ke Baad,..


____________________________________-Jaanasheen-



Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #26 on: August 22, 2007, 03:56:49 AM »
Bohaat khoob meena, humtum , janasheen


Thanks Talat,meena and janasheen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: August 23, 2007, 09:43:33 AM »
Shukriya Manav Ji,..
And U Are Welcomed,.
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #28 on: August 29, 2007, 10:41:27 AM »
bohot khoob janasheen ji...

thank Manav ji....
Logged
SHONA
Guest
«Reply #29 on: August 29, 2007, 04:59:52 PM »
Jab likhta hai khud Kuhda kismat me tanhai,
To koi aam banda us likhe ko kya mitayega,

Tehra hai ankhon me jo dard ka samundar,
Who ashk koi aur bhala kaise bahayega,

Taqdeer to likhi hai khud Khuda yne “HumTum”,
is janam me insaan koi aur kismat kaise payega!!![/quote]

nicely said meena ji....

Dard mein koi mausam pyara nahi hota
dil mein ho pyaas to pani se guzara nahi hota
koi dekhe to hamari bebasi,
hum sabhi ke ho jaate hai
par koi hamara nahi hota
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 08:10:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer