Puraane Khat, Puraani Yaadein,. AS

by Jaanasheen on October 15, 2011, 12:26:04 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2756 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Tumhaari Yaad Mein Jo Kuch Bhi Socha, Likh Diya,.



Ab Tumhaari Yaad Liye, Puraane Khat Wo Pardhta Hoon,.
Jinhe Apne Takiye Mein Chupaaye, Sambhaale Rakha Tha,.

Ab Saare Lafz Yaad Hogaye, Aksar Pardhte Pardte,.
Chalo Achcha Hai Ke Tumhaari Yaadein To Saath Hain,.

Warna Mushkil Tha,
Tumhaare Aks Ko Mehsoos Karna Is Berang Duniya Mein,.
Tumhaara Khat, Roshan Kar Deta Hai Kamra Mera,.

Tanhaai Se Aahatein Aati Hain Guzre Dino Ki,.
Jab Bhi Yaad Aati Hai Tumhaari,
Main Akela Baithkar Khoob Rota Hoon,.

Jo Hua Wo Nahi Hota To Achcha Tha, Ye Sochta Rehta Hoon,.
Kya Tum BHi Aisa Karti Ho, Mere Puraane Khat Pardhti Ho,.

Kaheen Zamaane Ke Dabav Mein Aakar, Unhe Jalaa To Na Diya Tumne,.
Itni Lambi Judaai Mein "Meri Jaan" Mujhe Kaheen Bhula To Na Diya Tumne,.

Hasti Hain Wo Mehflein, Jahaan Hum Geet Sunaate The Gungunaate The,.
Rote Hain Wo Raaste "Jaana" Jahaan Hum Aate Jaate The,.

Jaane Kahaan Doob Gaya Wo Suraj, Jo Hamaari Zameen Par Roz Aata Tha,.
Jaane Kahaan Chaand Bhi Kho Gaya, Jo Har Raat Hume Sulaata Tha,.

Mujhe Khabar Hai, Tumhaara Haal Bhi Ujrdi Haweli Ki Tarah Hai,.
Main Bhi Ek Lute Shehar Ki Tarah Hoon, Jahaan Ab Sannaata Hai,.
Na Koi Aata Hai Na Jaata Hai,.

Jab Bhi Yaad Kiya Tumhe, Bohat Roya Main, Charaagon Ko Bujhaakar,.
Ke In Ashqon Ki Koi Zabaani Na Pardhe, Hamaari Adhoori Kahaani Na Pardhe,.

Jo Hua, Uska Humne Kahaan Socha Tha,.
 Humne To Ekk Sunehra Khwaab Dekha Tha,.

Ab Har Kali Murjhaai Lagti Hai, Jo Tum Nahi Ho,.
Har Khushi Bhi Paraai Lagti Hai, Jo Tum Nahi Ho,.

Aajaao, Ke Lamba Hai Safar Zindagi Ka, Jo Katta Nahi,.
Raat Din Hota, To Guzaar Lete,.
Kisi Tarah Apna Ghar Sawaar Lete,.



-Azeem-

Missing You Badly Yaar, "Anjaan Dharkan"
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: October 15, 2011, 03:46:59 AM »
Bahut bahut khoobsurat,dard bhari kahaani.Hats off!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: October 15, 2011, 05:29:58 AM »
Azeem sahab--
kisi ko yaad karte hue jeena kya hota hai ye mai janta hun--
balki aajkal usi daur se guzar bhi raha hun--

aapki ye post har vo baat bayan karti hai--vo saare ehsaas judai ke--berang si lagne wale ek ek pal ka bayaan kar gaye aap--

bahot bahut daad aur Dua aapke lie--

muskurate rahen
khus rahe
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2011, 05:46:50 AM »
Vaah Vaah ajeem sahab
kya kahu sab kuch to apne kah diya. ek saccha insan hi aisa kar sakta hai..
Itni lambi judaai mein kahi bhula to nahi diya tumne. Bahut kuch hai is line me.
Dil se duayen apke liye.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: October 15, 2011, 11:16:51 AM »
Azeem Sahaab Aadaab!

Janab aapke haal dil par Allaah raham farmaye aur
aapko himmat wa houNsla bakshe..

Sunhere khaaboN ka anjaam jaane kyuN sunehra nahi
hota, shayad isliye ke ki humari taqdeere utni bulaNd
nahi hai.. KyuN ke hum khawaab bhi dekhte hai to adhure
hi khaab se jaag jaate hai... Mukammal khawaab bhi hume
naseeb nahi hota to mukammal tabeer kyuN sajaa jate hai
hum... Pata nahi aapse kah raha huN yaa khud se.. par
Jo bhi kaha dil se kaha hai...

Allah aapko sabr ataa kare.. aameen
Khush O aabaad rahiye.. Nayi zindagi ki shuruaat kijiye..

Khuda Hafez... Usual Smile   

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:39:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer