Pyaar Ishq Mohabbat Ki Koi Umar Nahi Hoti.....

by khwaish on August 25, 2009, 05:01:44 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 31286 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Shayad Yeh Topic Kuch Alag Ho Ya Yeh kavita Padhne Mein Kuch Alag sa Lage..Par Hum Sab Wahi Likhte Hai,Jo humne Kabhi Mehsoos Kiya Ho,Yeh Kavita Bhi Uss Topic par Adhaarit Hai,Jo Maine bhi Kisi Apne Ko Iss Daur Se Guzarte Hue  Dekha Hai..Yeh Topic Hai DIVORCE\SEPARATION Ke Upar..Mera Koi Apna Iss daur Se Guzar raha tha..Uske Dil ka Dard main Jaanta Hoon..Yeh Kavita ussi Ek Soch Par Adharit hai..Iss Kavita Mein Do Kirdaar Hai..Ek Aadmi ka To Ek Aurat ka..Yeh Kavita Unn Dono Ki Aapsi Baatcheet Hai,Jo Sirf Meri Ek kalpana hai Ke Bichadne Ka Baad,Kabhi Woh Phir Mile To Aapas Mein Kya Baat Karte Honge..Unki Kya Shikayeten Hongi..Aur Ab Unki Kya Majbooriyan Hongi..Uss Dard,Uss Ehsaas Ko Lafzo mein Utaarne Ki Koshish Kar Raha Hoon...Shukriya..

Note:Iss Kavita Mein PURPLE Colour Aadmi Ke Kahe Hue Alfaaz Hai
Aur Blue Ek Aurat Ke...


Ek Arse Ke Baad Tujhe Dekh Kar
Kuch Sawaal Se Dil mein Aate Hai!!
Be-Inteha Mohabbat Ke Baad Bhi,
Kya Do Log Juda Ho Jaate Hai...

Inn Sawalo Se Mera Bhi,
Ab Ek Gehra Naata Hai!!!
jahan par Pyaar Ki Umar Khatam Ho jaaye,
Waha Par Koi Kya Kar Paata Hai...

Yeh Agar Sach hai
ke har Khata Meri Hi Thi!!!
To Tum Jo Saza Do Woh Kabool Hai Mujhe,
bas Ek Baar Itna Keh De, Ke "Tu Ab Bhool Jaa Mujhe...."

Main Jis Raah par Chal Padhi Hoon
Udhar Koi Raasta Naa Tha!!!
Par Sach To Yeh hai Ke,
Tu Mera Hokar Bhi kabhi Mera Naa Tha...

Kuch kasoorvaar Main Bhi Hoon,
To Kuch Kasoorvaar Tu Bhi,
Par Main Tujhse Juda Hokar Bhi Kabhi Juda Naa Tha!!
Khata Hui hai Mujhse Par Kya Karoon??
Insaan Hi Hoon main!!! Koi Khuda Naa Tha....

Par, Jo Shaks Bichad Jaaye,
Woh Phir Milkar Bhi To Mila Nahi Karte!!
Phool Jo Murjha Jaaye Ek Baar,
Woh Phir Khila Bhi To Nahi Karte....

Aaene Mein Khud Ko Jab Dekha
Usme Mera Chehra Naa Tha!!!
Zakhm To Maine Bhi khaaye Bahut,
Par Koi Zakhm Itna Gehra Naa Tha....

Jo Zakhm Khaaye hai Hum Dono Ne,
Woh Guzarte Waqt Ke Saath Bhar Jaayenge!!!
Bas Afsos Iss Baat Ka Hai Ke,
Hum Tujhse Juda Hokar Hi Mar jaayenge....

Mehsoos Hota Hai Mujhe Kuch Yuh,
Ke Juda Hona Tujhe Bhi Kabhi Gawara Naa Tha,
Par Hairaan Hoon Main Aaj!!
Tune To Kabhi mujhe Phir Pukaara Naa Tha....

Maangkar Tujhse Pyaar Paana,
Mere Liye Woh Pyaar Nahi!!!
Sach To Yehi Hai Ke Aisa Koi pal Nahi,
Jab Mujhe Tera Intezaar Nahi....


Kaash!!!!Main Tujhse Phir
Woh Baat Keh Paata!!!
Tera Hoon Aur bas
Tera Hi Ban Kar Main Reh Jaata....




"Khwaish" Kehta Hai Pyaar,Ishq,Mohabbat!!!
Inn Ehssaso Ki Kabhi Koi Umar Nahi Hoti!!!!
Saath Ho Humraahi To Zindagi Ki Koi Raah,
Phir Mushkil Nahi Hoti....

             ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyaar ishq te mohabbat by kanav in Love Poetry in Punjabi
Ishq Kisi par meherbaan nahi hoti by jannatjahan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Nafrat Ki koi Umar Nahi Hoti,Yeh Sab Ko Bata Dena "Khwaish" by khwahish in Ghazals « 1 2 3  All »
Ishq Ki Koi Bhi Dawaa Nahi Hoti by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat kam nahi hoti... (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 25, 2009, 05:09:42 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot khoob Khwaish Dost....I am just speechless.....Itni hi dua kar sakti hoon ki Khuda kisi dushman ko bhi iss daur se na guzarne de. Do logon ko itna qareeb laa ke kabhi na juda kare !!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: August 25, 2009, 05:23:10 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aapke likhe in alfaazon par khuch bhi kehna mushkil hi nahi shayad namumkin bhi hai...aankhe nam kar di iss kavita ne....bas yahi dua hai k khuda kisi ko ye dukh na de
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 25, 2009, 05:53:48 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot khoob Khwaish Dost....I am just speechless.....Itni hi dua kar sakti hoon ki Khuda kisi dushman ko bhi iss daur se na guzarne de. Do logon ko itna qareeb laa ke kabhi na juda kare !!

Bahut Bahut Shukriya Talat Dost!!!

Yeh Kavita Likhne Se Pehle,Kayi Baar Socha Ke naa Likhu Par Phir raha Naa Gaya..
Sach Kahoon To Likhte Waqt Ek Ajeeb saa Dard Mehsoos Hota Raha..

Aapki Duayon ka Teh Dil Se Shukriya Dost!!! Khuda Kare Kisi Ke Zindagi mein Yeh Mukaam Kabhi Naa Aaye...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #4 on: August 25, 2009, 07:56:49 PM »
khwaish ji apne tou alfazo mein bayan kar dia magar merre paas tou alfaz bhi nhi hai kuch kehne k liye..itna dil ko chhu gayi apki kavita k kya kahu..mujhe bhi apni zindgi ka ek daur yad agya dard k bawjud bhi kitni mithas hai iss kavita mein...bahut badhiya... Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #5 on: August 25, 2009, 09:30:17 PM »
in life there are some things that you feel you just not relate to but feel as if you were a part of it i feel the same today after reading your ghazal

Felt like every word just went through me pirecing me

Expressing in words is an art and you created a masterpiece with each line
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
In one of my earlier thread I wrote the lines but feel it suits the situation

I shall wait for you forever but wish you never come back :- The Grim Reaper
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: August 25, 2009, 09:56:49 PM »
Wah wah Khawish ji,bahut khoob,kitna bhi tareef karu phir bhi kam hogi.
excellent,really touching and  mind blowing creation. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley keep it up.
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: August 26, 2009, 11:24:14 AM »
khwaish sahab mashallah se bhut hi acha likha hai aapne feelings to baharhaal har kisi ke pass hoti hain ye mehsoos karne ke liyn ke kya ghalat hai aur kya sahi, magr himmat kam hi log juta paate hain aaina dikhaane ki ya daikhne ki, congrats ke aapne apna kaam bakhoobi nibhaya daad hazir aapki is ehsaason se bhari paishkash par qubool kare.n
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 26, 2009, 03:31:03 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aapke likhe in alfaazon par khuch bhi kehna mushkil hi nahi shayad namumkin bhi hai...aankhe nam kar di iss kavita ne....bas yahi dua hai k khuda kisi ko ye dukh na de

Bahut bahut Shukriya Pooja,Jo Aapne Iss Kavita ke Ehsaas Ko Samjha,Maafi Chahta Hoon Aapse Ke Maine Aapki Aankhein Nam ki..Par Kaash Aisa Ho ke Koi insaan Yeh Padhkar kabhi Bichadne Ka Faisla na Le..

Bahut Bahut Shukriya Pooja...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: August 26, 2009, 04:10:22 PM »
Waah Khwaish ji... MashaAllah bahoo Bahoot khoob likha hai Khwaish ji... APNE jAZBAATON KO AAPNE BAKOOBI lAFSO MEA UTARA HAI.... BAHOOT KHOOB !
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: August 26, 2009, 04:19:14 PM »
khwaish ji apne tou alfazo mein bayan kar dia magar merre paas tou alfaz bhi nhi hai kuch kehne k liye..itna dil ko chhu gayi apki kavita k kya kahu..mujhe bhi apni zindgi ka ek daur yad agya dard k bawjud bhi kitni mithas hai iss kavita mein...bahut badhiya... Applause  Applause  Applause  Applause

Thankyou Soooooooo Much Brokenbyluv Ji..

Aapne iss Koshish Ko Saraha Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui..

Guzre Hue Daur Ko Gar Aap pne Lafzo mein Utaar Sako To Aapke Likhi hui Kavita Ka Mujhe Intezaar Hoga..Teh Dil Se shukriya Jo Aapne Iss Kavita Ko APna Waqt Diya..
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #11 on: August 26, 2009, 04:53:36 PM »
KhwaahiSh jee:

namaste!

aapki yeh teHreer uN meiN se aik haii jiss ne mere dil par gehraa asar ChhoRaa haii! yuuNhi liKhate raheN.. bazm ki raunaq baRhaate raheN! daad!

KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: August 26, 2009, 05:04:07 PM »
in life there are some things that you feel you just not relate to but feel as if you were a part of it i feel the same today after reading your ghazal

Felt like every word just went through me pirecing me

Expressing in words is an art and you created a masterpiece with each line
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
In one of my earlier thread I wrote the lines but feel it suits the situation

I shall wait for you forever but wish you never come back :- The Grim Reaper

Thankyou Soooo Much For Those Lovely Words Reaperji..

And thanks A Lot For appreciating!! It was an small effort from my side to Write in this topic..By your Comments and your Thoughts,I am really relieved that my effort has paid off!!!

Thankyou soo much once again for such a Lovely thought Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: August 26, 2009, 05:21:47 PM »
 Applause Applause Applause Applause
khwaish bro,
bahoot hi swabhavik tarike se aapne kavita me batchit ke bhavon ko pragat kiya hai.....jo ki kavita ke shuru se ant tak apne bhavon ko saath lekar padhne wale ke antarman tak utarta hai....
beshkeemti rachna ke liye koti koti lakhon lakh wah wah
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #14 on: August 26, 2009, 08:22:37 PM »
Thankyou Soooooooo Much Brokenbyluv Ji..

Aapne iss Koshish Ko Saraha Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui..

Guzre Hue Daur Ko Gar Aap pne Lafzo mein Utaar Sako To Aapke Likhi hui Kavita Ka Mujhe Intezaar Hoga..Teh Dil Se shukriya Jo Aapne Iss Kavita Ko APna Waqt Diya..


ji bilkul jald hi main bhi kuch dard apni zindgi ka aap sb k beech pesh karungi...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 12:20:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer