Pyaar

by yasir_sensitive on August 27, 2004, 09:35:46 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
Print
Author  (Read 10384 times)
yasir_sensitive
Guest
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti

chahti hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karti

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karti
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PYAAR BAS PYAAR by DILKETUKDE in Shayri-E-Dard
Pyaar hi Pyaar hai by Rakeshanub in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyaar ki kishti by rahul88 in Shayri for Khumar -e- Ishq
*Gum se pyaar kar lunga* by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
Wo Pyaar Puraana,. by Azeem Azaad in Miscellaneous Shayri
jassi_deewana
Guest
dil
«Reply #1 on: August 27, 2004, 10:06:23 AM »
dil chura liya usne ek bar dekh kar,
hum kuch na kar sake bar bar dekh kar.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: August 27, 2004, 12:10:13 PM »
Bahut khoob...Yasir & jassi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2004, 03:27:40 PM »
good one Nasir.

Kuch to raha hoga teri Deewangi mai
ki meri deewangi nahi jati
mai ajj bhi wahi khari hu
tere payar ki janjir mujse nahi chori jati
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2004, 03:31:52 PM »
Tu kishdi hai main kinara hoon,
phir bhi kahan milan hamara hai,
tu kissi or ki kishdi hai,
main kissi or ka kinara hoon
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2004, 03:38:23 PM »
Dene ko aaye gam to itna diya mujhe,
ek katra chaha tha or dariya diya mujhe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: August 27, 2004, 03:44:55 PM »
Mangy thy unke gum, aor gumo ka dariyan hath ayya hai
kaise karu shukriyan, meri sari ibaadto ka asar kaya rang laya hai
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2004, 03:47:44 PM »
jo mil na sake use sawikaar na kar,
samunder ko tair kar paar na kar,
jo pyaar ka kuchh arth hi na samajhe,
us bewafa se pyaar na kar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: August 27, 2004, 03:52:01 PM »
payar ka arth, samjhjaane se nahi samjhane se hota hai
yah wo samunder hai, jo khud b khud paar hota hai
payar kabhi dekhata nahi wafa aor bewafai
payar se jayada Andha nahi hota koi, itani si hai duhai
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2004, 03:54:35 PM »
Ae pyaar ki duhai dene waale,
kya tune bhi kabhi kissi se pyaar kiya hai,
or usi pyaar main kya tujhe ,
kabhi kissi ne dhoka diya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2004, 03:58:40 PM »
dhoka milta to shayad sabar aa jata
hume bhi kahne ka bahana mil jata
khaya hai dhoka humne naseeb se
ki ab shikayat karane kaha jai
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: August 27, 2004, 04:02:17 PM »
kuch loog dakhta hai per nazar nahi mila pata kyun
kuch loog khata hai per haam sa nahi kha pata kyun
kuch loog khana chaha ga bhi per kuch loog bech main ajata hai kyun
haam tu inka  jawab ka intazar karta karta margai per woh haam ko abhi bhi nahi dakh pata kyun
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #12 on: August 27, 2004, 04:04:05 PM »
Pooja naseeb ko kyon dosh deti ho,

Thokar naseeb ki kha kar bhi jo muskraye,
ek roj manjil bad kar use gale lagaye
Logged
muneeb
Guest
«Reply #13 on: August 27, 2004, 04:07:05 PM »
(1)Yasir
(2)Deepak Dixit
(3)pooja jee
(4)Tosha
(5)Jassi



AAp sab ki shairi bohat achi hai Good KEep it Up?
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #14 on: August 27, 2004, 04:08:32 PM »
thanks muneeb
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:46:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer