::pyar shabd apni zindagi se mita dungi::

by nidhi_yadein on May 16, 2005, 06:15:20 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
Print
Author  (Read 9860 times)
Aryaan
Guest
«Reply #105 on: June 21, 2005, 07:21:30 PM »
Quote from: "nikki"
thanx Aryaan ........apke liye bhi....

khuda ne ek nek insaan banaya
uska naam Aryaan rakhwaya
usse chalna-firna, khana peena sikhaya

usne kissi se mohabbat ki
magar woh bewafa nikla

uski bewafai ne us nek insaan ko shayari sikha di
uski shayari padhkar humne dil se dua di

ho jayein iske sab armaan poore
na reh jayein hamari tamanao ki tarah adhore...

You are so sweet Nikki...itni khubsoorat Dua... MashaAllah bohat acha likh leti hain aap... aakhir mujhe bhi kar diya na speechless... glasses2 .. it's beautiful...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apni Zindagi Se Afsoos by Devdas_online in Shayri-E-Dard
~!!~ Ek Pal Apni Zindagi Ka ~~!!~~ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pyar dil se mita na paya by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Main Apni Zindagi Na Kho Bethoon by FAREE in Shayri-E-Dard
Zindagi apni by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
nikki
Guest
«Reply #106 on: June 21, 2005, 07:31:49 PM »
khuda ne ek nek insaan banaya
uska naam Aryaan rakhwaya
usse chalna-firna, khana peena sikhaya

"uske seene mein dhadakne wala dil bhi lagaya"(sorry yeh miss ho gaya tha)
usne kissi se mohabbat ki
magar woh bewafa nikla

uski bewafai ne us nek insaan ko shayari sikha di
uski shayari padhkar humne dil se dua di

ho jayein iske sab armaan poore
na reh jayein hamari tamanao ki tarah adhore...

bahut shukriya Aryaan ji............jo likha hai woh to bahut kum hai, main apki salike se tareef kar sakun, mujhmein kahan itna dum hai...

safal ho jaye hamari dua..agar aapke kissi kaam aa jaye...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #107 on: June 21, 2005, 07:44:12 PM »
Pyar kia hai kuch bhi tu nahin hai yaroo
yeh tu azaab hai ise jis nama s bhi pukaroo
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #108 on: June 21, 2005, 08:05:55 PM »
Quote from: "nikki"
khuda ne ek nek insaan banaya
uska naam Aryaan rakhwaya
usse chalna-firna, khana peena sikhaya

"uske seene mein dhadakne wala dil bhi lagaya"(sorry yeh miss ho gaya tha)
usne kissi se mohabbat ki
magar woh bewafa nikla

uski bewafai ne us nek insaan ko shayari sikha di
uski shayari padhkar humne dil se dua di

ho jayein iske sab armaan poore
na reh jayein hamari tamanao ki tarah adhore...

bahut shukriya Aryaan ji............jo likha hai woh to bahut kum hai, main apki salike se tareef kar sakun, mujhmein kahan itna dum hai...

safal ho jaye hamari dua..agar aapke kissi kaam aa jaye...

im still speechless Nikki.... Kush raho....
Ek Dua aapke liye Nikki...

Khuda kabhi na kare gham se humkinaar tujhe
Dua yeh deta hai dil, mera baar baar tujhe
Khushi ke phool khilein zindagi ki raahon mein
Hansi chamakti rahe, teri inn nigaahon mein
Qadam qadam pe miley saaya-e-bahaar tujhe
Mere naseeb ki khushiyan bhi tujh ko mil jayein
Yehi Dua hai meri gham na tere paas aayein
Kabhi kisi ko jo na mila ho, woh tujhe Qaraar miley
Logged
nikki
Guest
«Reply #109 on: June 22, 2005, 03:17:10 PM »
thanx a lot Nidhi sis........love u.

Aryaan ji ab main khud speechless ho gayi hun....
aapki dua padhkar meri aankhon mein aanson hain, U r really a nice, very nice person.Khuda zamaane bhar ki khushiyan de aapko.  

hairan hun main khuda ki kudrat par
usne banaye hain farishton se insaan bhi

magar thokar lagti hai farishon ko kyun
har pal dete hain jo dil se dusron ko dua...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #110 on: June 22, 2005, 05:04:25 PM »
Bohat shukriya Nikki..... insaan tau sabhi achey hote hain, bas achaai tau dekhne waale ki aankh mein hoti hai...

Bohat khoob likha aap ne.... Meri taraf aap sab ke liye....

Ek be-naam sukoon ka gumaan sa hota hai
Jab bhi aankhon se koi ashk rawaan hota hai

Aise hi bazm-e-sukhan mein nahi meri aamad
Aag lagti hai tau basti mein dhuwaan hota hai

Kuch tau ehbaab mera haal samajh lete hain
Aur kuch meri hi baaton se ayaan hota hai

Dil ne bhi khoob nibhaye hain maraasim uss se
Jo keh rishtey mein mera dushman-e-jaan hota hai

Yunhi bas dhoodte phirte hain dohar mein uss ko
Koi kya jaane aryaan kahan hota hai....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #111 on: June 22, 2005, 05:11:09 PM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat shukriya Nikki..... insaan tau sabhi achey hote hain, bas achaai tau dekhne waale ki aankh mein hoti hai...

Bohat khoob likha aap ne.... Meri taraf aap sab ke liye....

Ek be-naam sukoon ka gumaan sa hota hai
Jab bhi aankhon se koi ashk rawaan hota hai

Aise hi bazm-e-sukhun mein nahi meri aamad
Aag lagti hai tau basti mein dhuwaan hota hai

Kuch tau ehbaab mera haal samajh lete hain
Aur kuch meri hi baaton se ayaan hota hai

Dil ne bhi khoob nibhaye hain maraasim uss se
Jo keh rishtey mein mera dushman-e-jaan hota hai

Yunhi bas dhoodte phirte hain dohar mein uss ko
Koi kya jaane aryaan kahan hota hai....
wah nikki sis and aryaan,bohat khoob likha hai dono ne.

the above one is superbbb Aryaan,pata nahi kaise likhte ho itna accha tongue3 lol.
Logged
nikki
Guest
«Reply #112 on: June 22, 2005, 05:15:53 PM »
excellent Aryaan...bahut hi acha likha hai aapne...........

thanx a lot .........aapki dua ke liye...

itna dard rakhte ho seene mein
fir bhi izhaar nahi karte
kya khata thi aapki
jo ab woh tumse pyar nahi karte..

zaroor badkismat honge jo heere(diamond) ko pehchaan na sake
warna aaj shayari-e-alam kuch aur hota
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #113 on: June 22, 2005, 10:51:43 PM »
Thanks a lot Nidhi & Nikki......Nice One Nikki.......
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #114 on: June 23, 2005, 01:08:55 AM »
Quote from: "Aryaan"
Bohat shukriya Nikki..... insaan tau sabhi achey hote hain, bas achaai tau dekhne waale ki aankh mein hoti hai...

Bohat khoob likha aap ne.... Meri taraf aap sab ke liye....

Ek be-naam sukoon ka gumaan sa hota hai
Jab bhi aankhon se koi ashk rawaan hota hai

Aise hi bazm-e-sukhan mein nahi meri aamad
Aag lagti hai tau basti mein dhuwaan hota hai

Kuch tau ehbaab mera haal samajh lete hain
Aur kuch meri hi baaton se ayaan hota hai

Dil ne bhi khoob nibhaye hain maraasim uss se
Jo keh rishtey mein mera dushman-e-jaan hota hai

Yunhi bas dhoodte phirte hain dohar mein uss ko
Koi kya jaane aryaan kahan hota hai....

BAHUT KHOOB KEEP IT UP........
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #115 on: June 23, 2005, 01:35:35 PM »
Quote from: "TOUCHY"

Shukriya Touchy.....
Logged
dhruv_dvd
Guest
«Reply #116 on: June 24, 2005, 01:40:39 PM »
murjha na jaaye wo phool..
sambhalna mere janaaze ke liye,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai.

kal tak jo haste the meri mohabbat par
aaj woh ro rahe hai meri chaukhat par
aaj bahut intezaar ke baad ye raat aayi hai,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai.

tujhe mere paas dekh tasalli ho gayi
barso purani khwahish aaj puri ho gayi
aaj mere saath teri yaad bhi jaa rahi hai,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai.

teri mohabbat ne bahut rulaya hai mujhe
teri yaadon ne har shaam jalaaya hai mujhe
aaj kyu tumhe achanak meri yaad aa rahi hai,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai.

aye khuda ruk jaa thodi der ke mera yaar aaya hai
aaj meri maut kaa tamasha dekhne dildaar aaya hai
itne logon ke beech ek tuhi nazar aa rahi hai,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai.

mat ro ke teri isme koi galati nahi
uus khuda ke aage kisiki chalti nahi
tujhe rota dekh meri jaan jaa rahi hai,
lag raha hai shayad meri maut karib aa rahi hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #117 on: June 24, 2005, 02:03:02 PM »
Wah Wah..dhruv... Bohat khoob.......................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #118 on: June 24, 2005, 03:52:14 PM »
excellent  work.......... nikki........aryan..............dhruv_dvd
........keep  it  up................
Logged
dhruv_dvd
Guest
«Reply #119 on: June 25, 2005, 07:17:25 AM »
thanx aryaan... waheed... lijiye ek aur

zindagi ek kitaab ki tarha ban aai hai
jisme sirf teri yadien or judai hai
baith ke agar pad le zindagi ke panno ko
tere saath gujre har lamho ki gehrai hai

Jab socha tha humne tere liye kuch kar jayenge
Us pal hi mili humein judaai hai
Kyon na mil sake hum tumse
Kya yehi pyar ki geharai hai

Ab to zindagi mein bas ibadat hai teri
Har lamhe mein khuda se pehle tu nazar aai hai
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:59:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer