::pyar shabd apni zindagi se mita dungi::

by nidhi_yadein on May 16, 2005, 06:15:20 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
Print
Author  (Read 9791 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #30 on: May 17, 2005, 08:19:02 PM »
Thanx nidhi

Love, life and possessions,
which the foundations of our existence,
But the world treats us to its brutal range,
because nothing is permanent but change.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apni Zindagi Se Afsoos by Devdas_online in Shayri-E-Dard
~!!~ Ek Pal Apni Zindagi Ka ~~!!~~ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pyar dil se mita na paya by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Main Apni Zindagi Na Kho Bethoon by FAREE in Shayri-E-Dard
Zindagi apni by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
yati
Guest
«Reply #31 on: May 18, 2005, 10:53:39 AM »
SAHIL AAP BAHUT BAHUT ACHA LOKHTE HO, LAGTA HAI KI AAPKA DIL BHI TUTA HUA HAI MOHABBAT MAIN
HAR LAFZ AAPKA DIL-E DASTAN BAYAN KAR RAHA HAI
kaise kaise hadse sehte rahe
phir bhi hum jeete rahe
huste rahe
uske aa jn eki aas main rasta mur mur ke takte rahe
waqt to gujra magar kuch is tarah
ki hum chiragon ki tarah jalte rahe
kitne chehre hai hamare aas paas
par tum hi dil main baste rahe
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #32 on: May 18, 2005, 07:49:46 PM »
Bhool beetee hui kahaanee ko
yoon naa barbaad kar jawanee ko !
zindagee Daataa ka vardaan samajh
isey Bhagwaan ka ehsaan samajh !!
tujhey jeewan yaheen jeena hoga
chaar aansoo yaheen peena hoga !!!
tujh pe qurbaan main pyarey bachchey
tujh pe qurbaan main pyarey bachchey!!
Logged
rawat
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 80
Member Since: Oct 2004


View Profile
«Reply #33 on: May 20, 2005, 08:42:55 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
nice one....

"Zindagi me bas ek yahi gam reh gaya hai,
 haal-e-dil na bayaan kar sake,sitam reh gaya hai,
 tum ek baar aa jao suna doon dil ka haal tumhe,
 khushiyon ka zindagi se naam ojhal ho gaya hai."



very nice all of u

Palkoonpar ashkoon ko rakha hai rok
Hoontoon par magar khushi ka tarana hai
Meri muskan par na jana ae dost
Ye too gham chupane ka bahana hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #34 on: May 24, 2005, 10:03:54 AM »
Quote from: "rawat"
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "clicksahil"
thnx nidhi


Na main paas iss ko bula saka
Na main dil ka haal suna saka
Wo hansi hansi mein he chal diye
Aur main haath tak na hila saka
nice one....

"Zindagi me bas ek yahi gam reh gaya hai,
 haal-e-dil na bayaan kar sake,sitam reh gaya hai,
 tum ek baar aa jao suna doon dil ka haal tumhe,
 khushiyon ka zindagi se naam ojhal ho gaya hai."



very nice all of u

Palkoonpar ashkoon ko rakha hai rok
Hoontoon par magar khushi ka tarana hai
Meri muskan par na jana ae dost
Ye too gham chupane ka bahana hai
thanx Rawat,very nice Yati,naveed and rawat...!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #35 on: May 25, 2005, 02:26:21 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
"Mujhe gam nahi hai mere mitne ka,
 mujhe gam hai ek nasamajh se pyar karne ka,
 bohat chaha thha maine jisko,
 kabhi samajh na saka wo mujhko,
 phir bhi jeeti rahi usi ke sapno me,
 use hi basaya maine apne armaano me,
 tod ke dil,chal diya qaatil,
 doobti dikhi mujhe meri manzil,
 tum to kehke chale gaye,
 bhool sakoon to bhool jaun tumhe,
 par main kaise bhula doon tumhe,
 dil se kaise mita doon tumhe,
 agar aasaan hota hai dl lagana,
 mushkil hota hai pyar ko nibhana,
 aur agar kuch usse bhi mushkil hai,
 to wo hai us pyaar ko hamesha k liye bhulana,
 phir bhi tumne kaha hai agar,
 main har koshish karoongi magar,
 tum dikhna na mujhe kabhi zindagi me,
 warna kho doongi khud pe sanyam main,
 tumhe yaad karte hi tumhe bhula doongi,
 hamesha...hamesha...ke liye ab main...,
 pyaar shabd ko apni zindagi se mita doongi."

Bohat khoob Nidhi.....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #36 on: May 25, 2005, 02:35:27 AM »
HAMKO TANHAIYO MEIN JEENE DO

CHUPKE CHUPKE YEH ASHQ PEENE DO

APNI CHAAHAT,,KA MAT SAHARA DO

HAMKO TANHA YEH ZAKHAM SEENE DO
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #37 on: May 25, 2005, 04:26:05 AM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "clicksahil"
thnx ... nidih... sandhaya..isha....

for all of you ... hope you wud appriciate...

har raat meri tanah azaab mein guzri
tumhare baad tumhare he khwaab mein guzri
main ek phool hun wo rakhkar mujhe bhul gaye
tamam umar meri iss kitab mein guzri
   N/M
wahhh sahil.......bohat hi badiya,excellent.

Thanx ISHA. Usual Smile


juda hone ki bat na ker zalim tu bhi to kisi ko pyara hoga,...

zara soch dard e judai ka aalam,...1 pal bhi kitna nagawara hoga,...
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #38 on: May 25, 2005, 10:01:30 PM »
Fasla iss duniya ka hisa hai,
Dil ki duniya aisi to nahi.
Ankhon se woh unkahi batein,
Agar nikli to deygi ek duniya naie
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #39 on: May 28, 2005, 06:26:02 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Wow ...
It was fantastic one's by all ...
Keep writing ...


Ishq ne insaan ko kya se kya banaa diya,
Kisi ko aashiq to kisiko deewana banaa diya,
Do phoolo ka bojh utha nahi sakti thi Mumtaz,
Aur Shahjahaan ne us par Taj Mahal banaa diya ...(nm)


Thanx JHL....and wah....bohat hi khoob,kya likha hai,koi jawab nahi is sher ka Usual Smile

most welcome sandhaya,again a gud one.

"Har adaa uski,wafa har baar meri,
 har khushi uski,saza har baar meri."



You most welcome Nidhi and Thanks too for appreciation ...


Dard mein to doobe hai hum,
Phir ashq kyu aapki nigaaho se beh rahe hai Huh?
Zakhmi to hai dil hamara,
Phir dard kyu aap seh rahe hai Huh?
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #40 on: May 29, 2005, 12:08:16 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Just_Hate_Love"
Wow ...
It was fantastic one's by all ...
Keep writing ...


Ishq ne insaan ko kya se kya banaa diya,
Kisi ko aashiq to kisiko deewana banaa diya,
Do phoolo ka bojh utha nahi sakti thi Mumtaz,
Aur Shahjahaan ne us par Taj Mahal banaa diya ...(nm)


Thanx JHL....and wah....bohat hi khoob,kya likha hai,koi jawab nahi is sher ka Usual Smile

most welcome sandhaya,again a gud one.

"Har adaa uski,wafa har baar meri,
 har khushi uski,saza har baar meri."



You most welcome Nidhi and Thanks too for appreciation ...


Dard mein to doobe hai hum,
Phir ashq kyu aapki nigaaho se beh rahe hai Huh?
Zakhmi to hai dil hamara,
Phir dard kyu aap seh rahe hai Huh?
good work  jhl..................
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #41 on: June 04, 2005, 05:34:42 PM »
Thanks a lot Faree ...


Gar tujhe mujhse pyar nahi,
To kyu de rahi ho mujhe ye sazaa,

Jo bhi hamse bhool hui,
Use tu apne dil na lagaa,

Apni aankhon se aansu na bahaa,
Sirf hamare liye ek baar muskuraa,

Hum manaana to jaante hai,
Par nahi jaante aap roothe ho kyu bewajaa ...
Logged
diljala
Guest
«Reply #42 on: June 05, 2005, 10:40:19 AM »
Uraj hai

aisa lagta hai ki har  imtihan ke liye kisi ne
zindgi ko hamar pata de diya hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #43 on: June 13, 2005, 06:11:22 PM »
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "nidhi_yadein"
"Mujhe gam nahi hai mere mitne ka,
 mujhe gam hai ek nasamajh se pyar karne ka,
 bohat chaha thha maine jisko,
 kabhi samajh na saka wo mujhko,
 phir bhi jeeti rahi usi ke sapno me,
 use hi basaya maine apne armaano me,
 tod ke dil,chal diya qaatil,
 doobti dikhi mujhe meri manzil,
 tum to kehke chale gaye,
 bhool sakoon to bhool jaun tumhe,
 par main kaise bhula doon tumhe,
 dil se kaise mita doon tumhe,
 agar aasaan hota hai dl lagana,
 mushkil hota hai pyar ko nibhana,
 aur agar kuch usse bhi mushkil hai,
 to wo hai us pyaar ko hamesha k liye bhulana,
 phir bhi tumne kaha hai agar,
 main har koshish karoongi magar,
 tum dikhna na mujhe kabhi zindagi me,
 warna kho doongi khud pe sanyam main,
 tumhe yaad karte hi tumhe bhula doongi,
 hamesha...hamesha...ke liye ab main...,
 pyaar shabd ko apni zindagi se mita doongi."

Bohat khoob Nidhi.....


bohat bohat shukriya Aryaan Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #44 on: June 13, 2005, 06:14:03 PM »
bohat khoob JHL,naveed and diljala.

"Umeedon k sahaare kab tak hai zindagi,
  jeete hain,marte hain,khwab bani har khushi,
  apni to yahi dua hai ooparwale se,
  pyaar na de sak agar,to na de zindagi."
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:59:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer