PYASA MAN

by TANHA on August 10, 2004, 06:18:43 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2079 times)
TANHA
Guest
MERI TANHA ZINDGI MAIN AA JAO BAHAR BAN KE
AA JAO IS PYASI ZINDGI MAIN TUM BARSAT BAN KE...
PYASA HAI MAN, PYASE HAI ARMAN, PYASI HOO MAIN..
DE KAR PYAR APNA SEENE SE LAGALO MUJHKO

TANHA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyasa by hid_bigb in Ghazals
Mujhe Sagar ne Pyasa Rakha by pandit in Ghazals « 1 2 3 4 5 »
jazbaatoN me BIKHRA hua sa, main ek mohabbat ka PYASA...!! by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek boond pyar ko pyasa hun - Abhi by AbhiTamrakar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
|| Dil bhi hai pyasa........Priya || by manzil-e-ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #1 on: August 10, 2004, 05:42:44 PM »
mangane se kabhi payar nahi milta
lakh bulao magar dildar nahi milta
yah hai wo nasha jo khud hi se charta hai
lakh sajde karo, dil ko aram nahi milta
Logged
sarafz
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2004, 08:56:28 AM »
Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: August 12, 2004, 09:13:09 AM »
cool all
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: August 12, 2004, 09:19:57 AM »
kehte ho ki pyaar nahi hai hume
fir mujhe bhoola kyu nahi dete
har pal mere saamne aate ho, mujhe satate ho
meri hasti ko tum mita kyu nahi dete..
Logged
TANHA
Guest
«Reply #5 on: August 12, 2004, 09:39:18 AM »
Sarafz ji,

Pyar kiya hai hamne kisi ko khud se jyada
intzaar bhi karte hai uska had se jyada

milti hai pyar me bhi tanhiya magar yaroo
kahan ja kar hal sunai k pyar main bhi bahut gam hai yaroo

pyase hai pyar paker bhi uska
kaise batai k duniya bari bereham hai yaroo

TANHA
Logged
sarafz
Guest
«Reply #6 on: August 12, 2004, 11:25:42 AM »
Quote from: "nishita"
kehte ho ki pyaar nahi hai hume
fir mujhe bhoola kyu nahi dete
har pal mere saamne aate ho, mujhe satate ho
meri hasti ko tum mita kyu nahi dete..



Zindagi ke safar mein kabhie aap hume bhula denge,
par hume aap har waqt yaad aayange,
Teri dosti ki hai kasam aye dost,
tum awaaz do toh kabr se bhi uthkar chale ayange...
Logged
sarafz
Guest
«Reply #7 on: August 12, 2004, 01:08:41 PM »
Quote from: "TANHA"
Sarafz ji,

Pyar kiya hai hamne kisi ko khud se jyada
intzaar bhi karte hai uska had se jyada

milti hai pyar me bhi tanhiya magar yaroo
kahan ja kar hal sunai k pyar main bhi bahut gam hai yaroo

pyase hai pyar paker bhi uska
kaise batai k duniya bari bereham hai yaroo

TANHA




Tanha Ji aap ka bhi jawab nahi


Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: August 12, 2004, 02:46:24 PM »
WOWOOW Good work all.

payar jo usko naseeb hota to Muhabbat hota
payar jo usko naseeb nahi to kahani ho gaya
Logged
sanju
Guest
«Reply #9 on: August 12, 2004, 03:07:48 PM »
sochte hain soch aapki kitni hai gehri,
soch mein apke dubte jo hote na pehre..
Logged
nishita
Guest
«Reply #10 on: August 13, 2004, 07:14:54 AM »
tukde apne dil ke na kar paoongi
bhoolke tumhe zinda na reh paoongi
kehdoongi zamane se ki zindagi ho tum meri
par jaanti hu ki yeh dil tumko main na de paoongi..
Logged
sarafz
Guest
«Reply #11 on: August 14, 2004, 05:18:11 AM »
Quote from: "nishita"
tukde apne dil ke na kar paoongi
bhoolke tumhe zinda na reh paoongi
kehdoongi zamane se ki zindagi ho tum meri
par jaanti hu ki yeh dil tumko main na de paoongi..


Nishi Ji,
Kiya ye app ki shayari Haqeeqat hai?

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chod diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: August 14, 2004, 07:33:54 AM »
sarafzji pls aisi baatein mat pucho jo dil ko mere dukhati hai
gumo ko apne peeche chhodkar nishita ab sabko hasati hai
Logged
sarafz
Guest
«Reply #13 on: August 14, 2004, 08:56:28 AM »
Quote from: "nishita"
sarafzji pls aisi baatein mat pucho jo dil ko mere dukhati hai
gumo ko apne peeche chhodkar nishita ab sabko hasati hai


Ha ha ha tongue3
Ab main app ko kiya bolo nashita ji

Teri zindagi ke lamehe me har pal nikhar aaye,
Gulshan bhi ho paresha is kadar bahar aaye....."
Teri Koshish har waqt sub ke dil per kushiya laye
Logged
nishita
Guest
«Reply #14 on: August 14, 2004, 09:18:42 AM »
thank u sarafz Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:36:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer