qaatil mile hain mujhko.....

by HumTum on February 02, 2005, 02:36:11 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1016 times)
HumTum
Guest
chale jaate woh kaash...
mere dil se bhi nikal ke
jo gaye hain chorr haath
do kadam saath chal ke

kabhi dosti ke naam par
kabhi hamdard ban kar
qaatil mile hain mujhko
chehre badal-badal ke

kijiye kabool aap bhi
rote hain meri yaad mein
chaand se mukde pe daag
nazar aate hain halke-halke

aaj bhi hai unki aarzoo
mere daaman se liptii huii
jawaa.n ho rahe hain khwaab
umeedon ke saath pal ke

in zindagi ki raahon mein
har shaks hai matlab-parast
hum jaise nahin hain sab yahan
tum chalna zara sambhal ke

HumTum
Logged
shyama
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2005, 02:52:47 PM »
Hey Hum Tum:
   
   jo hai teri mushqil, wohi meri mushqil
   huwe ek hi teer se dono ghayal
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: February 02, 2005, 02:55:49 PM »
Quote from: "shyama"
Hey Hum Tum:
   
   jo hai teri mushqil, wohi meri mushqil
   huwe ek hi teer se dono ghayal


nice shyama...

Doston ke shahar me qatl dosti ka
koi or baat karo dost,ye to aam baat hai...!

HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: February 02, 2005, 03:02:41 PM »
Mai deta houn tumko meri qatl gaah ka pata
ek shart hai mere dost,mujhe zinda na samajhna,
Logged
shyama
Guest
«Reply #4 on: February 02, 2005, 03:05:26 PM »
achi baat hai hum tum ab zara meri bhi sunno:

    jab baat cher hi dee hai to baat sun bhi lo,
    aap ki baaton pe hummein tarras aata hai
    huwe hein laakho is shehr mein qatl dosti or mohabbat ke naam pe
    akele aap hi nahim jin par yeh dokha chaya hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2005, 03:09:17 PM »
Quote from: "shyama"
achi baat hai hum tum ab zara meri bhi sunno:

    jab baat cher hi dee hai to baat sun bhi lo,
    aap ki baaton pe hummein tarras aata hai
    huwe hein laakho is shehr mein qatl dosti or mohabbat ke naam pe
    akele aap hi nahim jin par yeh dokha chaya hai


Na jeene ki tamanna, na marne ka gum,
jaane kitne ajeeb se ho gaye hai hum.


Hote na they aise kehtii hai ab aankhain num.
Kaise kahe ye sab hai mere beshumar pyar ka karam.


Gusthaki hai kehne mein, jisne diya ye tohfa tanhayi ka-hai mera sanam,
Jaantey hai ab raahain hai alag alag hamari, ye sab baatain hai tute dil ka bas bharam.


Ab parda nahi karte hai in be-reham zakhmo ka, Na hai inka koyi merham,
Yakeen karo na karo dosto, tha mera pyar sacha-yahi hum dohrahainge bas ab janam-janam.

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: February 03, 2005, 05:10:33 PM »
wah wah!!!! u write really gud hum tum ji!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: February 03, 2005, 05:13:50 PM »
Quote from: "Meena"
wah wah!!!! you write really gud hum tum ji!

 :D


shukriya meena ji.....



Huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
Na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #8 on: November 14, 2008, 11:40:49 AM »
chale jaate woh kaash...
mere dil sebahut khoob likha ha aap na bhi nikal ke
jo gaye hain chorr haath
do kadam saath chal ke

kabhi dosti ke naam par
kabhi hamdard ban kar
qaatil mile hain mujhko
chehre badal-badal ke

kijiye kabool aap bhi
rote hain meri yaad mein
chaand se mukde pe daag
nazar aate hain halke-halke

aaj bhi hai unki aarzoo
mere daaman se liptii huii
jawaa.n ho rahe hain khwaab
umeedon ke saath pal ke

in zindagi ki raahon mein
har shaks hai matlab-parast
hum jaise nahin hain sab yahan
tum chalna zara sambhal ke

HumTum
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:42:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer