qabr mein aa ke yoon laga mujh ko

by mazHur on February 01, 2011, 08:16:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 946 times)
mazHur
Guest
zindagi tujh se dar gaya tha mein
marne se pehe mar gaya tha mein

mujh ko buzdil na tum samajh laina
jo bhi karna tha kar gaya tha mein!

qabr mein aa ke yoon laga mujh ko
jaise apnay hee ghar gaya tha mein

Ghum Naseebi mera muqaddar thee
zinda  kab tha ke mar gaya tha mein

kuch nahi is jahaan mein dukh ke siwa
gul kee tarah bikhar gaya tha mein

Zulm sehnay kee bhi koi hadd thee
Sher ban kar biphar gaya tha mein!

Sohbat-e-gul mein khaar ho jaisay
rung-o-kushboo se bhar  gaya tha mein

Un ko waada  reha na yaad  apna
per ye kehna mukar gaya tha mein!

Pur farishtoan ke  jal hee jayein jahan
un se milne udhar gaya tha mein
 
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: February 01, 2011, 08:21:11 PM »
bahoooooot khoooob janab
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2011, 11:23:13 PM »
Bahut hi badiya Mazhur ji.wonderful n excellent creation,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
mazHur
Guest
«Reply #3 on: February 01, 2011, 11:54:24 PM »
AAp sub dostoan ka shukria!!:)

Tum salamat raho hazaar barus
her barus ke hoan din pachaas hazaar!
(Ghalib)
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: February 02, 2011, 05:05:12 AM »
zindagi tujh se dar gaya tha mein
marne se pehe mar gaya tha mein

mujh ko buzdil na tum samajh laina
jo bhi karna tha kar gaya tha mein!

qabr mein aa ke yoon laga mujh ko
jaise apnay hee ghar gaya tha mein

Ghum Naseebi mera muqaddar thee
zinda  kab tha ke mar gaya tha mein

kuch nahi is jahaan mein dukh ke siwa
gul kee tarah bikhar gaya tha mein

Zulm sehnay kee bhi koi hadd thee
Sher ban kar biphar gaya tha mein!

Sohbat-e-gul mein khaar ho jaisay
rung-o-kushboo se bhar  gaya tha mein

Un ko waada  reha na yaad  apna
per ye kehna mukar gaya tha mein!

Pur farishtoan ke  jal hee jayein jahan
un se milne udhar gaya tha mein
 

Bahut Umdaa Soch ke saath likha hai aapne ... mazHur !

sabhi ashaar bahut khoob lage hume ... dil se daad !
Logged
manjum
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2011, 05:11:23 AM »
kya baat hai mazharji... bahut khub dil se daad aapko.....
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: February 02, 2011, 05:12:36 AM »
bahot khoob majhur ji ........bahot hi umda likha he.....bahot bahot badhaiya apko.....
Logged
nirala
Guest
«Reply #7 on: February 02, 2011, 11:40:20 AM »
kamaal ki poetry.
lajawaab jhakashhh
behtareen soch
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: February 05, 2011, 01:59:21 PM »
Bahut Khub Mazhur JI
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:59:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer