Ques... Collection .... Episode of Dard....

by Qutubuddin on January 14, 2006, 11:47:13 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 22
Print
Author  (Read 18202 times)
manjot
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 10 hours and 46 minutes.
My Picture

Posts: 358
Member Since: May 2005


View Profile WWW
«Reply #225 on: April 25, 2006, 01:32:11 PM »
hmara gum kisne dekha hai
jisne bhi dekha hai hmara chehra dekha  hai
hum to aksar roya karte hai tanhai me
logo ne to bas hume muskarte dekha hai


(This not mine I don't know the poet)
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #226 on: April 25, 2006, 01:52:06 PM »
Good One Manjot..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #227 on: April 25, 2006, 01:52:29 PM »
Good One Manjot..

Ques...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #228 on: April 25, 2006, 01:59:09 PM »
Nice One Manjot And Quttub Sahab,..

Dekhte Agar Wo Rote Hue Tumhe Tanhaai Mein,..
To aaj Tumhe Tanhaa Chordkar Na Jaate Yun Bedard Duniya Mein,..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #229 on: May 02, 2006, 10:09:27 AM »
kaun is raah se guzarataa hai
dil yuu.N hii intazaar karataa hai

dekh kar bhii na dekhane vaale
dil tujhe dekh-dekh Darataa hai

shahar-e-gul me.n kaTii hai saarii raat
dekhiye din kahaa.N guzarataa hai

dhyaan kii sii.Diiyo.n pe pichhale pahar
ko_ii chupake se paa.Nv dharataa hai

dil to meraa udaas hai 'Ques...'
shahar kyo.n saaye.n-saaye.n karataa hai


Ques...
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #230 on: May 02, 2006, 02:49:45 PM »
The Style Guru Says......


Umda peshkash Ques Bro!!!


Arz Hai,
Umr-e-daraaz ka beeta hua ek gehra samundar hu main,
Jisne Jahaan jeet kar khud ko haara-Wahi sikandar hu main....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #231 on: May 03, 2006, 08:44:11 AM »
Samunderon Mein Doobna Adat Thi Hamari,..
Aaj Kuch Is Tarah Chotein Khaayi Hain Ke Uska Naam Sunte Hi Dil Ghabrata Hai,..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #232 on: May 03, 2006, 01:42:27 PM »
Thankyou all...

Ques..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #233 on: May 03, 2006, 01:46:25 PM »
kisay sunaa-ooN gham-e zeest kaa fasaana maiN
Keh raazdan to koi aaj tak milaa hi nahiN
 
karooN maiN raah ki dushwaari kaa gila kis say
maiN woh musaafir-e kam- kosh keh chalaa hi nahiN
 
kabhi milo to maiN sab kuch hi tum sey keh DaalooN
keh roz roz to milnay kaa silsila hi nahiN
 
teraa suraagh nahiN phir bhi DhoonD looNga tujhay
bajuz Khudaa kay meraa ki Aasra hi nahiN
 
hazaar baataeN haiN jo mujh peh log kartay hain
magar yeh dil haiy keh paththar, kabhi jalaa hi nahiN
 
Aa phir Aaj Aaina hi daikh Ques...
keh sach to Aaj tak tu nay kabhi sunaa hi nahiN
 
Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #234 on: May 03, 2006, 01:53:02 PM »
Jab Teri Dhun Main Jia Kartay Thay
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartay Thay

 
Aankhoon Main Pyaas Hua Karti Thi
Dil Main Toofan Utha Kartay Thay

 
Loog Aatay Thay Ghazal Sunanay Ko
Hum Teri Baatien Kia Kartay Thay

 
Sach Samajhtay Thay Terey Wadoon Ko
Raat Din Ghar Main Raha Kartay Thay

 
Woh Bhi Kya Din Thay Tujhay Bhula Kar
Hum Tujhay Yaad Kya Kartay Thay

 
Kal Tujhay Dekh Kar Yaad Aya
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kia Kartay Thay



Ques..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #235 on: May 03, 2006, 01:54:39 PM »
Meri AAnkho me Gham ki nishani nahi.n
Pattharo.n ke pyalo.n me paani nahi.n
 
Main tujhe bhholkar bhi nahi bhoolta
pyar sona hai, sone ka pani nahi.n
 
Koi aaseb hai is hansi shahar mei.n
Shaam rosahn hai lekin suhaani nahi.n

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #236 on: May 03, 2006, 01:55:18 PM »
Ishq ne kya kya ranj sahe tum kya jano
Aag main kitne phool khile tum kya jano

Hijr ki kaali raat main kaise kaise log
khaak main milke khak hue tum kya jano

Humne ik tumhare naam ki khushboo se
Kitne dasht bahar kiyeh tum kya jano

Apni kitab-e-umr ki sari sattron main
Humne kiske khuwab likhe tum kya jano

Tum bichre tou humne apni palkon per
Kitne darya rok liyeh tum kya jano

Sur ki chaooon main lafz ki kaliyan khilne tak
Hum tou sab kucch bhool gaye tum kya jano

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #237 on: May 03, 2006, 01:58:11 PM »
Yehi nahi k faqat ham hi iztaraab mein hain
Hamaare bhoolne waale bhi is azaab mein hain
Isi khayaal se har shaam jald neend aaee
K ham se bicharre hue log shehr-e-khwaab mein hain
Azeez kiyun na ho maazi ka har waraq ham ko
k chand sookhe hue phool is kitaab mein hain


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #238 on: May 03, 2006, 01:59:02 PM »
Tootey khwaab ki kirchiyon ne
Jab lahoo bahaaya aankhon se
Khwaab mein khoyi aankhon ko
Din raat jagaana seekh liya
Patthar ho gayin aankhein ab tau
Tak tak raah bahaaron ki
Dard ke sookhey patton se
Iss dil ko sajaana seekh liya


Ques....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #239 on: May 03, 2006, 03:19:08 PM »
good work Ques!!!
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:43:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer