Ques... Collection .... Episode of Dard....

by Qutubuddin on January 14, 2006, 11:47:13 AM
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22
Print
Author  (Read 18098 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #270 on: May 11, 2006, 05:46:06 AM »
Shukreyaa Guru...


Will try to full fill your wish and will try to post something on regular basis.

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #271 on: May 11, 2006, 06:56:15 AM »
Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Ho
Sapne Deekha Ke Deep Bujha Rahe Ho
Kyu Suna Rahe Ho Aur Ab Kyu Tarpa Rahe Ho
Humari Zindagi Le Ke Kahan Jaa Rahe Ho
Bata Tho Do Ke Humien Chod Kar Konsa Sagar Pa Rahe Ho
Sagar To Hi Hai Meri Zindagi Bhii
Ab Kisko Sagar Bana Rahe Ho
Na Jao Kahii  Ke Ab To Hai Andaz E Ravan Aur
Kyu Itne Kadam Door Jaa Rahe Ho
Pass Ana Hai Mushkil Gar Tera
Mujhe Phir Kyu Nahi Bula Rahe Ho
Mai Pass Ana Chatha Hu Tere
Mujhe Kyu Doori Ka Ehsaas Dila Rahe Ho
Kyu Door Jaa Rahe Ho?
Kyu Muskura Rahe Hoo?
Kiya Khush Ho Tum Bhi Ya Meri Tarah Ansoon Baha Rahe Ho
Dil Mein Kiya Hai Tere Yeh Jantha Hu  Mai  Bhi
Par Lagta Hai Ke Tum Bhi Meri Tarah Kuch Chupa Rahe Ho
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chod Ke Ja Rahe Ho
Kion Ajj Mujhe Is Gham Mein Ab Aur Tarpa Rahe Ho
Aajana Jaldi Se, Ke Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin
Humein Tho Tum Udass Karke Ja Rahe Hoo
Pyaar Tho Hai Magar, Is Pyaar Main kyu Tarpa Rahe Ho?Huh??


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #272 on: May 14, 2006, 06:02:04 AM »
Na Tujhe Chor Sakte Han Tere Ho Bhi Nahi Sakte---
Ye Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Ro Bhi Nahi Sakte---

Ye Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamain Tarpaye Rakhta Hai---
Tumhari Yaad Aati Hai To Phir So Bhi Nahi Sakte---

Chupa Sakte Hain Aur Na Dikha Sakte Hain---
Logon Ko Kuch Aise Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dho Bhi Nahi Sakte---

Kaha To Tha Chor Denge Ye Nagar Phir Ruk Gaye Lekin---
Tumhain Paa To Nahi Sakte Magar Kho Bhi Nahi Sakte---

Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Too---
Jiyen Kaise K Tum Se Door Reh Bhi Nahi Sakte-.....


Ques.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #273 on: May 14, 2006, 06:08:23 AM »
WAH KAYA BAAT HAI, DONO HI KALAAM KAMAAL KE LIKHE HAI APNE!!!

Bahoot khoob!!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #274 on: May 14, 2006, 06:10:15 AM »
Sukreya Pooja..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #275 on: May 15, 2006, 05:40:00 AM »
Wahaa Wahaa.. Bahoot Khoob Gum..

Asaman Kay "Gum", ko Hum Khoshee Shamaj laytay hai....
Tayray "Gum" may muskuranay ko, hum khoshee shamaj laytay hai..



Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #276 on: May 15, 2006, 06:25:35 AM »
Good one Gum..

Kaise kahein tumse dil ki sari baatein
Kaise katte hain mere din aur yeh raatein
harpal chubti hai mujhe pyaar ki yeh kaatein
Kaise kahein tumse kya hai dilki iraadein


Ques..
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #277 on: May 15, 2006, 06:26:28 AM »
Tanhayi mein baithe hue jab sochta hoon kuchh likhun,
Tab gamon ki dhaara samne se gujar jati hai.

Khushi ke do labz bhi zuban tak nahin aate,
Kavita meri dukhon ke sabdon se bhar jati hai.

N/M

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #278 on: May 15, 2006, 06:29:07 AM »
do ashq meri yaad mein bahaa dete to kya jaata...?
chaar phool meri laash par charhaa dete to kya jaata...?

aaye ho meri mayyat par naqaab daal kar sanam
murdon ko chaand ka tukda dikhaa dete to kya jaata...?

poochte hain tumse log kiska ye janaza hai ?
marne waala kaun tha ? bataa dete to kya jaata...?

keh rahi hai sab kahani tere haathon ki heena
kisi aur din ye kissa sunaa dete to kya jaata...?

meri saans rukte hee mera dam nikaalte hee
meri duaa ko haath tum utthaa dete to kya jaata...?

jaan de di "Ques..." ne tumhari hi mohabbat mein
ik chiraag tum mazaar par jalaa dete to kya jaata...?

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #279 on: May 15, 2006, 08:20:58 AM »
Good one Gum..

Ques....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #280 on: May 15, 2006, 09:05:31 AM »
wah wah  Ques....Bhai..............  Gum......  amazing.........
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #281 on: May 15, 2006, 09:05:37 AM »
Sochta hon k usey neend bhi aati hogi
Ya faqat meri tarah ashk bahaati hogi

Woh meri shakal mera naam bhulane wali
Apni tasveer se kyaa aankh milaati hogi

Sham hote hi wo chaukhat pe chala kar shammaein
Apni palkon pe kaii khwaab sajaati hogi

Us ne silwaa bhi liye honge siyaah rang libaas
Ab Moharram ki tarah Eid manaati hogi

hoti hogi mere bosay ki talab main paagal
Jab bhi zulfon main koi phool sajaati hogi

Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hongi
Juhin tasveer ka kona wo jalaati hogi

Roop de kar mujhe is main kisi shehzade ka
Apne bachon ko kahaani woh sunaati hogi

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #282 on: May 15, 2006, 09:06:23 AM »
Sukreyaa Waheed...

Ques...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #283 on: May 17, 2006, 10:29:44 AM »
Nice One Qutub And gum Bhai,..

Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #284 on: May 17, 2006, 02:12:01 PM »
uss ki hasarat hai jisse dil se mita bhi na sakon
dhoondhne uss ko chala hoon jisse pa bhi na sakon

daal kar Khaak mere khoon pe qaatil ne kaha
kuch yeh mehndi nahin meri ke mita bhi na sakon

zabt kambakht ne aur aa ke galaa ghoonta hai
ke usse haal sunaoo'n to sunaa bhi na sakon

us ke pehlu mein jo leja ke sulaa doon dil ko
neend aisi usse aaye ke jagaa bhi na sakon

naqsh-e-pa dekh tou loon laakh karon ga sajde
sar mera arsh nahin hai ke jhuka bhi na sakon

bewafa likhte hain woh apni qalam se mujh ko
ye woh qismat ka likha hai jo mita bhi na sakon

iss tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
apni soyee hui qissmat ko jaga bhi na sakon


Dard... Dard.. Aur Dard...


Ques...
Logged
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:25:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer