Ques... Collection .... Episode of Dard....

by Qutubuddin on January 14, 2006, 11:47:13 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 22
Print
Author  (Read 18100 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #30 on: January 26, 2006, 10:30:03 AM »
kabhi hum bheegte hain chahaton ki taiz baarish mein...
kabhi barson nahin milte kisi halki se ranjish mein...

tumhi mein dewtaon ki khu boo nahin thi warna...
kami koi nahin thi mere andaaz-e-parastish mein...

ye pehle soch lo phir aur bhi tanha na hojana...
usey chhoone ki khuwahish mein usey paane ki koshish mein...

buhat se zakham hain dil mein magar aik zakham aisa hai...
jo jal uthta hai raaton mein jo lo deta hai baarish mein...


Ques....
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #31 on: January 26, 2006, 04:06:58 PM »
dard e baya  kiya jaye kaise .......

tum bin aab jiya jaye kaise........

tum sang sans lene ke kiya the wade humne ....

tum bhi to le rahe kisi or k jaha me aab tak sanse....

hum aapni sanso ko tere dard me bhi dubai kaise...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #32 on: January 28, 2006, 10:00:23 AM »
Well said Tushar...

Ya Dard Ke Baath Hai....

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #33 on: January 28, 2006, 10:01:49 AM »
Kal Raat Janay Kia Howa...!!!

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN
Bairabt se soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai
Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha
Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha


Ya Bhee Dard Kee Baath Hai...

Ques....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #34 on: January 28, 2006, 02:17:37 PM »
The Style Guru says......


Wah Qutub bhai, kya likha hai aapne.......

Dard.....Dard......Dard.......aur sirf Dard


Ab pesh-e-khidmat hai.....

Mujhko bhoole hue yaad aane lage,
Neend aankhon se mausam churane lage,
Meri gazlon me wo,mere geeton me wo,
Par unse milne me hume zamane lage,
Ek se do hue to kuch is tarah,
Khud ko khone lage aur unko paane lage,
Jab bhi raaten andheri hui raah me,
Roshni bankar wo jagmagane lage……

Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #35 on: January 28, 2006, 02:40:56 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru says......


Wah Qutub bhai, kya likha hai aapne.......

Dard.....Dard......Dard.......aur sirf Dard


Ab pesh-e-khidmat hai.....

Mujhko bhoole hue yaad aane lage,
Neend aankhon se mausam churane lage,
Meri gazlon me wo,mere geeton me wo,
Par unse milne me hume zamane lage,
Ek se do hue to kuch is tarah,
Khud ko khone lage aur unko paane lage,
Jab bhi raaten andheri hui raah me,
Roshni bankar wo jagmagane lage……



aaj aankho me humari pani na raha ....
sitam zamane ka hua itna k aab dard tak na raha .....
seh gaye her war dosti ki tarz se peeth per aapni .......
haste hi rahe hum dosti ki khatir uff tak na kaha .........
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #36 on: January 28, 2006, 02:41:18 PM »
Shukreyaa Guru..

Aapnay bhee Bahut khoob kahaa hai..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #37 on: January 28, 2006, 02:43:52 PM »
Bhaoot Khoob Tushar..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #38 on: February 04, 2006, 05:56:17 AM »
Dard .. Dard.. Dard..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #39 on: February 04, 2006, 05:56:54 AM »
Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad !
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerna ke baad


Kyun chuorr diya hamara saath kyaa hum ne galati ki!
Khudaa bhi maaf ker dayta hai gunaa hone ke baad


Kyun aate ho hamein yaad kyun terpate ho mujhe
Aadmi khushh hota nahin her ik khushi milne ke baad!


Mohabbat ke safar mein kitne door chale gaye hein jab hum
Kyun wapis pukarte ho manzil ke qareeb aane ke baad


Aansoo hein kumzor saahara mere jeewon ka
Kyun aate ho pouchane[wipe]aankhein sookh[dry]jane ke baad!


Na manaa kero hamein pyaar kerne se tujh ko
Kyun loag baagawat kerte hain pyaar kerne ke baad !


Ker le deedaar apne mehboob ka gi bhar ke kar!
Koi aata nahin milne qabarr mein jane ke baad!


Koi kissi ka haal-e-dil jaan nahin sekta
Murdaa jism hi jaanta hai qabarr mein jane ke baad!


Eazat , zilat , gunaa , sawaab kyaa hai koi baata de !
Na aana chahta koi duniya mein qayamat dekhne ke baad!


Koi bhoola sekta kissi ko bhool jane ke baad!
Koi samane aa jaye kissi ko yaad kerne ke baad !

 

 
Repost..

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #40 on: February 04, 2006, 06:02:24 AM »
~*Jo Na Mil Saka Wo Baywafa*~
 
 
 
Jo Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
 
 

Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Asaka Rah Mian Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justojoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar ,Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
 
 

Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
 
 

Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Meri Talassh Hai
Wohi Dard Mera Hayaat Hai
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai
 
 

Ques...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #41 on: February 04, 2006, 10:23:46 AM »
Quote from: "Qutubuddin"
~*Jo Na Mil Saka Wo Baywafa*~
 
 
 
Jo Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
 
 

Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Asaka Rah Mian Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justojoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar ,Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
 
 

Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
 
 

Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Meri Talassh Hai
Wohi Dard Mera Hayaat Hai
 
 

Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai
 
 

Ques...


wow wow   superbssssssssss  Ques..  Bhai.......... har  ek  sher  bahot  acchi hai .....
Logged
vinayak_joshi36
Guest
«Reply #42 on: February 04, 2006, 01:22:47 PM »
paas akar sabhi door chale jaate hai,
hum akele the akele rah jaate hai,
dil ka dard kaise dikhaye,
marham lagane wale hi jakham de jaate hai.......... :cry:
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #43 on: February 04, 2006, 04:14:14 PM »
Well come to YoIndia.. Vinayak..

I am also from India, working in Jeddah man.

I will be going to Nagpur on 20th of this month, for just 3 days.

If you give me your contact will talk to you.

Nice to see u here Vinayak..


Sukreyaa Waheed Bhai..

Ques...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #44 on: February 04, 2006, 06:16:15 PM »
Bohat khoob Qutubuddin...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:43:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer