Qutubuddin
Guest
|
«Reply #60 on: February 11, 2006, 01:48:05 PM » |
|
Well said Joshiji....
Ques..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #61 on: February 11, 2006, 02:09:22 PM » |
|
kabhi socha tha na k tu meri zindgi me kabhi aayega.......... jate jate jayega pyar deker is dil me dard chod jayega...........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #62 on: February 12, 2006, 05:20:43 AM » |
|
Bahoot Khoob Tushar..
Dard... Dard... Aur Dard......
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #63 on: February 12, 2006, 12:44:29 PM » |
|
aawarapan banjara pan ek khala hai seene me....... tu de gai gam bahut wo dard bhara hai aab seene me....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #64 on: February 16, 2006, 10:40:51 AM » |
|
Bus Ek Baar Humse Pyaar Karke To Dekho Raat mein khayaalon mein aati ho tum Kabhi saamne aakar bhi dekho Hum se baatein to roz karte ho tum Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho Humaari nazar bohat kuch keh deti hai Kabhi hamein nazaron se samjh kar to dekho Humse dosti ka rishta hai tumhara Kabhi hum say dil laga kar to dekho Humari baton ne tumhaara dil kai baar behlaya hai Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho Hum tumhein zindagi mein har khushi denge Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho Tumhein apaane ke liye har imtihaan denge hum Humein kabhi aazmaa kar to dekho Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana Ek baar hamein apna banaa kar to dekho
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #65 on: February 18, 2006, 12:27:15 PM » |
|
ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty eik lamha tery bina basar kar nahi sakty
woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty
khud hath say apny usay khona hi pary ga yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty
yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty
tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty
yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra is noor k darya par nazar kar nahi sakty
har chand k meri aankh main aansoo hain larazty jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty
ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty
Dard.. Dard.. Aur Dard.....
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #66 on: February 18, 2006, 12:30:00 PM » |
|
Brothers and Sisters..
I am going to India for 3 Days..
Just Pray for Me...
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #67 on: February 25, 2006, 12:04:48 PM » |
|
Hurray.. I am back in Jeddah..
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #68 on: February 25, 2006, 12:06:29 PM » |
|
kuch din to basoo meri ankhoon main phir khawab agar ho jaoo to kia koi rang to do meray chehray ko phir zakham agar mehkaoo to kia jab hum hi na mehkay phir sahab tum baad e saba kehlaoo to kia aina tha jo toot gaya ab tujh sy agar sharmaoon to kia main tanha tha main tanha hoon tum aoo to kia na aoo to kia jab dekhnay wala koi nahi bujh jaoo to kia jal jaoo to kia ek wehem hy yeh duniya is main hay u bhi ziyaan aur u bhi ziyaan ji jaoo to kia mar jaoo to kia kuch din to basoo meri ankhoon main phir khawab agar ho jaoo to kia
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #69 on: February 25, 2006, 12:10:43 PM » |
|
I am accepting good post from our respected regulary visitor here..
Thanking you and Regards,
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #70 on: February 27, 2006, 07:41:32 AM » |
|
kuch din to basoo meri ankhoon main phir khawab agar ho jaoo to kia koi rang to do meray chehray ko phir zakham agar mehkaoo to kia jab hum hi na mehkay phir sahab tum baad e saba kehlaoo to kia aina tha jo toot gaya ab tujh sy agar sharmaoon to kia main tanha tha main tanha hoon tum aoo to kia na aoo to kia jab dekhnay wala koi nahi bujh jaoo to kia jal jaoo to kia ek wehem hy yeh duniya is main hay u bhi ziyaan aur u bhi ziyaan ji jaoo to kia mar jaoo to kia kuch din to basoo meri ankhoon main phir khawab agar ho jaoo to kia
Nobody Like this poem or what?
No Responses..
Dard.. Dard.. Aur Bhee Dard...
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #71 on: February 27, 2006, 07:58:37 AM » |
|
Dhoop ke saath saath saya bhi Apni harpal disha badalta hai Ek se ek hain jude phir bhi Kahin kuch faasla sa lagata hai
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #72 on: February 27, 2006, 07:59:06 AM » |
|
Zindagi badal dii In hawaon ne badalkar, Aas yun dhal gayee Kuch is tarah machalkar, Ki khwaab bikhar gaye Zarra-zarra sa bankar. Bahut nahi socha tha maine Zyada nahi manga tha maine Par muskurahat bhi Naa de paaye tum Ajnabee bankar. Gila ab tumse kya karenge, Shikwe bahut huye, Ki wajood mera legaye tum Meri raahon me chalkar.
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #73 on: February 27, 2006, 08:04:09 AM » |
|
Lagta hai is mod par aakar Zamane gujar gaye Waqt thama hua hai Aur raste badal gaye. Ek wo aalam tha jab Tera saya bhi saath hota tha. Ek ye aalam hai ki Chand ke bhi jawab mil gaye. Jaante hain, dosh nahi hai isme kisika Kabhi wo hamse, aur Kabhi hum unse majboor ho gaye. Roshni hoti in raahon me unki Par chiragon ke jalne se pahle hi Wo hamse door ho gaye.
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #74 on: February 27, 2006, 08:07:19 AM » |
|
Dard.. Dard.. Aur Dard....
Khabee Kesee Kay Saath Naa Honay Kaa Dard.. Tou Kahbee Kesee Kay Saath Honay par Bhee Saath Na Honay Kaa Dard..
Dard.. Dard.. Aur Dard....
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|