Qutubuddin
Guest
|
«Reply #75 on: March 06, 2006, 06:02:12 AM » |
|
Ishq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho, Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho !
Ques.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #76 on: March 06, 2006, 06:05:37 AM » |
|
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya
Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya
Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #77 on: March 06, 2006, 06:10:48 AM » |
|
Merey Barey Main Hawaoon Se Wo Kab Pochey Ga... Khak Jab Khak Main Mil Jaye Gi Tab Pochey Ga...
Gher Basaney Main Khatra Hai K Gher Ka Malik ... raat Main Dair Se Aaney Ka Sabbeb Poche Ga...
Apna Ghum Sab Ko Batana Hai Tamasha Karna... Hal -e-dil Us Ko Sunain Gey Wo Jab Pochey Ga...
Jab Bicherna Bicherna Bhi To Hanstey Howey Jana Warna... Her Koi Rooth K Janey Ka Sabeb Pochey Ga...
Hum Ne Lafzoon K Jahan Daam Lagey Baich Dia... Dhair Pochey Ga Hameein Ab Na Adab Pochey Ga...
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #78 on: March 06, 2006, 07:31:30 AM » |
|
Apne Ashnaon Ki Qurbbatein Nahi Miltein Be Zameer Logo Ko Rahtein Nahi Miltein
Arsh Tak Ponchti hai Jab Dua Gareebon Ki Zalomo Ko Toba Ki Mohltein Nahi Milti Dekh Kar Jinhein Ankhein Sajda reeza Hoti Thi Aaj Kal Kehin Aysi Sorat Nahi Milti
Ek Cahat K Nichay Bhi Ekhtlaf Rakhte Hein Kia karein K Dono Ki Adtein Nahi Milti Nafrton K Badle Mein nafratein To Milti Hein Cahhton K Badley Chatein Nahi Miltein
Kuhd Ko Jo Samjhte They Motbar Zamane Mein Un Ki Hedey hazar Mein Tarbitein Nahi Milti Tum Ques... Rehtay Ho Paglo Ki Jannat Mein Aaj Kal Wafaon Ki Qimtein Nahi Milti
Ques...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #79 on: March 06, 2006, 10:46:37 AM » |
|
hisab mere dard ka kya loge tum..... pass aane ki koshish karoge to.... door payoge khud ko humse tum....... aajib rishta hai mera dard se na jane kaisa..... na tum samajh sakoge na samjha sakenge hum.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #80 on: March 07, 2006, 07:31:53 AM » |
|
Bahot Khoob Tushar..
Dard.. Dard.. Aur Dard...
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #81 on: March 07, 2006, 11:07:50 AM » |
|
thx QUES bhai.............
dard ki barish me bheeg rahe hai ....... aasra dhund rahe hai khushi ka kahi ...... na mila aasra khushi ka to kya hum kare.... ye dard hai aapna ye dard hi sahi.........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #82 on: March 07, 2006, 11:11:29 AM » |
|
tushaar ... nice one !!
na muhabbat na dosti ke liye waqt rukta nahin kisi ke liye dil ko apne saza na de yun hi is zamane ki beruKhi ke liye!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #83 on: March 07, 2006, 11:13:46 AM » |
|
berukhi koi kya karega ,...... sitam humper aab kya honge .... ho gaye humare aapne hi parai...... wo dost kya honge dushman kya honge,......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
HumTum is back
Guest
|
|
«Reply #84 on: March 07, 2006, 11:18:30 AM » |
|
yun aksar ishq ka silsila hota hai ankh num aur dil gilla hota hai phir bhi dewane kha rukhte hai unko jazba virasat mein mila hota hai !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tushar_4u_im
Guest
|
|
«Reply #85 on: March 07, 2006, 11:21:01 AM » |
|
na gila hai dil me koi... aab na koi khawish hi bachi hai ..... doobe hai jis tarah bus ..... aab to dard e dariya ka maza lene do....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #86 on: March 07, 2006, 12:24:17 PM » |
|
Well Said All....
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #87 on: March 08, 2006, 09:40:21 AM » |
|
Zindagi ke daman-e-hairat mein ye manzar bhi tha Jiske paas ayena tha wo Shakhs be-Jauhar bhi tha Main kay sari umr jalwon ke ta`aqub mein raha Ik Jahan-e-Husn meri ankh ke andar bhi tha
N/M
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #88 on: March 08, 2006, 09:40:59 AM » |
|
Bahut Maheen tha Pardah larazti palkon ka Mujhay Chhupaya bhi tu nay mujhay dikhaya bhi Beyaaz bhar bhi gayee aur phir bhi Sadah hay Tumharay naam ko likha bhi aur mitaya bhi
N/M
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Qutubuddin
Guest
|
|
«Reply #89 on: March 08, 2006, 09:42:45 AM » |
|
Iss Duniya Ki Bheer Mein Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Na Ho Yeh Zaroori To Nahi
Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori To Nahi
Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori To Nahi
Ye Dil Under Say Tootey Aur Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori To Nahi
Hum Under Say Jal Jaien Aur Dhuaan Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori To Nahi
Duniya Aapne Diye Huye Zakhmoo Per Marham Bhi Rakdey Ye Zaroori To Nahi...
Ques....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|