Ques... Collection .... Episode of Dard....

by Qutubuddin on January 14, 2006, 11:47:13 AM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 22
Print
Author  (Read 18206 times)
Qutubuddin
Guest
«Reply #90 on: March 08, 2006, 10:40:01 AM »
Un ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai,
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai,

Jis hasti ke yaad mein Aanso barstey hain,
Samne Unke kuch naa kehna acha lagta hai,

Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehtha hon,
Is liye bas door hi rehna acha lagta hai,

Jantha hon ke chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai,

Je chahey sab khushiyan laa kar Unko de doon,
Unke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai,

Unka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal Unki yaad mein roona acha lagta hai,

Unke bina sab khushiyan Ajeeb si lagti hain,
Roo Roo kar Unki yaad mein sona acha lagta hai


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #91 on: March 08, 2006, 10:44:19 AM »
khamosh raaho mien tera satha chahiye
tanha hai mera hath,tera hath chahiye

mujhko mere muqadar per itna yakee to hai
tujhko bhi mere lafz,meri baat chahiye

mien khud apni shairi ko kiya acha kehta
mujhko teri tareef,teri daad chahiye

ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
junoon-e-ishk ko teri soghat chahiye

tu mujhko paane ki khuhaish rakhti hai lakin
jeene ke liye teri mulaakat chahiye


Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #92 on: March 08, 2006, 10:44:53 AM »
khamosh raaho mien tera satha chahiye
tanha hai mera hath,tera hath chahiye

mujhko mere muqadar per itna yakee to hai
tujhko bhi mere lafz,meri baat chahiye

mien khud apni shairi ko kiya acha kehta
mujhko teri tareef,teri daad chahiye

ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
junoon-e-ishk ko teri soghat chahiye

tu mujhko paane ki khuhaish rakhti hai lakin
jeene ke liye teri mulaakat chahiye


Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #93 on: March 08, 2006, 12:55:09 PM »
Her samandar ke kinary hoty hain
Kuch apni jaan se bhi pyary hoty hain
Phir kiun kehty ho akely reh jaayengy !
Zindagi main yaadon ke bhi sahaary hoty hain.


Ques....
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #94 on: March 08, 2006, 01:37:08 PM »
question

na thi hamari kismat
ke vesaale yaar hota
na tum humko milte
na humko tumse pyaar hota

answer

ek baar rah main unka deedar hota
phir dil tadapta aur beqarar hota
unhi khmosh hum mar jate
magar phir bhi tera naam na badnam hota

Question

woh puchte hain........................

answer

dil ke hato sab majboor hote hai
magar dil phir bhi bada khas hota hai
ek tasveer dil main basa leta hai
phir bhi lagta hai bada nasamajh hota hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #95 on: March 08, 2006, 01:53:02 PM »
Well Come to YoIndia Mohsin Akhter....

Bhoot Khoob Jawab lekahai Aapnay..

"
ek baar rah main unka deedar hota
phir dil tadapta aur beqarar hota
unhi khmosh hum mar jate
magar phir bhi tera naam na badnam hota

"

Great Moshin..

Hope to see more of your post here..

Allah Hafiz

Ques....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #96 on: March 08, 2006, 04:12:21 PM »

Kabhi kaha na kisi se tere fasane ko
najaane kaise khabar hogayi zamane ko

suna hai gair ki mehfil mein tum na jaaoge
kaho to aaj saja lu gareeb khane ko

daba ke kabr mein sab chal diye na dua na salaam
zara si der mein kya hogaya zamane ko


~roshni~
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #97 on: March 09, 2006, 05:17:05 AM »
Bahoot Khoob roshni..

Zamanay Kaa Andas Bahoot Neraalaa Hai...
Aaj Apnaa Hai Tu Kal Paraayaa Hai...

Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #98 on: March 09, 2006, 10:50:30 AM »
Saaf Jab Us Ne Kahdia Mujs se Nahin Hai Pyar Usse  
Jaane Phir Aaj bhi Hai Kyon, Mera Hi intizaar Usse
 
Rooth Ke Chal diye Kabhi, CHam se Kabhi wo Aagaya  
Kis Ne Visaal-o-Hijr Ka, De dia ikhtiyar Usse
 
Ho Na saka Mujhe Kabhi, Hosla Be Vafai Ka  
Meri Bajaye Koi Aur Kargaya BeQarar Usse
 
Us ke FiraQ main Qateel, Teri to JaaN Chali Gai  
Tujh Sa hi Ab to Koi Aur Chahiye JaaN Nisar Usse


Ques....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #99 on: March 10, 2006, 11:45:18 AM »
Quote from: "Qutubuddin"
Saaf Jab Us Ne Kahdia Mujs se Nahin Hai Pyar Usse  
Jaane Phir Aaj bhi Hai Kyon, Mera Hi intizaar Usse
 
Rooth Ke Chal diye Kabhi, CHam se Kabhi wo Aagaya  
Kis Ne Visaal-o-Hijr Ka, De dia ikhtiyar Usse
 
Ho Na saka Mujhe Kabhi, Hosla Be Vafai Ka  
Meri Bajaye Koi Aur Kargaya BeQarar Usse
 
Us ke FiraQ main Qateel, Teri to JaaN Chali Gai  
Tujh Sa hi Ab to Koi Aur Chahiye JaaN Nisar Usse


Ques....


wonderfull   Ques   bhai............   also   nice  Roshni....& all........
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #100 on: March 11, 2006, 05:34:45 AM »
Sukreyaa Waheed..

I also except you to post something here..

Ques...
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #101 on: March 11, 2006, 06:14:35 AM »
Na Jaane Kyon Mujhe Us Se Hi Khof Lagta Hai  
Mere Liye jo Zamane Ko CHor Aaya Hai
 
RafaQaton Ke Safar Main to Be YaQeeni thi  
Ye Faasla Hai Jo Rishtay Banaye Rakhta Hai
 
Wo Khwab Thay jinahin Hum Mil Ke Dekh Sakte thay  
Ye Baar-e-Zeest Hai Tanha Uthaana Parta Hai
 
Andheri Shab Ke Hawalon Main Us Ko Rakha Hai  
Jo Ek SHahar ki Neendain Ura Ke SOya Hai
 
Hamain Kitabon Main Kia Dhundne CHale Ho "Ques..."  
Jo Hum ko Padh Nahi Paaye Unhinay Likha Hai


Ques....
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #102 on: March 11, 2006, 12:07:18 PM »
Perchaiyon Ki Anjuman Aarai De Gaya  
Kitni Ajeeb WO Mujhe Tanhai De Gaya
 
Wo Kitna Hosh Mand tha jo Mere Naam Se  
Mashoor Khud Hua Mujhe Ruswai De Gaya
 
Mera Kia ilaaj Muhabbat ke Zahar Se  
Qatil Mujhe Fareb-e-Masihai De Gaya
 
Ek Ek Pal Main Beet Rahi Hai Hazar Humr  
Sadiyon Ka intizaar Wo Harjaai De Gaya
 
Chehre Ab Asal Roop Main Aayen Nazar Qateel  
Aankhain Churake Wo Mujhe Beenai De Gaya


Ques....
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #103 on: March 11, 2006, 12:17:22 PM »
The Style Guru says......

Bahut hi umda Qutub bro!!!

Arz hai.....

Dete hain zakhm wo gehra ki dikhai nahi deta,
Lafzon se bada koi khanzar nahi hota......
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #104 on: March 11, 2006, 12:58:51 PM »
Bhoot Khoob Guru..

Dete hain zakhm wo gehra ki dikhai nahi deta,
Lafzon se bada koi khanzar nahi hota......

Aapnay Bhee Bhoot Khoob Kahaa Hai....

Ques....
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 22
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 09:41:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer