Raat ka Deepak (Shikha)

by Shikha12 on March 04, 2006, 10:59:51 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3093 times)
Shikha12
Guest
Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: March 04, 2006, 11:37:29 AM »
Quote from: "Shikha12"

Fantastic Shikha ji..........and u r avatar is also good.........

Raat ke Deepak ko Aaj Din me jalaye baitha hoon......
Kar de kuch rehem-o-karam mujh par bhi......
Dekh kabse tere Intezaar mein baitha hoon.....
Aayegi tu kabhi isi aas mein tayyar baitha hoon......
Inkaar sunte hee maut ko gale lagaye baitha hoon......
Aur kab talak jeena hoga teri yaadon k sahare.....
Dekh teri khushion me aaj Raah mein hee mehfilein sajaye baitha hoon........
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #2 on: March 04, 2006, 01:09:00 PM »
Superb Shikha And most well Cum @ YOindia.com

No need 2 Mention Bout Badnaam bhai

  ~ ~ ~ > Great JOb Both < ~ ~ ~
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2006, 05:47:28 AM »
Ek deepak ko dekha kal raat bhar jaltey hue...
Apni tanhai main bhi roshni sey bhartey hue....

Suni si diwaar ko ek tak taaktey hue,
Kisi ki tasveer key peechey chup kar rotey hue....
Aansu barsaatey hue, kabhi tez to kabhi dhimey dhimey....
Aur chupatey hue woh kaley nishaan dil key,
apney aap ko khud hi jalaatey hue....

Woh uska bethna khud andherey main,
aur palken jhapkna neem andherey main...
Kai rangon mein dhalna uska...
kisi key barey main sochtey hue....
timtimatey hue aur luplapatey hue....

Woh roshan raha raat bhar sirf intezaar mey Mehboob-e-seher ki....
Aur seher key aatey hi shaant sa ho gaya....
Ek nazar mehboob ki miltey hi woh sada key liye so gaya.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2006, 06:23:17 AM »
bahut khub shikha..............

jindagi ke andahro ko mitaane ke liye
ek deep mohabbat ka jalaya hamne

tere har khawab ko sach banane ke liye
tere har sukh -dukh ko apnaya hamne

khud jalte rahe ek deepak ki taraha
aur tujhse apne har gum ko chhipaya hamne

teri raahe mehakati rahe sada  ujale se
isliye khud ko tere liye mitaya hamne
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2006, 09:38:19 AM »
Bahut khoob Ranjana and Majid... =D>
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2006, 09:55:19 AM »

Haal apney dil ka is tarah sey bata gaya koi...
Aaina zamaney ka mujhko dikha gaya koi....

Woh shaksh jo hasta tha, deta tha hosla sabko,
Khud to roya aur mujhko bhi rula gaya koi....

Kehney laga muhabbat kya hai koi seekhey humsey,
Hum ko to pehli hi nazar mey bha gaya koi....

Khol kar rakh di samney usney apni zindagi ki kitaab,
jismey har lafz aansu bhara tha padha gaya koi....

Jo poocha humney kyon jaagtey rahey saari raat tum,
bola ki humko to umr bhar key liye jaga gaya koi....

Kaisey jiya jaata hai bhala bolo to sanam key begair,
Andherey mey chupchaap sey ek deep jala gaya koi....
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2006, 10:03:55 AM »
Shikha

Behtareen Kalaam ! =D> =D> =D>

Shayad kisi ki kahani bayaan kar di aap ne !

Bahut achcha laga padh kar !

Rajbir
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: June 16, 2006, 10:16:07 AM »
Quote from: "Rajbir"
Shikha

Behtareen Kalaam ! =D> =D> =D>

Shayad kisi ki kahani bayaan kar di aap ne !

Bahut achcha laga padh kar !

Rajbir

Thanks Rajbir..... Usual Smile Bahut bahut Shukriya....  Usual Smile

Kisi ki kahaani hi bayaan kari hai.... woh bhi satya katha....  :wink:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: June 16, 2006, 10:33:08 AM »
bahut khub Shikha ........bahut sach likh diya aapne....

jab mile they hum jindagi mein toh khusi thee unsemilne ki
ho  gaya dil udas mera jab woh  bhi hans pade jaate samay

yeh toh  they janam janam ke rishte nibahate toh sahi
Rab mera soch leta mere naseeb baanate samay......

maine apne ghronde ko sajaya thaa tinka tinka karke
khuda tuje laaj bhi na aayi is per bijali giraate samay

andahre se hum bhi dukhi hain magar ujala sirf isliye na kiya
ki kahi yaad unki na jal jaaye yeh zakhame dil jalate samay

                                                                        [not purly mine]
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2006, 12:36:48 PM »
Quote from: "Shikha12"

Haal apney dil ka is tarah sey bata gaya koi...
Aaina zamaney ka mujhko dikha gaya koi....

Woh shaksh jo hasta tha, deta tha hosla sabko,
Khud to roya aur mujhko bhi rula gaya koi....

Kehney laga muhabbat kya hai koi seekhey humsey,
Hum ko to pehli hi nazar mey bha gaya koi....

Khol kar rakh di samney usney apni zindagi ki kitaab,
jismey har lafz aansu bhara tha padha gaya koi....

Jo poocha humney kyon jaagtey rahey saari raat tum,
bola ki humko to umr bhar key liye jaga gaya koi....

Kaisey jiya jaata hai bhala bolo to sanam key begair,
Andherey mey chupchaap sey ek deep jala gaya koi....

Tujhse Alag hoke bhi main tujhse alag ho na paya......
Jab jab Soya teri Yaad ke sahare....toh Subha bhuja Deepak bhi hai maine Jalta paya.......

Sochta hoon kya kahun ise kya khuli aankhon se khawaab dikha gaya koi......
Ya phir apne Shikwon se bhi mujhe Nikaal gaya koi.......

Tadapta hai Zarra Zarra meri Mahobbat ka.......
Par meri Laash ko Samshaan bhi na le gaya koi.......

Bhujaya tha jo Deepak maine usse Door jaane ko.......
Tere Lafz padkar use Phir se jala gaya koi........!!!!!!!!!!!!
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: June 16, 2006, 01:05:38 PM »
Quote from: "Shikha12"
Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha....

wow excellent ...kya baath hai shika jee

n bahut khoob all
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2006, 01:36:04 PM »
Very nice Ranjana.....  =D>  =D>
And Beautiful work Gaurav  =D>  =D>  =D>

Dard-o-Gum nazar aata hai humko is zamaney mey,
apna gum humko kum lagney laga is zamaney mey....

Hanstey hue chehrey key peechey chupey hai maayusi key saaye,
hum ney jis bhi kisi chehrey key peechey jhaankh kar dekha...
Har khushi key saaye mey paltey dekhey humney dard key saaye,
Jashn bananey waley ki aankh mey humney jhaankh kar dekha

Sab ko paaya humney maahir yahan apna gum chupaney mey,
Apna gum humko kum lagney laga is zamaney mey....

Apney ashkon key sath khoon-e-jigar peetey dekha yahan logo ko,
zindagi ko roz ek naye sirey key saath jeetey dekha yahan logo ko...
Apney jeevan mey roz ek nayi subaah ki talaash kartey hue,
Aur apney kadmon key taley har roz naye aakash kartey hue...

Ek deepak ki tarah roshni bikhertey hue har viraaney mey,
Apna gum humko kum lagney laga is zamaney mey....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2006, 01:46:43 PM »
Quote from: "salma4u"
Quote from: "Shikha12"
Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha....

wow excellent ...kya baath hai shika jee

n bahut khoob all

Thanks a lot Salma.....[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2006, 01:50:40 PM »
wah kaya baat hai Shikha, RANJU and BS JI!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 12:50:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer