Raat kaalee hai...........Mamta Bajpai

by mamta bajpai on October 24, 2010, 09:25:08 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 902 times)
mamta bajpai
Guest
Raat kaalee hai ujaale kaa koi saath naheeN
mai akelaa hee sahee phir bhee koi baat naheeN

chaaNd bhee mujhko dagha detaa ghataa me chup kar
kyaa kareN usme mere pyaar ke jazbaat naheeN

kyoN udaasi hai teri aaNkhoN me haNsee hai lab par
poocheN jo tum se to kahte ho koi baat naheeN

raat bhee royee hai mere saath ye shabnam ne kahaa
kaise samjhaaoN use aise bhee haalaat naheeN

dard hee aisaa hai mai kaise sambhaalooN isko
jo zamaane se guzar jaaoN baRhee baat naheeN

Mamta Bajpai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ROODAD-E-WAFA..................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
berukhi..............................mamta bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri
Berukhi..............................Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri
ek baar to................mamta bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
AaNkheN............................Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 24, 2010, 09:30:18 AM »
Wah Mamta jee kya chupaya aur dikhaya hai apne dard ko.......really I love the way you carry the whole ghazal.......dil me ek baar aaya kuch main bhi likhu.....par himmat nahi hui.

Very well done.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: October 24, 2010, 05:16:31 PM »
Bahut bahut shukriyaa Sajid jee!

dil ko mile zakhm kahaaN bharte haiN
aah bhar ke yuN hee jeete marte haiN
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: October 24, 2010, 05:52:10 PM »
Mamta Jee Aadaab!

Aapki kalaam nazar nawaaz huyi badi masarrat huyi Usual Smile
Matla hi padheN hai behad umdaa raha ...

Chaliye aapki Gazal per aate hai.. Usual Smile         



Raat kaalee hai ujaale kaa koi saath naheeN
mai akelaa hee sahee phir bhee koi baat naheeN

Masha Allah Mamtaa Jee .. Behad gehri soch ka moti nazar nawaaz kiya hai aapne is matle meiN waah daaad daad daad... Ekdum nayii soch ko anjaam dia hai jee aapne daad Usual Smile         


chaaNd bhee mujhko dagha detaa ghataa me chup kar
kyaa kareN usme mere pyaar ke jazbaat naheeN

Waah jee waah aapka andaaz e bayaaN behad dilkash hai daad Usual Smile         


kyoN udaasi hai teri aaNkhoN me haNsee hai lab par
poocheN jo tum se to kahte ho koi baat naheeN

Hmmm jee kuch apne dil ke haal sa laga hume yeH sher daad Usual Smile         


raat bhee royee hai mere saath ye shabnam ne kahaa
kaise samjhaaoN use aise bhee haalaat naheeN

Oye hoye kia gazab ka sher kaha hai jee..
Bahut khoob daad... Is sher ka bhi andaaz e bayaaN khoob raha jee daad         



dard hee aisaa hai mai kaise sambhaalooN isko
jo zamaane se guzar jaaoN baRhee baat naheeN

Waah jee waah... No words, Usual Smile Usual Smile Usual Smile         


Mamta Bajpai

Mamtaa jee aapke sabhi sher aik se badhkar aik raheN daad hazir hai..... Kabool kijiye..

 Ab humare kam ilm se hume yahaaN metter ka zikra to nahi karna chahiye per hume metter meiN gadbad lagi hai aapke is gazal meiN... Shayad aap urdu roman ko sahiN se likhi nahi hai yaa phir word ke wazan meiN nahi likhi hai isliye..

Khair is per hum bahas nahi karte humari sugesstion yeH hai ke urdu roman meiN word ke wazan ke hisab se words likhiye jisse lambi yaa choti awaaz ka pata chale..

Baki aap aik umdaa shohara hai yeh humare kahne na kahne se kuch nahi.. KoyiN baat gar nagawaar guzari ho to mazarrat chahte hai...

Likhati rahiye..
khush O aabaad rahiye...
khuda hafez... Usual Smile         

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 24, 2010, 10:32:06 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: October 25, 2010, 05:10:00 PM »
Shukriya bahut bahut shukriya Hriday jee aap kee bajti hui taaliyoN kaa .....kuch na likhte hue bhee bahut kuch likh gaye ...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: October 26, 2010, 05:18:17 PM »
Shihab jee gazal ko pasand farmane ke liye dil se aabhaari hooN...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: October 26, 2010, 05:20:05 PM »
Parvez jee gazal ke liye apnaa qeematee waqt dene ,pasand farmaane or nek mashware ke liye bahut bahut shukriyaa...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:33:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer