!!! Raat !!!

by Just_Hate_Love on August 19, 2007, 08:03:37 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 897 times)
Just_Hate_Love
Guest
Soory all of you guyz for not posting for long ...
Actually i was out of town and when came back i had fallen sick ...
But now i m fit for everything ...
Here is my first after a long time ...
Hope you all would like it ...

Raat ki aaghosh mein andhero ke saath main behosh ho raha tha,
Maut ko zinda rakhne ki koshish mein tha mujhe samjhane na aaya koi,
Raat ka sannata ajeeb sa sukoon lata hai dil mein aur tanhaai bhi,
Aaj kyu na jaane roshni ke liye mere dil ko roz ki tarah jalane na aaya koi,
Raat ka intezaar isiliye karte hai ki kab neend aaye aur unke khwaab bhi,
Neend hi na aayi magar hame us qayamat ki yaad bhi dilane na aaya koi,
Raat mein aasmaan ki barahnagi, roshni ki be-kasi aur sanam ki bewafaai,
Sab kuchh saaf nazar aa raha tha hame kyu is bebas raat ko churane na aaya koi,
Raat mein andhkaar ke saath mera dard bhi badh raha tha, mere liye baadal bhi ro raha tha,
Aansuo ko rokne na sahi lekin un  aansuo mein mere sang beh jaane na aaya koi,
Raat aate hi dard unka bhi badh jaata tha jo the quboor mein to phir hamara kya hai,
Mahfoom aaj ka unka kal se tha shayad kyunki hum aaj jab soye ti uthaane na aaya koi ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
Har Raat....... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Wo Raat by Manish_Friend in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
RAAT by budhu_1 in Shayri-E-Dard
raat ho gyi to by desikuri in Shayri-E-Dard
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2007, 08:32:11 AM »
JLH

Nice to see you back after so long.
Hope that you have recovered fully from your sickness.
Dua karta hoon ki aap sada fit and fighting spirit mein rahein.

Aap ki rachna bahut he umda hai.
Har baar ki tarah.


Aap ke wapis aane se kuch saathi phir se likhne ko jhoom uthenge :D
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: August 19, 2007, 05:34:00 PM »
That was really nice.
hwo are you now,
take care dear...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2007, 08:03:12 AM »
I m really thankful to all of you ...
Shayad kisiki duao ka asar hai aur ho sakta hai wo aap sab hi ho ...
Mujhe bilkul bhi ummeed nahi thi ki itne waqt ke baad main kuchh achha likh paaunga ...
Thanks a lot anywayz for appreciation ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: August 26, 2007, 03:53:00 PM »
sahi kaha veer ji.... JHL ji posts aor replies ka hamesha hi intzaar rahta hai Usual Smile

Welcome back..JHL ji... ab atte rahiyega...

bahoot hi acha likha hai apne, hamesha ki tarah....

Raat ki andhiyare main kahte hai sab kuch thum jaata hai
Yah dil ka dard na jaane kyun bard jaata hai

Siskata hai, bilkhata hai, tadpata hai us shkas ke liye
Jise ek pal ko bhi humara dhayan nahi atta hai…..

Bard jaati hai tanhaai, khud se khud baat karte hai
Hazaro sawal khud se, koi bhi jawab nahi atta hai

Siskati raat kahti hai roj, subah ka intzaar kar le
Her subah ki raat main, wo tadpta manjar ban jaata hai….
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #5 on: August 26, 2007, 03:57:45 PM »
bohaat acha likha hai aap dono ne...

keep up the spirits!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: August 27, 2007, 04:45:48 PM »
JHL...bohot hi achcha likha hai aapne....bohot khoob !! Nice one from you Pooja !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2007, 05:44:27 PM »
Shukaria Manav ji and Talat!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: September 09, 2007, 09:48:31 AM »
Thanks a lot Pooja, Manav and Talat for appreciation ...
And good one Pooji ...


Tumne hame bhula diya kuchh bura nahi kiya,
Aansu ko aankhon se juda kiya kuchh bura nahi kiya,

Jis dil ne chaha tha tumko hadd se zyada kabhi,
Usi dil ko tune chura liya kuchh bura nahi kiya,

Nazre har baatien kiya karti thi teri nazro se,
Aaj tune nazro ko jhuka diya kuchh bura nahi kiya ...
[Continue this one if possible ...]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 09, 2007, 02:38:19 PM »
wah wah wah kaya baat hai, bahoot khoob JHL ji!! kamal ka likha hai.... her ek line bahoot gahari hai.... last ki do line to hamesha yaad rahegi...

bahoot khoob!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: September 09, 2007, 05:06:15 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Thanks a lot Pooja, Manav and Talat for appreciation ...
And good one Pooji ...


Tumne hame bhula diya kuchh bura nahi kiya,
Aansu ko aankhon se juda kiya kuchh bura nahi kiya,

Jis dil ne chaha tha tumko hadd se zyada kabhi,
Usi dil ko tune chura liya kuchh bura nahi kiya,

Nazre har baatien kiya karti thi teri nazro se,
Aaj tune nazro ko jhuka diya kuchh bura nahi kiya ...
[Continue this one if possible ...]


Nice one,
ek chhoti si koshish...

Tere liye jeete the din raat hum tera naam lete the,
tune thukraya hamein gairon ke liye kuchh bura nahi kiya,

Sajde mein jhukta tha sar tere liye hi duwayein aati thi,
aaj chheen liya tune haq duwaon ka kuchh bura nahi kiya,

na karenge ab pyaar kisise, na shareek karenge zindagi mein kisiko,
tune bana liya apna naya aashiyana, kuchh bura nahi kiya...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #11 on: September 23, 2007, 11:03:12 AM »
Beautiful Dear ...
I loved it ...


Jis aansu ko bacha rakha tha humne kabhi rone ke liye,
Tune us aansu ko aaj baha diya kuchh bura nahi liya ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 14, 2008, 10:42:20 PM »
ro dete to shayad kah paate kuch se
ruke ansuo ne kuch kahne na diya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 04:51:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 1.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer