~~~Rahesmay zindgi aur yeh chanchal maan~~~

by Tosha on July 13, 2005, 05:18:15 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2642 times)
Tosha
Guest
Rahesmay zindgi aur yeh chanchal maan
Na jane kya chata hai mujhse yeh jeevan

Kasauti hai koi ya ruthi mujhse hai kismat
Bhagte lamho main khud ko nahi khud ke liye fursat

Mile jo koi ajnabi suni raho main kabhi kabhar
Pal do pal ke aaye halchal, katil karne aaye bahar

Aake zindgi main chala jaye har ek ajnabi
Sukun is dil ko aake bhi aaye na kabhi

Bathi hun rahi main parose aapna dil
Uche hai khuawish chuhi na main manzil
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wo chanchal by tushar_4u_im in Shayari -e- Husn
mann mera hai chanchal hiran !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
kyu maan krda zindgi te............. by Gurpreet singh longia in Shairi - E - Zindagi
chanchal mann by Monita in Share:Miscellaneous Shayari
Chanchal bachhe by Aditya Goyal in Share:Funny Poetry
Meena
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2005, 05:20:19 PM »
Quote from: "Tosha"
Rahesmay zindgi aur yeh chanchal maan
Na jane kya chata hai mujhse yeh jeevan

Kasauti hai koi ya ruthi mujhse hai kismat
Bhagte lamho main khud ko nahi khud ke liye fursat

Mile jo koi ajnabi suni raho main kabhi kabhar
Pal do pal ke aaye halchal, katil karne aaye bahar

Aake zindgi main chala jaye har ek ajnabi
Sukun is dil ko aake bhi aaye na kabhi

Bathi hun rahi main parose aapna dil
Uche hai khuawish chuhi na main manzil


hmm nice one toshu!!  :D
Logged
jeetufor_u
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2005, 05:32:27 PM »
nice tosha

Teri bewafai pe fida hoti hai jaan apni…
khuda jaane agar tujhme wafa hoti toh kyaa hota

yaar site kaise banai ye  to bata
Logged
Tosha
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2005, 05:53:25 PM »
Thanx a lot Meena sistur... n Jeetu ji..!
...
yeh site akal aur lagan se banaye hai.
...
meri bewafi saboot hai un zakhmo ka
khaye jo zindgi ke har modh pe
wafao se aab nata chor diya
umeed nahi to kya siyenge yeh katra dil
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2005, 07:47:36 PM »
Mile jo koi ajnabi suni raho main kabhi kabhar
Pal do pal ke aaye halchal, katil karne aaye bahar


Bohat khoob Tosha...
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: July 13, 2005, 07:48:02 PM »
Quote from: "Tosha"
Rahesmay zindgi aur yeh chanchal maan
Na jane kya chata hai mujhse yeh jeevan

Kasauti hai koi ya ruthi mujhse hai kismat
Bhagte lamho main khud ko nahi khud ke liye fursat

Mile jo koi ajnabi suni raho main kabhi kabhar
Pal do pal ke aaye halchal, katil karne aaye bahar

Aake zindgi main chala jaye har ek ajnabi
Sukun is dil ko aake bhi aaye na kabhi

Bathi hun rahi main parose aapna dil
Uche hai khuawish chuhi na main manzil


waah waah Popat .. bahot khoob !!  

amazing Tosha !!

nashe mein kadam ladhkhada hi jaate hain kya karen?
kadam hum sambhal bhi len, iraadon ka kya karen?

nahin doob sakta in jheel si gehri aankhon mein,
maine bahaye hain ashqon ke dariye kya karen?

main bana to leta tujhe jaan-e-jigar apna,
tha jism mein dil ek hi magar kya karen?

na kar humse guzaarish kadam se kadam milane ki,
ab nahin hum ladkhadaane ke bhi kabil,kya karen?

chaha to bahut chhupana, par chhupa na paaya dard,
ke tumhe dekh kar mahakte hain zakham kya karen?

Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2005, 08:39:29 PM »
wah kaya baat hai kaya andaaz hai bahoot khoob Tosha and HumTum ji.........................Tosha ji kaya khoob apka Jeetu ji ko jawab hai.......kamal hai kamal hai kamal hai!!!!!

na ashako se bana hai, na aaho se banega
jo dil toot gaya, wo na jeewan bhar jurega!!!!

Mana ki teri duniyan mai bandon ki kami nahi hai
per mai kaya karu, muje to tune dil bas ek hi diya hai!!!

mari nahi, marugi bhi nahi, per bas itani iltaza hai
akar rah mere sang, dekh har roj, tune mujko kaya jeewan diya hai!!!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2005, 04:41:16 AM »
Quote from: "Pooja"


Mana ki teri duniyan mai bandon ki kami nahi hai
per mai kaya karu, muje to tune dil bas ek hi diya hai!!!





Quote from: "HumTum"

waah waah Popat .. bahot khoob !!  

amazing Tosha !!




main bana to leta tujhe jaan-e-jigar apna,
tha jism mein dil ek hi magar kya karen?





yeh hai dil ko chudene wali baat
maano zakham pe koi phuk raha ho
hole hole sahelate hue zakham kharod raha ho
aur chedo wo zakhmo ko dil kahe raha ho


Thank Pooja ... Aryaan ... Mr YO Gunde ... and last but never the least Pheeke Gunde, HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2005, 08:07:35 AM »
Quote from: "Tosha"




Quote from: "HumTum"



main bana to leta tujhe jaan-e-jigar apna,
tha jism mein dil ek hi magar kya karen?



yeh hai dil ko chudene wali baat
maano zakham pe koi phuk raha ho
hole hole sahelate hue zakham kharod raha ho
aur chedo wo zakhmo ko dil kahe raha ho


Thank Pooja ... Aryaan ... Mr YO Gunde ... and last but never the least Pheeke Gunde, HumTum



aree pleasure ji !!

mujhe maloom thaa woh bewafa nahin thaa go
woh jis lihaaz se bola woh bewafa sa laga
kabhee socha to woh gam behisaabana gam tha
kabhee sochaa wahee gam dil ko bas zara sa laga !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #9 on: July 14, 2005, 08:12:32 AM »
kya baat hai Humtum ji ....veryu nice......

GUm hi mein kat gai mri zindagi saari
abh tuh main hun aur bas hai gum ki khumari
na jane kaisi aadat si pad gai hai mujhe gum mein rehne ki
abh tuh aankhen bahati hai ansu harsu aur dil karta hai gum ki savari
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: July 14, 2005, 08:21:23 AM »
waah sandhaya ji ...

issi ghum se mera ab jeevan bhar ka nata hai
kissi bhi khushi ka ab mujhey intzaar nhi
itna toot chuka hoon rah e ishq mein chalte huye
ab mere dil ko jeene ki arzuu shokaar nhi !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: July 14, 2005, 08:26:22 AM »
nice ........and thannks...humtum ji

Gum ka matlab humne jana hai mahobaat ke baad
abh uth bas hum hai aur gum hai mera mere ghar main mere saath
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: July 14, 2005, 08:30:30 AM »
nice sandhaya ji .....

unki ek muskurahat per hum fida hue the kabhi
dil torkar hasna shayad uska hunar sa lagta hai
hum apni zindagi ke rahber se chot kha gaye "HumTum"
uska kiya hua har ek vaada ab khanjar sa lagta hai !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #13 on: July 14, 2005, 08:59:58 AM »
Puzzled ! bahut khoob Shandhaya n Mr Pheeke!!!

.................................
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: July 14, 2005, 09:07:32 AM »
Puzzled ! Thanx a lot Popat  Puzzled !

.................................................
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:25:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer