Rahta Hu Shaad Nigaaho Ke Mijaaj Kahte Hai

by manu1979 on May 27, 2006, 07:14:41 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 837 times)
manu1979
Guest
hello  kuchh apne hi dosto ke jazbaat paish karta hu,shayad aap ko pasand aaye

Rahta hu shaad nigaaho ke mijaaj kahte hai
Muskurata hu ,na jaane kyun ashq bahte hai

Lut liya mujh ko mere chahnevaalo ne  mil kar
Ab tanhaayi mai gam ke aansu saath rahte hai

Mere daman ko chhooa usne shingrafi labo se
Har jakham has has kar har khalish sahte hai

Diya rog jisne ishq ka vo hai dard se bekhabar
Mile to puchhte hai beemar ab haal kaise hai

Jab Jab ungliyaaN uthti hai zamane ki ham par
Voh khamoshi se lipat kar bejuban baithe hai

Teri yaad mai mere paas teri muskaan rahti hai
Ab muflisi mai manu sab ko ye saugaat dete hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: May 27, 2006, 07:18:59 PM »
Quote from: "manu1979"

Brilliant Manu
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #2 on: May 27, 2006, 07:32:43 PM »
hi badnaam shayar ji aap ne meri post par apne khubsurat andaaz mai kuchh likha nahi isi liye mujhe thoda taazub hua, aap ke shayarane andaaz ke parche janaab hame bhi dete rahiye, to ye mahfil yunhi sajati sanwarti rahe.

aap ka shukriya meri post ko pasand karne ke liye par jab tak aap kuchh likhenge nahi mehfil nahi jamegi

regards
take care
manu

mai kuchh likh kar jaata hu

Dur rah kar bhi tu mere paas hai
In hawaao mai kahi tera ahsaas hai
Ye mahobbat ki kashish ye bekaraari
Justazoo teri unbujhi si pyaas hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: May 27, 2006, 07:39:16 PM »
Yeh lijiye kuch meri taraf se

Arz hai......

Na kar tu Husn ko Parda nasheen......
Bann jayega tu Deewana iska.....
Door le jayegi tujhe kahin......

Dard milega sab Khushion ke badle.....
Par kisi ko kehna nahi.....

Badnaam ho jaana khud......
Par Badnaam Mahobbat hone dena nahi.........
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: May 27, 2006, 07:44:57 PM »
Quote from: "manu1979"
hello  kuchh apne hi dosto ke jazbaat paish karta hu,shayad aap ko pasand aaye

Rahta hu shaad nigaaho ke mijaaj kahte hai
Muskurata hu ,na jaane kyun ashq bahte hai

Lut liya mujh ko mere chahnevaalo ne  mil kar
Ab tanhaayi mai gam ke aansu saath rahte hai

Mere daman ko chhooa usne shingrafi labo se
Har jakham has has kar har khalish sahte hai

Diya rog jisne ishq ka vo hai dard se bekhabar
Mile to puchhte hai beemar ab haal kaise hai

Jab Jab ungliyaaN uthti hai zamane ki ham par
Voh khamoshi se lipat kar bejuban baithe hai

Teri yaad mai mere paas teri muskaan rahti hai
Ab muflisi mai manu sab ko ye saugaat dete hai

wah wah manu ji brilliant

unki khamoshi ko bewfai jo samjha tune
yeh unke ishq ki tohin hogi
woh chup isliye thi kyunki uski bhi abroo hai
jo tere samne aaj nilaam hogi
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #5 on: May 27, 2006, 07:49:35 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Yeh lijiye kuch meri taraf se

Arz hai......

Na kar tu Husn ko Parda nasheen......
Bann jayega tu Deewana iska.....
Door le jayegi tujhe kahin......

Dard milega sab Khushion ke badle.....
Par kisi ko kehna nahi.....

Badnaam ho jaana khud......
Par Badnaam Mahobbat hone dena nahi.........

ye mahoobat ye tishnagi teri
na uda le jaaye zindagi meri
ye dillagi  na bana dil ki lagi
ye dosti ko rakh bandagi meri

regards
manu
Logged
phoenix
Guest
«Reply #6 on: May 27, 2006, 07:56:34 PM »
nice manu ji Usual Smile
Logged
manu1979
Guest
hi
«Reply #7 on: May 27, 2006, 08:13:45 PM »
hi phoenix ji

aap aaye to bahaar aaye
ghazalo ko karaar aaye
chand intzaar ke lamhe
saath mai le kar pyaar aaye
dosti mai hamaari nikhar aaye
lamha lamha beshumaar aaye

hope u like that
keep coming
thanx
regards and love
manu
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:06:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer