...~~ranj-o-gham~~...

by HumTum on June 24, 2005, 03:07:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1517 times)
HumTum
Guest
Pee jaayun tere ranj-o-ghum, rahe na koi pyaas baqi
dum toote agosh mein teri,aarzoo hai yahi khaas baqi

yaadoN ka kafan odh ke, ho jaayun jhaan se rukhsat
dharkane tere naam ki hon,dil bhi rahe na paas baqi

chupa lena meri maut ka ghum,hothoN ke tbbassum meiN
varna kya doge, is zmaane ko, wafaa meiN hisaab baqi

jhuk ke sajda bhi na kar paaye, agar, jnaaze ko mere
dekh lena nazar bhar ke,toote na dil ki aas baaqi

*qasid ne sunayee jab, mere mar jaane ki khabar
rang hua zard 'HumTum', rahe na hosho-hwaas baqi




qasid = postman

[/color]
Logged
Meena
Guest
«Reply #1 on: June 24, 2005, 06:40:09 PM »
wah humtum wah!!!

"chupa lena meri maut ka ghum,hothoN ke tbbassum meiN
varna kya doge, is zmaane ko, wafaa meiN hisaab baqi

jhuk ke sajda bhi na kar paaye, agar, jnaaze ko mere
dekh lena nazar bhar ke,toote na dil ki aas baaqi "


yeh bohot achi lines hai!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: June 25, 2005, 05:54:14 PM »
Shukriya Meena ji ...

ahsaan hai tera dil par  ke ishq toone sikhaaya
doondha kayi baar dil ko  dariya -e- gum hi paaya

lutaaya kayi baar is dilko humne teri khaatir
rang teri wafa ka mere  ashko mein nazar aaya

hoti hai band saanse na hoga shikva kisiko
samjhenge wo ke unko  koi khwaab bura aaya !!!!

Logged
Tosha
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2005, 10:48:18 PM »
good good...hai ji!!!
....
daard le ke ek hasi de ke
mujhe dobara jeena tum sikhagaye
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: June 25, 2005, 10:55:46 PM »
Shukriya Tosha ji ....

mere laboo ki muskurahat pe na ja
iss dil mein bahut ghum hai chupaye huye
mere dost na ho jaye mere ghum se udas
iss liye hum iss mehfil mien hai muskuraye huye !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2005, 11:08:57 PM »
good hai...good hai..!!
...
har hasi ke peche koi raz hota hai
jo jayda hase uske paas jazbaat hota hai
hasi to maksad hai ghum chupane ka
hasi to mohra hai maan bahelane ka
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: June 25, 2005, 11:37:11 PM »
aatey hai iss mehfil mein hasney hsaney ke liye
dil min chupey ghum ko kcuh der bhulaney ke liye
aap jaseey dost milye hai, shukr hai khuda ka
sahara ban gaye hai hamara khud ko behlaney ke liye !!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2005, 06:44:25 AM »
yeh mahefil hai dilwalo ko
yeh mahefil hai hasne hasane walo ko
yeh mahefil hai aapna dil bahelane walo ki
nazre bachaki kaha jayoge daard-e-hasi chupa na paoge
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:02:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer