Reh-Guzar...!!!

by Delicate_Doll on February 05, 2007, 12:55:41 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3438 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: February 10, 2007, 07:53:31 PM »
Thanks salma
hey this was wonderful...


Haan Abhi Soch Le
Faislon Ka Safar
Lafz Ki Narm Chaanv Mein Katta Nahin
Aur Sun
Faislon Ki Nadamat Se TaQleef Deh Koi Bhi Dukh Nahin
Jitne Khadshe Mere Saath Chalne Mein Hain
Is Dorahe Pe Ruk
Aur Inhe Apni Aankhon Mein Tarteeb De
Jaan Le
WaQt Ke Dasht-E-Bey Barg Mein Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahin
(Manzaron Ka Naya Pan Puraani Ruton Ke Liye Maut Hai)
Jo Hawaa Mere Jumley Ke Aghaaz Mein
Tere Baalon Ko Chhute Hue Chal Rahi Thi Usi WaQt Se
Mar Chuki Hai Ke Ab
Us Ka Hona Na Hona Tere Waste Ek Hai
(Aur Tujh Ko Pata Hai Kisi Ki Zindagi Us Ta'aluQ Se Hai Jo Kisi Zaat K Rabtey Se Bane)
Haan Yehi WaQt Hai
Rabte Aur TaaluQ Ke Mayne Samajh
Jitney Khadshey Merey Saath Chalne Mein Hain
Is Dorahe Par Ruk
Aur Inhein Apni Aankhon Mein Tarteeb Dey
Ke Abhi Tere Haathon Ka Har Rabta
Tere Haathon Mein Hai!!!
* * * * *

nm
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #16 on: February 13, 2007, 11:34:57 AM »
thanks huzena...n gr8 one too Usual Smile
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #17 on: February 13, 2007, 11:45:19 AM »
ulfat kaa jab kisii ne liyaa naam ro pa.De
apanii vafaa kaa soch ke a.njaam ro pa.De


har shaam ye savaal muhabbat se kyaa milaa
har shaam ye javaab ke har shaam ro pa.De


raah-e-vafaa me.n hamako Khushii kii talaash thii
do gaam hii chale the ke har gaam ro pa.De


ronaa nasiib me.n hai to auro.n se kyaa gilaa
apane hii sar liyaa koii ilzaam ro pa.De
nm
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #18 on: February 13, 2007, 01:42:57 PM »
ta.ng aa chuke hai.n kash-ma-kash-e-zindagii se ham
Thukaraa naa de.n jahaa.N ko kahii.n bedilii se ham


maayuusii-e-ma'al-e-mohabbat naa puuchhiye
apano.n se pesh aaye hai.n begaanagii se ham


[ma'al=consequence]


lo aaj hamane to.D diyaa rishtaa-e-ummiid
lo ab kabhii gilaa naa kare.nge kisii se ham


ubhare.nge ek baar abhii dil ke val-vale
go dab gaye hai.n baar-e-Gam-e-zindagii se ham


gar zindagii me.n mil gaye phir ittafaaq se
puuchhe.nge apanaa haal terii bebasii se ham


allaah re fareb-e-masahiiyat ke aaj tak
duniyaa ke zulm sahate rahe Khaamoshii se ham


[masahiiyat=God's will]


ham Gam-zadaa hai.n laaye kahaa.N se Khushii ke giit
de.nge wahii jo paaye.nge is zindagii se ham


nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: February 13, 2007, 09:07:47 PM »
Thanks Salma. And raelly good ones...  :twisted:



Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi....

Ek Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
Ek Tasveer Aur Tasveer Pe Bheege Hue Honth,
Ek Sandal Ki Unabi Pencil,
Ek Beyrabt Ka Ukhda Hua Khat,
Ek Adad Card
Jisko Chhune Se Teri Yaad Chali Aati Hai,
Aur Is Card Mein Rakhi Hui Ekloti Palak,
Jisse Maanoos Duwaon Ki Mehek Aati Hai,
Kisi Gumnaam Se Shayar Ka Adhura Misra,
Ek Paazeb Se Bichhda Hua Ujla Moti,
Ek Murjhayi Hui Zard Chanbali Ki Kali,
Jis Mein Ab Bhi Teri Zulfon Ke Bhanwar Lipte Hai,
Ek Boseeda Sa Question Paper,
Jiske Kone Pe Likha Naam Abhi Taaza Hai,
Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi,
Ek Toota Hua Halka Sa Gulabi Nakhun,
Ek Gadla Sa Tissue Paper Bhi,
Jispe Mehke Hue Ashkon Ke Nishan Zinda Hai,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Ek Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
Ek Bheege Hue Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
* * * * *


nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: February 13, 2007, 09:09:23 PM »
Dard Woh Hai Jiska Koi Humdard Bhi Nahi,
Manzil Woh Hai Jiska Koi Saathi Bhi Nahi,

Sapne Woh Hai Jisme Koi Apne Bhi Nahi,
Dil Woh Hai Jisme Koi Dhadkan Bhi Nahi,

Aankhe Woh Hai Jisme Koi Hya Bhi Nahi,
Sumander Woh Hai JisMe Koi Lehrein Bhi Nahi,

Mohabbat Woh Hai JisMe Koi Manzil Bhi Nahi,
Pyaar Woh Hai JisMe Koi Haya Bhi Nahi,

Dil Woh Hai JisMe Koi Raha Bhi Nahi,
Phool Woh Hai Jisme Koi khushbu bhi nahi,

Mahek Woh Hai JisMe Taazgi Bhi Nahi,
Bhook Woh Hai Jiski Ko Payas Bhi Nahi,

Pyaas Woh Hai Jiski Koi Aas Bhi Nahi,
Zindagi Woh Hai Jisme Koi Maza Bhi Nahi,

Maut Woh Hai Jiska Koi Pata Bhi Nahi...
* * * * *

nm
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #21 on: February 18, 2007, 01:15:11 PM »
very  nice  Salma ....   Husena.........  bahot khoob...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: February 19, 2007, 08:48:41 PM »
Thanks sandh...




Hai Dhoop Chhanv Khushi Uska Aitbar Na Kar,
Kisi Anhonee Ke Hone Ka Inetzar Na Kar,

Main Ghar Mein Reh Ke Bhi Kaun-O-Makaan Mein Phirti Rahi,
Dil-E-Hazeen Ye Safar Ab To Baar Baar Na Kar,

Soch Ka Sehra Hai Tanhayi Hai Sannata Hai,
Ise Naseeb Samajh Khudko Bekarar Na Kar,

Kisko Fursat Hai Tanhayi Meri Baante Aakar,
Kiwadh Band Kar De Ab Uska Intezar Na Kar,

Gamon Ke Dher Se Lamhe Khushi Ke Mil Jayein,
Tu In Lamho Ko Kisi Aur Pe Nisaar Na Kar...
* * * * *


nm
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #23 on: February 20, 2007, 07:28:43 AM »
welcome Bhains............. nice  again........ tongue3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: February 20, 2007, 05:16:52 PM »
Thanks sandh.... grey color ke tongue3


Door Tak Chhaye The Badal Aur Kahin Saya Na Tha,
Is Tarah Ka Mausam Pehle Kabhi Aaya Na Tha,

Kya Mila Aakhir Tujhe Saayon Ke Piche Bhag Kar,
Aye Dil-E-Nadan Tujhe Kya Humne Samjhaya Na Tha,

Uff Ye Sannate Ki Aahat Tak Na Ho Jis Mein Mukhel,
Zindagi Mein Is Kadar Hum Ne Sukoon Paya Na Tha,

Khoob Roye Chhup Ke Gahr Ki 4 Diwari Mein Hum,
Haal-E-Dil Kehne Ke Kabil Koi Humsaaya Na Tha,

Ho Gaye Kalash Kab Se Uski Daulat Luti,
Paas Apne Aur To Koi Bhi Sarmaya Na Tha,

Wo Paimber Ho Ke AashiQ Katal Gah ShauQ Mein,
Taaj Kaanto Ka Kise Duniyane Pehnaya Na Tha,

Ab Khel Jhunkon Pichhe Chal Rahe The Aandhiyan,
Ab To Manzar Hai Wo Pehle To Nazar Na Aya Tha,

Sirf Khushbu Ki Kami Thi Yahan,
Warna Gulshan Mein Koi Bhi Phool Murjhaya Na Tha...
* * * * *


nm
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: February 21, 2007, 01:48:10 AM »
Bohat khoob Salma & Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: February 21, 2007, 06:06:23 PM »
Thanks Aryaan Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #27 on: February 23, 2007, 04:00:28 AM »
Quote from: "Delicate_Doll"
Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain
Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain

Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain

Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak
Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?

Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb
Sochte rehte hain k kis Reh-Guzar ke Hum hain

Gintiyon mai hi gine jate hain her Daur mai Hum
Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain
nm


Preity Good !  Nice kob Delicate Doll
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #28 on: February 24, 2007, 09:08:41 AM »
WoW nice one angel dear... n thank for sharing Usual Smile

thanks Aryan ..n...Deepika jee glasses2
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #29 on: February 24, 2007, 09:18:10 AM »
Yeh zindagi bhi humari ajab tamasha hai
Kahee sahirab, kahee moj moj darya hai...

Mein ranj-o-ghum ki ajab kafiyat se ghuzara hoon
Mera wajodu meri zindagi ko dasta hai...

Mein jane wali rotoon ko malal kyun na karoon
Ab aaine main koi aqsu hai na chahera hai...


Kabhi khayal ki soorat, Kabhi saba ki tarah
Wo kon hai jo mere sath sath chalta hai...

Khud apne dil ko jalaya tu ye honer jana
Hawa ke samne kese charaq jalaya hai...

Ye masla na kisi philsafi se hal ho ga
charaq kia hai, hawa kia hai, aaina kia hai...

Khud apni zaat ka aajuz kyun na ho mujhe ko
Mera zameer mujhe aaina dekhata hai...

Mein ek fard hoon aajuz kalam kabiley ka
Mein janta hoon waqar sukhnoori kia hai....
nm
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:04:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer