Rishta bhi toot gaya

by Pooja on December 13, 2008, 11:33:46 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
Print
Author  (Read 9576 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #60 on: December 23, 2008, 04:26:44 PM »
Lamba Safar Umar Ka Hai, Tanhaa Guzarta Nahi,.
Sar Pe Agar Dhoop Na Ho, Saaya Utarta Nahi,.

Rishte Bina Hai Jis Tarah, saaye Bina Aadmi,.
Dil Ki Kisi Dori Se Hai, Baandha Hua Aadmi,.

______________________-Gulzar-


Very well said Jahansheen


UNSEY ACCHI UNKI YAADEH HAI
JAB BULAO CHALI AATI HAI
TANHA HAMEY KABHI REHNEY NAHI DETI
HAR PAL SAATH NIBHARI HAI


JASBIR SINGH
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyarr toot gaya!!! by nice_off_me in Shayri-E-Dard
Khwabon ka bharam toot gaya... by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aaj ashkon ka taar toot gaya. by Deepati in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
Toot Gaya... by angel4u in Shayri-E-Dard
ITNA MALOOM HAI.......................KHWABON KA BHARAM TOOT GAYA by faheem_akayla in Shairi - E - Zindagi
Pooja
Guest
«Reply #61 on: December 23, 2008, 04:45:08 PM »
kis liye yaadon ka yah bandhan rah gaya
socho ke ghare main, kadva ek such rah gaya
tadap shayad is dil se na mit payegi kabhi
Rishta toot jaane ke baad bhi, ek toota rishta rah gaya
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #62 on: December 23, 2008, 04:53:57 PM »
bahut accha sharing ki hai gulzar ji ka jaanashen ji, and Pooja ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #63 on: December 23, 2008, 04:56:09 PM »
Thanks Sonia
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #64 on: December 23, 2008, 06:59:54 PM »
TOOTEY RISHTEY KI BHI EK KAHANI HOTI HAI
JINDAGI KI RAAH MEH CHALTEY CHALTEY
HI YEH PURANI HOTI HAI




JASBIR SINGH
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: December 23, 2008, 07:34:02 PM »
TOOTEY RISHTEY KI BHI EK KAHANI HOTI HAI
JINDAGI KI RAAH MEH CHALTEY CHALTEY
HI YEH PURANI HOTI HAI




JASBIR SINGH

very well said jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #66 on: December 23, 2008, 07:39:28 PM »
very well said jas ji


Thanks JI
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #67 on: December 24, 2008, 04:09:19 PM »
Thank U Sonia JI,.
Aur Bohat Achche Jasbir Bhai,.
And Pooja Didi,.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #68 on: December 25, 2008, 08:33:11 PM »
Thank U Sonia JI,.
Aur Bohat Achche Jasbir Bhai,.
And Pooja Didi,.

THANKS JAHANASHEEN


JASBIR SINGH


RISHTA BHI TOOT GAYA
SAPNA BHI TOOT GAYA
BAN GAYE AISEY HARJAYI
DIL BHI TOOT GAYA

ITNA SAB TOAD KEY KAHA JAYOGEY
KYA HAMAREY BINA, REH PAOGEY ?

SARI BAATEY HUM BHOOL JAYENGEY
NA KUCH BHI GILA HUM KAR JAYENGEY

EK BAAR MUSKURAKAR KEHDOH AAJ BHI
KARTEY HO PYAR HUMSEY AAJ BHI



JASBIR SINGH
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #69 on: December 26, 2008, 12:40:34 PM »
Lo mil gaya zakham umarbhar rulane ko
shukaria tera, mera sath chor jaane ko

toote sapne, toota dil, Rishta bhi toot gaya
soch rahi hu, kaya rah gaya, ab jeevan beetane ko

yaadon ke yah saye, kyun rah jaate hai
til-til armaano ko is kadar tadpaane ko

din main hosh nahi, raato ko nind nahi
ladte hai teri yaadon se, tujhko bhulane ko

Lo mil gaya zakham umarbhar rulane ko
shukaria tera, mera sath chor jaane ko
AAP ITNA DARD SHABDO ME KAISE PIRO LETI HAIN
SHABD KHUD-B-KHUD SAJTE HAIN YA UNHE BULANA JAMANA PADTA HAI...
HUM TO KOSHIS KAR K BHI LIKH NAHI PATE
KYA LIKH NE K LIYE DARD KI GALION SE GUJARNA PADTA HAI ?
BATAIYEGA JAROOR....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: December 26, 2008, 06:23:18 PM »

Lo mil gaya zakham umarbhar rulane ko
shukaria tera, mera sath chor jaane ko

toote sapne, toota dil, Rishta bhi toot gaya
soch rahi hu, kaya rah gaya, ab jeevan beetane ko

yaadon ke yah saye, kyun rah jaate hai
til-til armaano ko is kadar tadpaane ko

din main hosh nahi, raato ko nind nahi
ladte hai teri yaadon se, tujhko bhulane ko

Lo mil gaya zakham umarbhar rulane ko
shukaria tera, mera sath chor jaane ko

AAP ITNA DARD SHABDO ME KAISE PIRO LETI HAIN
SHABD KHUD-B-KHUD SAJTE HAIN YA UNHE BULANA JAMANA PADTA HAI...
HUM TO KOSHIS KAR K BHI LIKH NAHI PATE
KYA LIKH NE K LIYE DARD KI GALION SE GUJARNA PADTA HAI ?
BATAIYEGA JAROOR....


Anaam ji,
sabse pahle to Yoindia mai apka sawagat karna chahugi main. apko mera likha acha laga, iske liye shukar gujar hu!!

dard jab bilkhtein hai to shabd ban jaate hai
shabd jab rote hai to kuch share ban jaate hai

likh jaate hai dil ke zakhmo ko shabdo ke sahare
karahte hue zakhmo ko, sabar ke kuch pal mil jaate hai

ab to yah bhi pata nahi chalta Pooja ko
shabdo se dard atta hai ya dard se shabd ban jaate hai

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #71 on: December 27, 2008, 04:48:01 AM »
Pooja Ji.. Kya Baat Hai.. Bahut Hi Jazzbaati Lafz Likhe Hain aapne. aur ANAAM Ji Ko Samjhaane ke aapka Andaaz Bhi pasand aaya.! Waqai Shayar wahi hote Hain..jo Baat par bassssssss Sher Kaha Jayen..! isliye to hum bhi aapki Kalam ke deewane Hain..  bahut Khoooooooooob.. Applause Applause

Jab-Jab Dard-o-Gam Ki Syaahi, Kaagaz par Bikhar Jati Hai,
Are Mere Yaaron, Sher-o-Shyaari Khud-b-khud Ban Jati Hai...


**~** Mann **~**
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: December 27, 2008, 05:02:51 AM »
bahoot bahoot shukaria Mann ji..

bahoot he achi lines likhi hai apne..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #73 on: December 30, 2008, 04:25:12 AM »
Bahut Bahut Shukriya Pooja Ji..!! Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #74 on: December 30, 2008, 12:50:36 PM »
wah wah kya khoob kaha he aapne....
"ab to yah bhi pata nahi chalta Pooja ko
shabdo se dard atta hai ya dard se shabd ban jaate hai"

daad dene ko shabd hi nahi mil rehe.... Applause Applause Applause
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Dard se abhi rishta huaa he nahi hamara
Hushn se bhi rishta huaa he nahi hamara
koi rista huaa ghav huaa he nahi hamara
kisekhu koi abhitak huaa he nahi hamara-anaam
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:46:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer