"Rishta"

by angel4u on July 24, 2008, 02:45:03 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Author  (Read 4095 times)
javedarshad
Guest
«Reply #30 on: July 10, 2009, 03:52:16 PM »
Hi angel

Bahut piyara ahsas
aur andaaz e bayan pasand aaya

Dard,jazbooN ka khud ba khuda ayaan hoota hai
Aur dard ka ahsas khudbakhud  jawaan hoota hai

Wafa lafzooN bayaan ho bhi to kuinker
Yeh woh dard hai jo aahon se bayaan hoota hai

Jab bhi dekheen hain kisiki ranjeeda aankhain
Lahuu,aankhoon se ashk ban ker rawan hoota hai

Dard,muhabbat, wafa ,gham aur khushi
Rishta aifaazon ka muhtaaj kahan hoota hai
 
yeh mein puri ker ke ghazal mein post ker raha hun

tx

javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"TOOT.TA RISHTA"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
~~"MITTI SE RISHTA"~~ by k.shael in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #31 on: July 10, 2009, 09:41:35 PM »
ACHCHA ANDAAZ HAI ANGEL JI Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #32 on: July 10, 2009, 09:42:35 PM »
Hi angel

Bahut piyara ahsas
aur andaaz e bayan pasand aaya

Dard,jazbooN ka khud ba khuda ayaan hoota hai
Aur dard ka ahsas khudbakhud  jawaan hoota hai

Wafa lafzooN bayaan ho bhi to kuinker
Yeh woh dard hai jo aahon se bayaan hoota hai

Jab bhi dekheen hain kisiki ranjeeda aankhain
Lahuu,aankhoon se ashk ban ker rawan hoota hai

Dard,muhabbat, wafa ,gham aur khushi
Rishta aifaazon ka muhtaaj kahan hoota hai
 
yeh mein puri ker ke ghazal mein post ker raha hun

tx

javed


NICE COMPOSITION JAVED SAHAB
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #33 on: July 10, 2009, 10:04:20 PM »
Shukria


nawazish hai aap ki



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: July 13, 2009, 04:41:12 PM »
huzena yaar kasam se mazaa aa gaya padkar dil khush ho gaya........bahut hi ummda peshkash hai mere dost

na roko apni kalam ko ise dil ka haal likhne do
kabhi yeh tere , toh kabhi mera haal bayaan karti hai

Thanks Salil... Usual Smile
acha laga ye dekhke ke tumhe pasand aaya...

Kalam Ki Fitrat Kaho Ya Kaho Mere Haalaton ka Aaayna,
Ke Lafz-E-Wafa Ko Chhute Hi Nok Kuch Aur Tez Ho Uthti Hai... crybaby2
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: July 13, 2009, 04:47:33 PM »
Shukriya Javed Ji...

Kuch Lines Idhar Likhna Chahungi, pata nahi bahutdino baad likh rahi hoon kaisi bani hia...


Alfaazon Se Rishte Beshak Bayan Nahi Hote,
Par Jab Tootte Hai To Alfaazon Ka Sahara Lete Hai,
Kashti-e-Wafa Tairti Bhi Ho To Kya,
Rishton Ki Patwaar Ke Bina Shayad Adhoori Hoti Hai,
Siyaahi Har Jagah Phaili Hai Nadaan Jazbaaton Ki,
Inko Rishton Ki Kalam Mein Dhaalna Kiske Bas Ki Hai Baat?
In Dhaagon Se Ulajhne Se Kuch Haasil Nahi,
Chal Ke Apne Libaason Pe Banawat Ka Koi Rang Daale,
Nikhare Apne Ashqon Ke Lahoo Se Har Ek Boota,
Phir Baith Jaaye Intezaar Mein Uske Hum,
Jo Aake Laga Jaayega Ispe Daag Bewafayi Ka...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #36 on: July 14, 2009, 01:47:11 PM »
kia baat hai

badi mayusi aur bedili se kuch likha hai


woh rishta ,rishta hi kahan jo toot jaye
Woh piyar , piyar hi kahan jo bikhar jaye
Woh Jazba , jazba hi kahan jo nikhaer na sake
Woh wafa , wafa hi kahan jo wafa ker na sake



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: July 14, 2009, 04:00:37 PM »
Nice Lines Javed Ji...


Wafa Ke Maayne Wo Hamein Sikhane Lage Hai,
Jiska Har Ek Lafz Bas Alfaaz Hi Thehra,
Rishta Rooh Ka Ho Ya Ho Nazron Ka,
Samajhte Rahe Use Na Jaane Jeene Ka Maqsad,
Rishton Ki Dhool Se Ojhal Mere Wajood Ki Tapish,
Kaise Is Aag Mein Ashqon Ko Rok Paaye Hum...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #38 on: July 14, 2009, 10:01:13 PM »
wah kia kaha ja sakta hai
jab koi jabran jalna chahe to


uska piyaar bhi ajeeb tha
Mera andaaz bhi ajeeb tha
Ab doonoN khud se mil ker
Alag alag khamoosh rote hain



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #39 on: July 15, 2009, 02:38:35 AM »
Bahut khoob Javed Ji...


Khamoshiyon Ki Zubaan Samajhna
Har Kisi Ke Bas Ki Baat Kahan,
Likh Di Humne Daastaan-e-Zindagi,
Khamosh Palkon Ki Kataaron Se,
Meri Wafa Ko Ajeeb Kehnewala Wo Shakhs,
Rishton Ki Bheed Mein Uljha Bahut Tha,
Bas Meri Rooh Ke Saath Use Judna,
Shayad Manzoor Kabhi Na Hua...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #40 on: July 15, 2009, 03:13:48 AM »
bahut khoob

Wafa shuaari aur iqrar jahan hoota hai
Uska her lafz khud mein pinha hoota hai
RishtooN aur dastanooN ki perwaaz jahan
Phir to rooh ka jawaaz kahaan hoota hai
Mujhko khud meinn zara dhoond to sahi
Dilsooz jahan dilsaaz wahaan hoota hai


javed


Logged
angel4u
Guest
«Reply #41 on: July 16, 2009, 04:38:32 PM »
Bahut khoob Javed Ji..


Meri saanson ki Rawani Mein Hai Kahan Dhoondun Tujhe,
Kaise Kaise Satati Hai Ab ye Hawa Bhi Mujhe,

Sambhal le tera daaman jis tarah Mere Ashqon Ko,
kahan milegi na jaane ab teri panahein mujhe,

Rishta tujhse hai teri rooh ki har ek hararaat se hai,
kar na jaaye ye doori dhadkano ki fanaa mujhe,

dekh to meri zindagi ki ek haseen si bebasi JAANA,
Tapish ashqon ki ab jalaye bhi aur dubaye bhi mujhe,
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #42 on: July 16, 2009, 08:51:34 PM »
Angel Bahut khoob
abhi thoodi si mashq aur chahiye


Anjane rishte bhi kitne ajeeb hoote hain
Dil ki dhadkanoN ke aahoon ke naqeeb hoote hain

Rahain kal bhi khulee theen aaj bhi waa hain
Daman , Ashkoon ko mushkil se naseeb hoote hain

Ishq ka naam hi babasee hai mere dost
Kabhi larazte aansu kabhi shoole qareeb hoote hain



javed
Bahut khoob Javed Ji..


Meri saanson ki Rawani Mein Hai Kahan Dhoondun Tujhe,
Kaise Kaise Satati Hai Ab ye Hawa Bhi Mujhe,

Sambhal le tera daaman jis tarah Mere Ashqon Ko,
kahan milegi na jaane ab teri panahein mujhe,

Rishta tujhse hai teri rooh ki har ek hararaat se hai,
kar na jaaye ye doori dhadkano ki fanaa mujhe,

dekh to meri zindagi ki ek haseen si bebasi JAANA,
Tapish ashqon ki ab jalaye bhi aur dubaye bhi mujhe,


Aapka  aakhri shair bahut pasand  aaya kia  be sakhtgee hai

keep itup


javed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #43 on: July 16, 2009, 09:46:55 PM »
Wah Angel ji and Javed ji,bahut khoob likha aap dono ne,mindblwing lines,very nice and wonderful creation. icon_thumleft Applause Applause :clap:keep it up
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #44 on: July 17, 2009, 12:40:25 AM »
Shukria  dost



javed
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 08:34:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer