"Rishta"

by angel4u on July 24, 2008, 02:45:03 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Author  (Read 4117 times)
angel4u
Guest
«Reply #45 on: July 17, 2009, 02:57:00 AM »
Angel Bahut khoob
abhi thoodi si mashq aur chahiye


Anjane rishte bhi kitne ajeeb hoote hain
Dil ki dhadkanoN ke aahoon ke naqeeb hoote hain

Rahain kal bhi khulee theen aaj bhi waa hain
Daman , Ashkoon ko mushkil se naseeb hoote hain

Ishq ka naam hi babasee hai mere dost
Kabhi larazte aansu kabhi shoole qareeb hoote hain



javed

Aapka  aakhri shair bahut pasand  aaya kia  be sakhtgee hai

keep itup


javed

Shukriya Javed Ji...


chale the mohabbat ki raah pe milke dono,
ishq ki thokarone bas hamein hi jhulsaya,
nikla uska dil raahon ke pattharon sa sakht,
khudki ana ke bojh tale kuchle meri wafa,
ek chidiya jo chehekti thi hamesha fizaaon mein,
kyon hui aaj wo gumsum si khamosh si paheliyon mein,
aashiyaana shayad uska bhi luta hoga tez toofan mein,
ye toofan kyon na jaane tujh jaisi fitrat rakhta hai...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"TOOT.TA RISHTA"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
~~"MITTI SE RISHTA"~~ by k.shael in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
angel4u
Guest
«Reply #46 on: July 17, 2009, 02:58:06 AM »
Wah Angel ji and Javed ji,bahut khoob likha aap dono ne,mindblwing lines,very nice and wonderful creation. icon_thumleft Applause Applause :clap:keep it up

Thanks Madhu
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #47 on: July 17, 2009, 12:40:51 PM »
Wah kia khoob

achi ilzaamtarashi hai

Aashiyan apna khud jalate ho
Kah ke toofan badnam kerte ho

Kabhi wafa kosamjha hinahin
Meriwafa ko badnam kerte ho

Mera dil tune  dil hi kahan rakha
pather marke mujhko ilzaam dete ho




javed
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #48 on: July 17, 2009, 12:43:54 PM »
Wah very nice and beautiful lines Javed ji,wonderful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #49 on: July 17, 2009, 01:11:20 PM »
Thanks Salil... Usual Smile
acha laga ye dekhke ke tumhe pasand aaya...

Kalam Ki Fitrat Kaho Ya Kaho Mere Haalaton ka Aaayna,
Ke Lafz-E-Wafa Ko Chhute Hi Nok Kuch Aur Tez Ho Uthti Hai... crybaby2
shukriya angel dear

kalam kii taakat ko pehchaanne kii kuwat nahin meri
kehte hain kii yeh takhto taazo ko mita deti hai
isliye likh lete hain hum haale dil apna
kii dard kii daad se badkar dawa kya hoti hai
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #50 on: July 17, 2009, 01:32:09 PM »
Wah Saahil ji very beautiful lines, icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #51 on: July 17, 2009, 03:00:23 PM »
Shukria   


Madhu ji









javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #52 on: July 18, 2009, 03:09:11 AM »
Wah kia khoob

achi ilzaamtarashi hai

Aashiyan apna khud jalate ho
Kah ke toofan badnam kerte ho

Kabhi wafa kosamjha hinahin
Meriwafa ko badnam kerte ho

Mera dil tune  dil hi kahan rakha
pather marke mujhko ilzaam dete ho




javed

Ilzaam kis kis chiz ka dein tujhe,
mujhe gam deneka ya mitane ka,
ashqone chhoda hia aashiyaana aankhonka, 
ho gaye ab wo khaak ke vaasi bankar,
kya ye teri hi meherbaaniya nahi hai?
wafa ko samjha bhi hia khoob humne,
isliye aaj khamosh raahon mein khade hai,
meri har saans se aaj bhi banate hai,
meri aahon ke lafz tere liye duwaon ki qitaab...


Ilzaam kis kis chiz ka dein tujhe,
mujhe gam deneka ya mitane ka,
ashqone chhoda hia aashiyaana aankhonka, 
ho gaye ab wo khaak ke vaasi bankar,
kya ye teri hi meherbaaniya nahi hai?
wafa ko samjha bhi hia khoob humne,
isliye aaj khamosh raahon mein khade hai,
meri har saans se aaj bhi banate hai,
meri aahon ke lafz tere liye duwaon ki qitaab...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #53 on: July 18, 2009, 03:11:55 AM »
shukriya angel dear

kalam kii taakat ko pehchaanne kii kuwat nahin meri
kehte hain kii yeh takhto taazo ko mita deti hai
isliye likh lete hain hum haale dil apna
kii dard kii daad se badkar dawa kya hoti hai

Kalam se kya haal-e-dard bayaan kiya hai humne,
apne dardon ki bas hansi udwayi hai humne,

Dardon ki dawa to kuch yun bhi aazmaayi hai ab to,
mere khwabon mein ek mazboot qabr sajayi hai humne,

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #54 on: July 18, 2009, 03:54:54 AM »
so Bad

anjane mein khud ko kuin satate ho
apna nahin mera bhi khoon jalate ho



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #55 on: July 18, 2009, 01:41:28 PM »

mere dard-o-gam ka ilm hota gar tujhe,
aaj is aangan mein mehekte phool hote,
chehekte panchhi teri wafaon ke agar,
mere dilke darakhton pe baharon ke bojh hote...
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #56 on: July 18, 2009, 02:53:39 PM »

mere dard-o-gam ka ilm hota gar tujhe,
aaj is aangan mein mehekte phool hote,
chehekte panchhi teri wafaon ke agar,
mere dilke darakhton pe baharon ke bojh hote...

Dard , dard ke siva duniayan mein rakha kia hai
ger jina hai tujhe tobas hans khail ke guzar de



javed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #57 on: July 18, 2009, 04:10:03 PM »

meri hansi mein kab kisi ko kami nazar aayi hai?
dard ki numayish aye dost hum kam hi kiya karte hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #58 on: July 18, 2009, 05:17:48 PM »

Bahut shukriya Javed Ji...

Aapka comment dekhke achha laga... Hmmm baad-e-saba bhi chirag ko hawa hi deti hai...

Rishto ki Naazuk Dor Jab Haath Thaam Leti Hai Apna,
Unhi Kachhe Dhaago se Buna Tha Harek Khwaab Maine,
Jhilmil jhilmil palkon mein palte ashqon ke aashiyaan,
Kahan jayenge ye Jab toot Jaayenge
ye kachhe dhaagon ke Baandh teri tez nazron se...

Wah kya khoob likha tumne dear hasina.. Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #59 on: July 18, 2009, 05:20:03 PM »
Thank You so much roja..
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:48:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer