Ro bhi nahi sakte

by nishita on April 24, 2005, 11:50:16 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Author  (Read 5360 times)
dhadkan
Guest
«Reply #45 on: April 28, 2005, 09:07:23 AM »
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya
n/m
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bhulaa nahi sakte.... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dawa de nahi sakte by bhartendu in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Manjil pa nahi sakte by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Manjil pa nahi sakte by chahat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Na tujhe chor sakte hain,tere ho bhi nahin sakte by hameed.rose in Ghazals
vikas2210
Guest
«Reply #46 on: April 28, 2005, 09:25:08 AM »
ashiqi ki thi sonch kar
payar milega isme
karenge payar isme
kaya pata tha
isme payar kaya mila
isme to roo bhi nai sakte
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #47 on: April 28, 2005, 09:35:40 AM »
Dil se dil ki baat keh ke ro dete hai,
Log mujhe deewnana keh chal dete hai................
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #48 on: April 28, 2005, 09:39:47 AM »
dil ke baaton mai mahak tumhari hai
annkhoo mai ashq mere jazbaat tumhare hai

............................
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #49 on: April 28, 2005, 10:12:06 AM »
Mere aasoon jo dete the kabhi sath mera,
Ab to unhone bhi saath chod diya,
Boj sa lagta hai ab to jeevan mera,
Ab to Dhadkan ne bhi saath dena choda mera .....
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #50 on: April 28, 2005, 10:21:27 AM »
annkhee band abhi hui nahi
ki tume muh mod liya
khud se kuch samaye manga
dhadhkan ne saath chod diya
annson ko bahut bulaye
par unhone bhi saath chod diya
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #51 on: April 28, 2005, 10:28:38 AM »
Yeh aansoo bhi to teri hi amanat hai,
Itni keemti amanat ko hume yun hi nahi bahana hai,
Is amanat ko sambhal kar rakhna hai,
Aur tere ane par teri bahon bhar kar rona hai.
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #52 on: April 28, 2005, 10:31:42 AM »
na na aisa hjone nahi dunga
tumko koi bhi aisa mauka nahi denge
rote to hum bhi bahut hai yaad me teri
mil sab aansoo tere apne bana lenge tere
Logged
nishita
Guest
«Reply #53 on: April 29, 2005, 09:34:39 AM »
waah gud work all Usual Smile

mere naseeb main likha nahi gaya tujh ko
magar main chahti hoon hadd se bhi zyada tujhko
main janti hoon ke tu bewafa nahi hai magar
kabhi mili hi nahi mohlat-e-wafa tujh ko

nm
Logged
suave
Guest
«Reply #54 on: April 29, 2005, 09:46:38 AM »
kitni ajeeb bhi ye naseeb ki batein hoti hain
dard dene waale ki ek jhalak ke liye aankhen roti hain
Logged
nishita
Guest
«Reply #55 on: April 29, 2005, 10:14:44 AM »
Quote from: "suave"
kitni ajeeb bhi ye naseeb ki batein hoti hain
dard dene waale ki ek jhalak ke liye aankhen roti hain


gud one suave Usual Smile

Dard bhari gazal aap ki yoon rang laayi aaj mehfil mein
jin ke dil pathar the woh bhi ro diye aaj mehfil mein...

nm
Logged
suave
Guest
«Reply #56 on: April 29, 2005, 10:20:45 AM »
Quote from: "nishita"
Quote from: "suave"
kitni ajeeb bhi ye naseeb ki batein hoti hain
dard dene waale ki ek jhalak ke liye aankhen roti hain


gud one suave Usual Smile

Dard bhari gazal aap ki yoon rang laayi aaj mehfil mein
jin ke dil pathar the woh bhi ro diye aaj mehfil mein...

nm


Dard bhari gazal aap ki yoon rang laayi aaj mehfil mein
jis dil ko aaj dard hai basa tha kabhi tu us dil mein
Logged
nishita
Guest
«Reply #57 on: April 29, 2005, 10:48:41 AM »
Quote from: "suave"
Quote from: "nishita"
Quote from: "suave"
kitni ajeeb bhi ye naseeb ki batein hoti hain
dard dene waale ki ek jhalak ke liye aankhen roti hain


gud one suave Usual Smile

Dard bhari gazal aap ki yoon rang laayi aaj mehfil mein
jin ke dil pathar the woh bhi ro diye aaj mehfil mein...

nm


Dard bhari gazal aap ki yoon rang laayi aaj mehfil mein
jis dil ko aaj dard hai basa tha kabhi tu us dil mein


har taraf bas dard ka fasana hai
ek taraf dil hai dusri taraf zamana hai
Logged
suave
Guest
«Reply #58 on: April 29, 2005, 10:51:10 AM »
mere saath tanhai hai , karan ye bedard zamaana hai
kitna bhi kro ishq, akhir mein dard hi bas paana hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #59 on: April 29, 2005, 11:03:34 AM »
Seene me jalan aankhon me toofan sa kyo hai
is sheher me har shaks pareshaan sa kyo hai

nm
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:19:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer