Rokar to dekh le........(Ghayel)

by sajid_ghayel on January 10, 2009, 07:10:50 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1760 times)
sajid_ghayel
Guest
Mit jaoogan main kasam hain aa mita ke dekh le
Mera yeh wada bhi aaj, aazma ke dekh le

Ab koi gunah nahi deedar-e-yaar mein
Janaza uthne ko hain, aa mera chehra to dekhle

Tere diye hue zakhm karte hain teri aarzoo
Dard ho jaye thoda kam, aa mere zakhmo ko dekh le

Shehar-e-khamosha* me ab karte hain basera
Mehmaa_n na bano mana, par mera ghar to dekh le

Khud ko dete ho fareb haskar, GHAYEL ki  maut pe
Tere dard ki gawahi tere askh tuje dege, tu ek baar rokar to dekh le

                                     -Sajid Ghayel-      

•   Graveyard  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil Ko Dekh Chehraa na dekh....! by sharmaarunkumar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 11 12 »
Na dekh.. by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
dekh le by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dekh ke Humein woh ... by honeyrose in Shayri for Dard -e- Judai
Rokar Na De Mere Pyar Ko Duriya...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri
salil2002
Guest
«Reply #1 on: January 10, 2009, 07:25:04 AM »
bahut hi ummda likha hai bhai............

koi bahayega meri maut par aansu
koi toh meri maiyaat ko kaandha bhi dega
koi toh dafana dega mujhe sukoon se
kya yeh koi bhi kabhi mujhe haasil hoga
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 10, 2009, 07:28:03 AM »
arre wah sajid bhai kahan chupa rakha tha itna dard jo duniya ko baha le jaye !! mere dost tumne khuch aisa likh diya ke marne wala bhi is sada se ut jaye !! kya likha mere bhai allah apko izzat bakshe !!

Qadeer Toopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 10, 2009, 10:10:44 AM »
Mit jaoogan main kasam hain aa mita ke dekh le
Mera yeh wada bhi aaj, aazma ke dekh le

Ab koi gunah nahi deedar-e-yaar mein
Janaza uthne ko hain, aa mera chehra to dekhle

Tere diye hue zakhm karte hain teri aarzoo
Dard ho jaye thoda kam, aa mere zakhmo ko dekh le

Shehar-e-khamosha* me ab karte hain basera
Mehmaa_n na bano mana, par mera ghar to dekh le

Khud ko dete ho fareb haskar, GHAYEL ki  maut pe
Tere dard ki gawahi tere askh tuje dege, tu ek baar rokar to dekh le

                                     -Sajid Ghayel-      

•   Graveyard 


Waah Wah,.
Subhan Allah,.
sajid Bhaiya,.

Nice One Yaara,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 10, 2009, 10:12:40 AM »
Hazaaron Bastiyaan Aakar, Bas Gayi Tujhme Aye "Shehar-e-Khamosha,.
Phir Bhi Dekh Tere Shehar Ki Veeraani Nahi Jaati,.

_____________________________-Sharfu Bhai-
Logged
Blue_angel
Guest
«Reply #5 on: January 10, 2009, 10:15:56 AM »
Mit jaoogan main kasam hain aa mita ke dekh le
Mera yeh wada bhi aaj, aazma ke dekh le

Ab koi gunah nahi deedar-e-yaar mein
Janaza uthne ko hain, aa mera chehra to dekhle

Tere diye hue zakhm karte hain teri aarzoo
Dard ho jaye thoda kam, aa mere zakhmo ko dekh le

Shehar-e-khamosha* me ab karte hain basera
Mehmaa_n na bano mana, par mera ghar to dekh le

Khud ko dete ho fareb haskar, GHAYEL ki  maut pe
Tere dard ki gawahi tere askh tuje dege, tu ek baar rokar to dekh le

                                     -Sajid Ghayel-      

•   Graveyard  


Wah wah! kya bat hai Sajid ji, bohat hi acha likha hai aap ne. Itna dard bhara sher, dil ki gehraiyon ko chu gaya!
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: January 10, 2009, 11:15:25 AM »
kya dard hai   gayelji....

tere sang toh nahin banpaya apne sapno ka ghar,
par tere zakhmon ne diya hai,aaj shehar-e-khamosha me ghar.

ab toh mera janaaza uthne ko hai,dil se na sahi,
duniyawallo ko dikhane ke liye,aakhri bar aakar toh dekh.

tu baharse bahut kush toh hai,apne kiye hue GAYEL ki mout pe,
par ander tu roti hai,jara aankho se rokar toh dekh.

Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: January 10, 2009, 12:27:44 PM »
Each and every word beautiful..
sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: January 10, 2009, 12:31:23 PM »
Muskurahaton ki ladiyon ko ashqon ke moti me bikharta dekhle,
Meri rooh ki Khaamosh si sadaon ko zara bilakhta hua dekh le,

Diye shayad bujh bhi jaaye par tu gam na kar aye sanam,
dilme chhupa harek armaan jalake apne aqs ko dekh le...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: January 10, 2009, 01:13:45 PM »
Sajid,

Wah bro kya behtareen kalam pesh kiya hai Applause Applause Applause

Superb Thumbs UP

Good work by other friends also Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: January 10, 2009, 02:14:05 PM »
bahut hi ummda likha hai bhai............

koi bahayega meri maut par aansu
koi toh meri maiyaat ko kaandha bhi dega
koi toh dafana dega mujhe sukoon se
kya yeh koi bhi kabhi mujhe haasil hoga

Bohat shukriyaan Salil and Beautiful reply

arre wah sajid bhai kahan chupa rakha tha itna dard jo duniya ko baha le jaye !! mere dost tumne khuch aisa likh diya ke marne wala bhi is sada se ut jaye !! kya likha mere bhai allah apko izzat bakshe !!

Qadeer Toopchi

Arey mere dost itni izzat na do bas koshish ki hain aapke mohabbat ke meyaar me khara utru aur ghayel hain to dard bhi hoga. Bas isi tarah aapki dua rahe zindagi me aur kya chahiye.

Hazaaron Bastiyaan Aakar, Bas Gayi Tujhme Aye "Shehar-e-Khamosha,.
Phir Bhi Dekh Tere Shehar Ki Veeraani Nahi Jaati,.

_____________________________-Sharfu Bhai-

Bohat shukriyaan chote for Tareef and this beautiful sharing.

Wah wah! kya bat hai Sajid ji, bohat hi acha likha hai aap ne. Itna dard bhara sher, dil ki gehraiyon ko chu gaya!

Mere sher Tumhare kam aaye yeh meri khushnasibi hain dost thank you.

kya dard hai   gayelji....

tere sang toh nahin banpaya apne sapno ka ghar,
par tere zakhmon ne diya hai,aaj shehar-e-khamosha me ghar.

ab toh mera janaaza uthne ko hai,dil se na sahi,
duniyawallo ko dikhane ke liye,aakhri bar aakar toh dekh.

tu baharse bahut kush toh hai,apne kiye hue GAYEL ki mout pe,
par ander tu roti hai,jara aankho se rokar toh dekh.



Thank you very much Cara tumhare shero ne to is dard me aur maza daal diya very good

Muskurahaton ki ladiyon ko ashqon ke moti me bikharta dekhle,
Meri rooh ki Khaamosh si sadaon ko zara bilakhta hua dekh le,

Diye shayad bujh bhi jaaye par tu gam na kar aye sanam,
dilme chhupa harek armaan jalake apne aqs ko dekh le...

Apne ID ke mutabik tumhari shaksiyat aur sher hain angel may god always bless u

Sajid,

Wah bro kya behtareen kalam pesh kiya hai Applause Applause Applause

Superb Thumbs UP

Good work by other friends also Applause

Thank You dost for supporting my work always
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: January 10, 2009, 02:33:04 PM »
kya dard hai   gayelji....

tere sang toh nahin banpaya apne sapno ka ghar,
par tere zakhmon ne diya hai,aaj shehar-e-khamosha me ghar.

ab toh mera janaaza uthne ko hai,dil se na sahi,
duniyawallo ko dikhane ke liye,aakhri bar aakar toh dekh.

tu baharse bahut kush toh hai,apne kiye hue GAYEL ki mout pe,
par ander tu roti hai,jara aankho se rokar toh dekh.


Cara aapne bahut accha likha hai..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: January 10, 2009, 02:57:44 PM »
Quote
Apne ID ke mutabik tumhari shaksiyat aur sher hain angel may god always bless u

Thanks...
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: January 10, 2009, 04:39:46 PM »
Mit jaoogan main kasam hain aa mita ke dekh le
Mera yeh wada bhi aaj, aazma ke dekh le

Ab koi gunah nahi deedar-e-yaar mein
Janaza uthne ko hain, aa mera chehra to dekhle

Tere diye hue zakhm karte hain teri aarzoo
Dard ho jaye thoda kam, aa mere zakhmo ko dekh le

Shehar-e-khamosha* me ab karte hain basera
Mehmaa_n na bano mana, par mera ghar to dekh le

Khud ko dete ho fareb haskar, GHAYEL ki  maut pe
Tere dard ki gawahi tere askh tuje dege, tu ek baar rokar to dekh le

                                     -Sajid Ghayel-      

•   Graveyard 


Wonderful  Applause superb  Applause and very touchy lines Sajid ji
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: January 11, 2009, 04:35:38 AM »
Wonderful  Applause superb  Applause and very touchy lines Sajid ji

Thank u very much Roja
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:02:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer