Rooh tak main Utar gaya..

by Pooja on July 08, 2009, 01:58:08 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1875 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: July 10, 2009, 04:23:50 PM »
KYA BAAT HAI POOJA JI....

WOH AAEY GHAR PAR MERE,SARA JAHAN BHOOL GAYA,
APNE SARE GUM BHOOLAKAR,IS TARAH MILA,
                   KI MERE ROOH MAIN UTAR GAYA.
HAI PYAAR UNKO MUJSE ,AB TO YAKIN HAI,
ISILIYE ANDHERE DIL MAIN MERE,
                 FIRSE UJAALA HUA.

Nice lines cara ji.. bahoot bahoot shukaria ki apko meri likhi lines achi lagi!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main Qurbaan Ho Gaya by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Rooh ko rooh, na jaaney kahaan bulaatee hai? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Qabar Kay Aandheray Zindagi Main Utar ker by Farhan Sohail in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Andhero mein ujaale ka deepak utar gaya by livingbytheday in Ghazals
Meri gazal main utar jao jo tum by Dineshkumarjonty in Ghazals
Pooja
Guest
«Reply #16 on: July 10, 2009, 04:24:12 PM »
Applause Applause Applause
bahot khoob likha hai aapne Pooja ji
behad achi aur tatvpoorna kavita likha hai aapne
too awesome

Shukaria Kaash ji!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: July 10, 2009, 04:30:46 PM »
Itna Darddddddd...? Crying Waqai Har Lafz Me Dard hi Dard Nazar aa raha hai.. Aisa laga Padh kar Ki Koi Apna Hi Gam, Koi apna Hi dard aaapne Yahan Likh diya Pooja Ji.. Bahut bahut Khooooooooob.. Applause Applause

Daad Kuboool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Kitno Ki Palkon Me aakhir,
Laayegi Tu Aansoo "Pooja"...

Dekh Ro Rahi Hai Gazal Bhi,
Apne Likhe Hue Alfaazon Par....!!!



**~** Mann **~**

Apne to hamesha he mujhe lajawab kiya hai Mann ji.. apki char line bahoot kuch kah gai!! Dil se shukargujar hu apki in lines ke liye!! Jis mahol main dil se likha jaaye aor wo he agar padne wale ko mehsoos ho.. sahi mayne main lagta hai ki kuch likha gaya!!! bahoot bahoot shukaria.

Khud-b-khud dil se nikal kar, kalam mai sama jaate hai
Kuch shabd dard samete hue, Kagaj per bikhar jaate hai

Likhati hu main kaha kuch, yah dard likhwa jata hai khud-b-khud
Kuch attak jaate hai dil-e-rooh main, kuch shabdo main simat jaate hai

bahoot soch kar bhi nahi karti, rukh ab to dard-e-shayri main
par ajj bhi kuch beete Pal, Pooja per bhari par jaate hai

Khud-b-khud dil se nikal kar, kalam mai sama jaate hai
Kuch shabd dard samete hue, Kagaj per bikhar jaate hai

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #18 on: July 12, 2009, 11:22:38 AM »
Shukriya pooja Ji.. Usual Smile aapne Itna Maan diya.. !! Waqai aapki Yeh Rachna Bahut dard Bhari Thi.. Pata nahi Kyun Yeh dard aapse Juda sa Laga..!!


Wah Pooja Ji.. Phir ek Such Likh diya aapne.. !!
Waqai bahut Hi Lajawab Lines Likhi Hain.. Dard Bhare Ehasaason Ko Bakhoobi Bayan kiya hai.. Applause Applause


Dard se Tera, Bahut Puraana Naata Hai,
Har Ehasaas Tera, Gum Me Sama Jaata Hai....

Pal Pal Ki Yeh Tanhaai Rula Jati Hai Tujhe,
Aur Yeh Dard, Gazalon Me Utar Jata Hai.....

Qalam Me daal Ke To dekh, Ishq Ki Syaahi "Pooja",
Phir Dekh Har Lafz Kaise Pyar Me Bheega Nazar Aata Hai...!!



**~** Mann **~**
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #19 on: July 12, 2009, 12:27:10 PM »
GOOD POOJA JI Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #20 on: July 12, 2009, 12:28:37 PM »
Shukriya pooja Ji.. Usual Smile aapne Itna Maan diya.. !! Waqai aapki Yeh Rachna Bahut dard Bhari Thi.. Pata nahi Kyun Yeh dard aapse Juda sa Laga..!!


Wah Pooja Ji.. Phir ek Such Likh diya aapne.. !!
Waqai bahut Hi Lajawab Lines Likhi Hain.. Dard Bhare Ehasaason Ko Bakhoobi Bayan kiya hai.. Applause Applause


Dard se Tera, Bahut Puraana Naata Hai,
Har Ehasaas Tera, Gum Me Sama Jaata Hai....

Pal Pal Ki Yeh Tanhaai Rula Jati Hai Tujhe,
Aur Yeh Dard, Gazalon Me Utar Jata Hai.....

Qalam Me daal Ke To dekh, Ishq Ki Syaahi "Pooja",
Phir Dekh Har Lafz Kaise Pyar Me Bheega Nazar Aata Hai...!!



**~** Mann **~**

BAHUT KHOOB MANN JI
Logged
mistufer
Guest
«Reply #21 on: July 13, 2009, 01:25:26 AM »
Poori imaandari se koshish ki, Dard ke section mai kuch na likhu... magar un sab dosto se mafi chahugi.. jo bilkul nahi chahte ki main kabhi is section ko parru bhi: Kuch lines man mai aai hai wo issi section mai likhne layak hai


Dekh kar mera ghar, Gum aor sare ghar bhool gaya
Mila is kadar baar baar, Rooh tak main Utar gaya!!

hai unko pyaar mujhse, ya mai he alag ho paati nahi
yakin hai magar, Gumo se jeevan kuch sawar gaya

Mila hai gum to mili hai kuch jeene ki akal bhi
warna to ye umar ka safar, andhkaar main nikal gaya

Dekh kar mera ghar, Gum aor sare ghar bhool gaya
Mila is kadar baar baar, Rooh tak main Utar gaya!!



pooja ji
ghum ka bhi apne nasha hai. jo kabhi juda nahi hota
kushiyan pal bhar ki hoti hain
dard toh zindgi bahut bada saathi hai
bahut acha likha hai
nira
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: July 13, 2009, 06:49:34 PM »
Shukriya pooja Ji.. Usual Smile aapne Itna Maan diya.. !! Waqai aapki Yeh Rachna Bahut dard Bhari Thi.. Pata nahi Kyun Yeh dard aapse Juda sa Laga..!!


Wah Pooja Ji.. Phir ek Such Likh diya aapne.. !!
Waqai bahut Hi Lajawab Lines Likhi Hain.. Dard Bhare Ehasaason Ko Bakhoobi Bayan kiya hai.. Applause Applause


Dard se Tera, Bahut Puraana Naata Hai,
Har Ehasaas Tera, Gum Me Sama Jaata Hai....

Pal Pal Ki Yeh Tanhaai Rula Jati Hai Tujhe,
Aur Yeh Dard, Gazalon Me Utar Jata Hai.....

Qalam Me daal Ke To dekh, Ishq Ki Syaahi "Pooja",
Phir Dekh Har Lafz Kaise Pyar Me Bheega Nazar Aata Hai...!!



**~** Mann **~**

Bahoot bahoot shukaria Mann ji...wah kaya likha hai apne... app jaise dost ho to dard kaha rah jaata hai:

App jaise dost ho to dard kaha ruk paata hai
Kalam mai atta atta bhi, kahi khd-b-khud ruk jaata hai

Likhati hu Ishaq main apne armaan-e-khwab
jab bhi sath app jaise dosto ka Pooja ko mil jaata hai


Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: July 13, 2009, 06:50:52 PM »
pooja ji
ghum ka bhi apne nasha hai. jo kabhi juda nahi hota
kushiyan pal bhar ki hoti hain
dard toh zindgi bahut bada saathi hai
bahut acha likha hai
nira

Nasha to nasha hai chahe Gum ho ya kHushi
dard mai likh jaati hu jab dard bhi mujh se ho jaata hai dukhi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: August 06, 2009, 05:12:51 PM »
GOOD POOJA JI Applause

shukaria marhoom bahayaat ji!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: August 07, 2009, 02:47:42 AM »
Poori imaandari se koshish ki, Dard ke section mai kuch na likhu... magar un sab dosto se mafi chahugi.. jo bilkul nahi chahte ki main kabhi is section ko parru bhi: Kuch lines man mai aai hai wo issi section mai likhne layak hai


Dekh kar mera ghar, Gum aor sare ghar bhool gaya
Mila is kadar baar baar, Rooh tak main Utar gaya!!

hai unko pyaar mujhse, ya mai he alag ho paati nahi
yakin hai magar, Gumo se jeevan kuch sawar gaya

Mila hai gum to mili hai kuch jeene ki akal bhi
warna to ye umar ka safar, andhkaar main nikal gaya

Dekh kar mera ghar, Gum aor sare ghar bhool gaya
Mila is kadar baar baar, Rooh tak main Utar gaya!!



Bahut khoobsurat likha hia Pooja di...
Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: August 12, 2009, 07:50:59 PM »
Bahut khoobsurat likha hia Pooja di...
Clapping Smiley

Thanks Angel!!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:42:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer