Roshni Se Door Raha,.

by Jaanasheen on May 09, 2009, 10:40:38 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2172 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile


Har Khushi Se Door Raha, Apni Zindagi Se Door Raha,.
Andheron Ki Giraft Mein Hoon Kuch Is Taraah,.
Ujaala Sirf Khayaal Tha, Saari Umr Roshni Se Door Raha,.

Wo Meri Sirf "Aarzu Thi, Kisi Aur Ki Haqeeqat "Azeem,.
Jise Paane Ki Sabse Badi Chahat Thi, Usi Se Door Raha,.

Seekhaaya Maine Sabko Chahne Ka Naya Andaaz "Azeem,.
Dil Jabse Toota Mera, Pyaar Mohabbat Aashiqi Se Door Raha,.

Hasne Ka Gungunaane Ka Shauq Main Bhi Rakha Karta Tha,.
Sazaa Jo Mili Is Adaa Ki, Us Din Se Main Hasi Se Door Raha,.

Ek Baar Chaand Ko Aankh Bharke Dekhne Ki Ye Sazaa Mili "Azeem,.
Har Raat Tadapta Raha, Umar Bhar Main Chaandni Se Door Raha,.


________________________________________________-Azeem-


Logged
diya786
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2009, 10:52:46 AM »
Subhanallah
Mashallah
kya khoob likha hai Azeem
lafz bhi kho rahe hain aapke is kalaam ki tareef mein...
maaf kijiyega...
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2009, 12:47:53 PM »
Har raat main tadapta raha, Umar bhar main chandni se door raha....Bohat khoob Azeem  Clapping Smiley

Ek dard mere seene me bhi hain zindagi bhar apne rab ki aur apne rasool ki nafarmani ki hain, aaj bohat sharmindgi hoti hain apne aap se apne wajood se.



Paach waqta hoti rahi Azaa.N, mera rab deta raha aawaz
Kabhi maikado me raha kabhi mehfilo me raha, main masjido se door raha

Bhool gaya main qurbaniyo apne pyaare nabi aur sahaba ki
Amal shaitaan ka raha yaad, main sunnato se door raha

-SG-

Bas chote aur likhne ki himmat nahi hain...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: May 09, 2009, 12:54:52 PM »
Wah Azeem bahoot khoob likha hai. har sher ak gehri baat keh raha hai.. SubanAllah

bahoot Khoob likha hai sajid ji aapne bhi..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 09, 2009, 02:01:08 PM »
Subhanallah
Mashallah
kya khoob likha hai Azeem
lafz bhi kho rahe hain aapke is kalaam ki tareef mein...
maaf kijiyega...
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Bohat Bohat Shukriya Kashish Ji,
Thank U,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 09, 2009, 02:02:20 PM »
Har raat main tadapta raha, Umar bhar main chandni se door raha....Bohat khoob Azeem  Clapping Smiley

Ek dard mere seene me bhi hain zindagi bhar apne rab ki aur apne rasool ki nafarmani ki hain, aaj bohat sharmindgi hoti hain apne aap se apne wajood se.



Paach waqta hoti rahi Azaa.N, mera rab deta raha aawaz
Kabhi maikado me raha kabhi mehfilo me raha, main masjido se door raha

Bhool gaya main qurbaniyo apne pyaare nabi aur sahaba ki
Amal shaitaan ka raha yaad, main sunnato se door raha

-SG-

Bas chote aur likhne ki himmat nahi hain...

Subhan Allah Kya Sachchi Baat Kahi Hai, Actually Mera Bhi Yahi Haal Hai, Rab Hume Maaf Kare, Aur Naik Hidayat De Aameen,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 09, 2009, 02:04:17 PM »
Wah Azeem bahoot khoob likha hai. har sher ak gehri baat keh raha hai.. SubanAllah

bahoot Khoob likha hai sajid ji aapne bhi..

Shukriya Sophi, Jo Sheron Mein Se Gehraai Nikaali Tumne,.

Thank U,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 09, 2009, 02:04:59 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  waah behad acha likha hai aapne Azeem..har ash'aar behatareen aur Sajid bhai aapne bhi bahot umda likha hai..

Shukriya Kaash Bhai,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 09, 2009, 02:17:56 PM »
bahoot khoob lil bro....

Good lines Sajid..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 09, 2009, 02:21:37 PM »
bahoot khoob lil bro....

Good lines Sajid..

Shukriya Didi,.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: May 09, 2009, 02:24:28 PM »
Wah Kya Baat hai Azeem Bhai.. Huemsha ki Tarah Lajawab PeshKash Hai.... Lafzon Ko Behad khubsoorati se sajaaya hai.. Really Great Work.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 09, 2009, 02:34:56 PM »
Wah Kya Baat hai Azeem Bhai.. Huemsha ki Tarah Lajawab PeshKash Hai.... Lafzon Ko Behad khubsoorati se sajaaya hai.. Really Great Work.. Applause Applause


**~** Mann **~**

Shukriya Vikas Bhai, Bas Duaa Karein,.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #12 on: May 09, 2009, 04:07:33 PM »
Very Nice Azeem
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: May 09, 2009, 04:34:33 PM »
Bahut accha likha aapne Azeem. All lines touched my heart. Good work  Thumbs UP
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: May 10, 2009, 03:27:48 AM »
very nice,excellent ,azeem ji and sajid ji.
aap dono bahut acha likhte ho.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:47:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer