Roti hui aakho ko......( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on April 24, 2010, 09:36:16 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3207 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Roti hui aakho ko, hasaya bohat hain
Yeh hunar humne khud par, aazmaya bohat hain

Jhopdi gareeb ki, kehti hain sisak_kar
Pasina mera mehlo ke, kaam aaya bohat hain

Mere zakhmo ne mujhko, aur zaheen kar diya
Thokro ne zindagi ki, samjhaya bohat hain

Apno se bichad kar hum, khud hi se jo mile
Q lage wajood apna, paraya bohat hain

Kaise na koi rota, uski turbat pe pohachkar
Ghayel ne zamane ko, hasaya bohat hain

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aakho hi aakho me by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
uski aakho by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
SEDHE AAKHO by Dr Maqsood Hasni in Other Languages
Aakho ka Pani bohat hain.......( Ghayel ) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Basa lene de aakho.n me.n tere is chehrey ko by irshad ahmed siddiqui in Shayri for Dard -e- Judai
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2010, 09:40:26 PM »
Bahut khoob Ghayel Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: April 24, 2010, 09:42:05 PM »
Bahut khoob Sajid ji...!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: April 24, 2010, 09:57:39 PM »
Mashallah Bohat Achchi Nazm Hai Sajid Bhai, SubHan Allah Har Lafz Dard Aur Sachchaai Mein Doooba Hai,.

Behtareen Peshkash
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: April 25, 2010, 06:03:03 AM »
Wah kya baat hai        Sajid_Ghayal ji.....

Auron ko khushiya di bohat hai
khud ko dard me jeena sikhaya bohat hai
khud rokar zamaane ko hasaya bohat hai
GHAYEL ne apna har gam dabaya bohat hai....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: April 25, 2010, 08:06:46 AM »
Wah bahut khoob Sajid ji.heart touching creation.kamaal ke likhte ho.great lines by Cara ji. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: April 25, 2010, 11:16:21 AM »
Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 25, 2010, 02:42:36 PM »
Roti hui aakho ko, hasaya bohat hain
Yeh hunar humne khud par, aazmaya bohat hain

Jhopdi gareeb ki, kehti hain sisak_kar
Pasina mera mehlo ke, kaam aaya bohat hain

Mere zakhmo ne mujhko, aur zaheen kar diya
Thokro ne zindagi ki, samjhaya bohat hain

Apno se bichad kar hum, khud hi se jo mile
Q lage wajood apna, paraya bohat hain

Kaise na koi rota, uski turbat pe pohachkar
Ghayel ne zamane ko, hasaya bohat hain

Sajid Ghayel

Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai..

Bhaut Hi khoobsurat Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 26, 2010, 01:59:58 PM »
Bahut khoob Ghayel Ji

Badi meharbani Rajesh Bhai............
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: April 28, 2010, 02:29:00 PM »
Bahut Bahut Khooooooooob Sajid Ji.. Lafzon Ko Jazzbaaton Se jod Behad Khubsoorati se is Rachna Me Piroya Hai aapne... Yehi Is Qalaam Ki khubsoorati Hai.. bahut Hi lajawab Peshkash Hai..  icon_thumleft icon_thumleft

Daad Kubool Karen...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**
Logged
shahid@kapoor
Guest
«Reply #10 on: April 28, 2010, 05:01:53 PM »
viry nic sajid bhai
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #11 on: April 28, 2010, 08:39:03 PM »
Bahut khoob Sajid ji...!!!

Nawazish Karam Klaskar Jee...........
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #12 on: June 06, 2010, 08:37:16 AM »
Mashallah Bohat Achchi Nazm Hai Sajid Bhai, SubHan Allah Har Lafz Dard Aur Sachchaai Mein Doooba Hai,.

Behtareen Peshkash

Badi meharbani Chote, ab to tum bhi masha_allah itna achcha likhne lage ho ke tumhari daad paker ab double khushi hoti hai ek to chote bhai ne daad di aur ek itne achche shayer ne daad di........
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: June 06, 2010, 06:02:56 PM »
BEHTREEN GHAZAL S_G Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #14 on: August 03, 2010, 05:49:57 PM »
Wah kya baat hai        Sajid_Ghayal ji.....

Auron ko khushiya di bohat hai
khud ko dard me jeena sikhaya bohat hai
khud rokar zamaane ko hasaya bohat hai
GHAYEL ne apna har gam dabaya bohat hai....

Kya kahe CARA jee aap haqeeqat me ek bemisaal shaksiyat hai, jis andaz me aapne aaj tak is mehfil me rang bhara hai woh apne aap me ek kamaal hai. Thank you so much for your support and this beautiful addition in my thread.

GOD BLESS YOU
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:48:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer