Roya nahi hu main.......(Ghayel)

by sajid_ghayel on December 30, 2008, 08:50:34 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4437 times)
sajid_ghayel
Guest
Kabhi kismat se kabhi duniya se darta raha hu main
Jaise bhi ho saka zinda raha hu main

Shayed mile hum kabhi bichde jaha par the
Is ummeed me aaj bhi, us mukam par khada hu main

Aa dekhle mujme tu apni khoobiyaan
Mujme mera ab kuch nahi, tera aaiina hu main

Takte hain mujko taare mere sath jagkar
Mukammal ho koi khwab, woh neend soya nahi hu main

Aa dekh le chehre mera waqt-e-rukhsati
Jaisa bhi hu kar itna yaqeen, paraya nahi hu main

Sadma kahu dard ki intehaa kahu apni halet ko kahu kya GHAYEL
Sabkuch to mera loot gaya, par roya nahi hu main

                            -Sajid Ghayel-
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #1 on: December 30, 2008, 09:25:01 AM »
waaaah very nice.. very nice line, ghayel ..

sab kuch tou mera loot gya, par roya nahi hoon  mai..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: December 30, 2008, 10:10:12 AM »
Sajid

Too good bro Applause

Ek ek line full of emotions hai Thumbs UP
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: December 30, 2008, 10:48:38 AM »
Kabhi kismat se kabhi duniya se darta raha hu main
Jaise bhi ho saka zinda raha hu main

Shayed mile hum kabhi bichde jaha par the
Is ummeed me aaj bhi, us mukam par khada hu main

Aa dekhle mujme tu apni khoobiyaan
Mujme mera ab kuch nahi, tera aaiina hu main

Takte hain mujko taare mere sath jagkar
Mukammal ho koi khwab, woh neend soya nahi hu main

Aa dekh le chehre mera waqt-e-rukhsati
Jaisa bhi hu kar itna yaqeen, paraya nahi hu main

Sadma kahu dard ki intehaa kahu apni halet ko kahu kya GHAYEL
Sabkuch to mera loot gaya, par roya nahi hu main

                            -Sajid Ghayel-


bahut bahut umda likha hai Sajid sahab
kamaal kar diya aapne
kuch likhne ke liye alfaaz hi nahin mil rahe
bahut khoob!!!
Applause Applause Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: December 30, 2008, 11:07:06 AM »
bahut khoob  gayelji...

is kadar tere pyaar mein dub gaya hun mein,
tuj mein hi samakar tera aaina ban gaya hun mein .
tut gaya hun, loot gaya hun, hogaya hun mein gayel,
yakeen hai tu aayegi,isiliye zinda hun, roya nahin hu mein.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #5 on: December 30, 2008, 11:08:01 AM »
bahut hi badiya, bahut hi khoob ghayel

jasbir singh
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: December 30, 2008, 11:13:58 AM »
Alam Rajbir Diya Cara and Jasbir aap sab ka bohat bohat shukriyaa dosto and Cara beautiful lines by you very good.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: December 30, 2008, 11:37:23 AM »
bahut khoob  gayelji...

is kadar tere pyaar mein dub gaya hun mein,
tuj mein hi samakar tera aaina ban gaya hun mein .
tut gaya hun, loot gaya hun, hogaya hun mein gayel,
yakeen hai tu aayegi,isiliye zinda hun, roya nahin hu mein.



BAHUT HI SUNDER KAHA AAP NEH CARA


JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 30, 2008, 11:40:35 AM »
Kabhi kismat se kabhi duniya se darta raha hu main
Jaise bhi ho saka zinda raha hu main

Shayed mile hum kabhi bichde jaha par the
Is ummeed me aaj bhi, us mukam par khada hu main

Aa dekhle mujme tu apni khoobiyaan
Mujme mera ab kuch nahi, tera aaiina hu main

Takte hain mujko taare mere sath jagkar
Mukammal ho koi khwab, woh neend soya nahi hu main

Aa dekh le chehre mera waqt-e-rukhsati
Jaisa bhi hu kar itna yaqeen, paraya nahi hu main

Sadma kahu dard ki intehaa kahu apni halet ko kahu kya GHAYEL
Sabkuch to mera loot gaya, par roya nahi hu main

                            -Sajid Ghayel-

Yeh bhi khoob rahi Ghayel Ji
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: December 30, 2008, 02:25:54 PM »
 Applause Applause

Wah wah Sajid ji kitna dard bhara kalam likha hai aapne...



Dil pe pehle unka pehra tha
Daman humne bhi unse bachaya tha

Dil ke haathon se woh bhi majboor hain
Isliye dil se dil milne ka intezaar hain


__________honeyrose________
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #10 on: December 30, 2008, 02:46:25 PM »
Bohat shukriyaab Rajesh and Honey. And good lines honey.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 30, 2008, 02:56:54 PM »
Bahot Khoob Sajid Bhaiya,.
And Jaya Didi,.

Yunhi Likhte Rakhiye,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: December 30, 2008, 06:13:55 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob SG, EK EK Line kamal ki likhi hai apne... magar yah last ki 6 lines to bahot he achi lagi:

Takte hain mujko taare mere sath jagkar
Mukammal ho koi khwab, woh neend soya nahi hu main

Aa dekh le chehre mera waqt-e-rukhsati
Jaisa bhi hu kar itna yaqeen, paraya nahi hu main

Sadma kahu dard ki intehaa kahu apni halet ko kahu kya GHAYEL
Sabkuch to mera loot gaya, par roya nahi hu main
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: December 30, 2008, 06:24:33 PM »
Applause Applause

Wah wah Sajid ji kitna dard bhara kalam likha hai aapne...



Dil pe pehle unka pehra tha
Daman humne bhi unse bachaya tha

Dil ke haathon se woh bhi majboor hain
Isliye dil se dil milne ka intezaar hain


__________honeyrose________


very nice Honey


Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: December 30, 2008, 06:25:16 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob SG, EK EK Line kamal ki likhi hai apne... magar yah last ki 6 lines to bahot he achi lagi:

Takte hain mujko taare mere sath jagkar
Mukammal ho koi khwab, woh neend soya nahi hu main

Aa dekh le chehre mera waqt-e-rukhsati
Jaisa bhi hu kar itna yaqeen, paraya nahi hu main

Sadma kahu dard ki intehaa kahu apni halet ko kahu kya GHAYEL
Sabkuch to mera loot gaya, par roya nahi hu main


bahut ki kamaal ka likha hai aap ney JI


Jasbir Singh
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:12:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer