RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Author  (Read 7273 times)
phoenix
Guest
rote hue ko hasa saku bus yahi tammana baqi hai
ruh faana ho chuki hai jism par ghaav baqi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
phoenix
Guest
«Reply #1 on: April 14, 2006, 06:23:06 PM »
aaj phir zindagi ko aaine mein dekha,
apni mohabbat ko kasmasate dekha
logo ko pal pal badalte dekha
aaj humne suraj ko dhalte dekha

tadap utha woh khuda bhi
jab rote hue ek pathar ko dekha
chahkar bhi na rok saka jane wale ko
bus khud ko hamne aaj tadapte dekha
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: April 14, 2006, 06:30:27 PM »
Bohat khoob Phoenix.. Good Ones!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #3 on: April 14, 2006, 06:33:54 PM »
thanx for ur apreeciation aryan ji
Logged
phoenix
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2006, 05:54:35 PM »
kab tak sath nibhaon tera mein aey zindagi
aakhir mein bhi ek insaan hi hun

pal pal imtehaan leti hai tu mera
aakhir mein koi bhagwan nahi hun

chala ja raha hun tere isharoon pe mein
kisi ki madad ka talabgar nahi hun

koi mujhe kya thukraega apni raahon se
doosron par jeene wala haivan nahi hun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2006, 03:51:38 AM »
nice phoenix ....................kuch yaad aarha hai aapki in lines ko pad ke.........

itna bura toh tera bhi anjaam nahi hai
suraj jo savare thaa, wahi shaam nahi hai

pechaan agar ban na saki teri toh kya gum
kitne hi sitaaro.n ka koi naam nahi hai

yeh shukre mana itna toh hua hai insaaf
tujh per hi tere katal ka ilzaam nahi hai....n/m
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2006, 04:30:03 PM »
Na pado mere Dard ko doston.....
Abhi toote khawabon ki dastaan baaki hai......

Seene mein tujhe dekh ke jalan.....
Toh Jism par teri aankhon ke waar ke ghav baaki hai.....

Rooh tadap uthti hai sunke dastaan meri......
Kehti hain sab bahut iss Mahobbat ka Anjaam ab bhi baaki hai.....!!!!!!!!!



Bahut accha likha hai NItesh and Ranju Usual Smile
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2006, 06:28:58 PM »
Majboorion Ki Khabar Hai Mujhey,
Baat Baat Par Kasmein Na Khaaya Karo,
Roz Ghairon Ki Majlis Mein Jaate Ho Tum,
Kabhi To Apno Ki Mahefil Sajaaya Karo!

Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #8 on: May 17, 2006, 06:31:07 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Na pado mere Dard ko doston.....
Abhi toote khawabon ki dastaan baaki hai......

Seene mein tujhe dekh ke jalan.....
Toh Jism par teri aankhon ke waar ke ghav baaki hai.....

Rooh tadap uthti hai sunke dastaan meri......
Kehti hain sab bahut iss Mahobbat ka Anjaam ab bhi baaki hai.....!!!!!!!!!



Bahut accha likha hai NItesh and Ranju Usual Smile
Bahoot he accha hai badnaam ji...Fantastic...Please carry your hard work forever.
Logged
phoenix
Guest
«Reply #9 on: May 18, 2006, 09:12:25 AM »
gud reply ranju, gaurav bhai and tabrez ji
Logged
phoenix
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2006, 06:35:14 PM »
sath chalna gawara na tha dono ko
haste haste waqt guzar gaya

jab imtihaan ka waqt aaya
tau woh mujhe tanha kar gaya

jaate jaate yaadein de gaya
meri sari khushiyan le gaya

ruh ko zakhmi kar gaya
mujhe tanha kar gaya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2006, 06:01:30 AM »
tere jaane ke baad tere faasane yaad aaye
kitne bhule hue afsaane yaad aaye
kyu bitayai hamne saari umar teri yaad mein
kyu na ham tujhko bhul paaye .........

dube hai teri yaado ke sagar mein kuch is tarah......
ki hamko nahi aache lagte hain ab bahaaro ke saaye
ab dubenge ya bachange , yeh toh hame bhi pata nahi
par jaana thaa kahi aur,  na jaane ham kahan nikal aaye..........
Logged
phoenix
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2006, 06:12:17 AM »
bhulana chaha unhe par bhula na sake,
chahkar bhi kisi aur ko apna na sake,
yeh teri duaon ka hi asar hai,
ki kisi aur k dil mein mukam pa na sake
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: May 19, 2006, 06:24:42 AM »
dub gaye hain dil ke armaan
waqt ka dariya gahara gahara
yun toh hai kitne rishte  naate
fir bhi yah dil tanha- tanha
jindagi hai rait si jalati
mera jeevan sehara -sehara
Logged
phoenix
Guest
«Reply #14 on: May 19, 2006, 05:30:25 PM »
Quote from: "ranjana"
dub gaye hain dil ke armaan
waqt ka dariya gahara gahara
yun toh hai kitne rishte  naate
fir bhi yah dil tanha- tanha
jindagi hai rait si jalati
mera jeevan sehara -sehara


sehraon mein gul khila sakte hain hum
udass chehron ko hasa sakte hain hum
phir na kehna akele ho raaho mein tum
ek dost k liye khuda se takra sakte hain hum
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:52:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer