RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
Print
Author  (Read 7218 times)
phoenix
Guest
«Reply #120 on: July 18, 2006, 08:15:51 PM »
zindagi ki shatranj par hum se mahir lagte hain sab
jahan dekho baaziyan jahan dekho saajishen

log kehte hain humne ishq karna nahi sikha
koi jakar pooche us se ki kitne raatein sath beetain thi

jo lamha guzar gaya ab use kya yaad karun mein
har ghadi ek naya imtihaan  laati hai zindagi

log kehte hain sikander mahan tha
par kya bhul gaye ki kismat ne use roka tha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
badnaam_shayar
Guest
«Reply #121 on: July 18, 2006, 08:21:33 PM »
Quote from: "phoenix"
zindagi ki shatranj par hum se mahir lagte hain sab
jahan dekho baaziyan jahan dekho saajishen

log kehte hain humne ishq karna nahi sikha
koi jakar pooche us se ki kitne raatein sath beetain thi

jo lamha guzar gaya ab use kya yaad karun mein
har ghadi ek naya imtihaan  laati hai zindagi

log kehte hain sikander mahan tha
par kya bhul gaye ki kismat ne use roka tha


Jab WaQt Guzar jaata hai....
Tab hee kyu Insaan ko Kismat Shabd yaad ata hai.....

Kay karegi Kismat jab tum khud hee toot jaoge.....
Baha doge kisi ki aankhon se aansu....
tab bhi tumhe kahan ek Maafinaama yaad ata hai......

Sikander ne thama tha WaQt ko tab usne Kismat par Jeet paayi thi......
Ki thi Mahobbat apni Saltanat se Chahe par Ant me usi ki Yaad me jaan gavayi thi......!!!!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #122 on: July 18, 2006, 08:24:59 PM »
bahoot khoob Phoenix and badnaam shayar ji
Logged
phoenix
Guest
«Reply #123 on: July 18, 2006, 08:27:35 PM »
jalakar dekho kisi ki khushi mein apna dil
toh pata chale ki jalne k baad kya ehsaas hota hai

dikhte hain sabko zakhm husn k
koi pooche zara majnu se ki haal e ishq kya hota hai

keh to diya tumne humko aaj bewafa
rakh kar dekho khud ko apni jagah
to pata chale ki dil ki suunna kitna dushwar hota hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #124 on: July 18, 2006, 08:31:16 PM »
Quote from: "phoenix"
jalakar dekho kisi ki khushi mein apna dil
toh pata chale ki jalne k baad kya ehsaas hota hai

dikhte hain sabko zakhm husn k
koi pooche zara majnu se ki haal e ishq kya hota hai

keh to diya tumne humko aaj bewafa
rakh kar dekho khud ko apni jagah
to pata chale ki dil ki suunna kitna dushwar hota hai


Jali ko jab keh hee dia tumne Raakh.....
Toh bolo ab bacha hee kya hai.....

Beh gaye jab saare armaan......
Toh Zindagi ki Saiez par Saja hee kya hai.......

Chingaari jo bhadkai thi tumne......
Aaj humne woh Aag unn Aankhon me dekhi hai......

Woh Sulagna unka teri Bewafai ki Fizaon me......
Bas ab toh Barsaat kuch apni Khushion ki dekhni hai.......!!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #125 on: July 18, 2006, 08:34:12 PM »
na karna umeed mujhse ki ishq ki barsat hogi
rakha hai dil mein bas angaar toh dur tak iski aanch hogi

tum rukh na karna hawaon ka iss taraf zara bhi
jo bhadak gaya ye aangar to sabki zindagi zar zar hogi
Logged
phoenix
Guest
«Reply #126 on: July 18, 2006, 08:34:38 PM »
thank you so much pooja ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #127 on: July 18, 2006, 08:35:32 PM »
Quote from: "phoenix"
na karna umeed mujhse ki ishq ki barsat hogi
rakha hai dil mein bas angaar toh dur tak iski aanch hogi

tum rukh na karna hawaon ka iss taraf zara bhi
jo bhadak gaya ye aangar to sabki zindagi zar zar hogi


wah kaya baat hai, bahoot hi kamal likha hai apne... good job Badnaam Shayar ji!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #128 on: July 18, 2006, 08:37:59 PM »
thnx
Logged
phoenix
Guest
«Reply #129 on: July 18, 2006, 08:38:26 PM »
thats it for 2day gud nite everyone
Logged
ranjana
Guest
«Reply #130 on: July 19, 2006, 03:32:48 AM »
bahut khoob nitesh and gaurav ........bahut hi sunder likha aap dono ne....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #131 on: July 19, 2006, 03:54:27 PM »
Quote from: "phoenix"
na karna umeed mujhse ki ishq ki barsat hogi
rakha hai dil mein bas angaar toh dur tak iski aanch hogi

tum rukh na karna hawaon ka iss taraf zara bhi
jo bhadak gaya ye aangar to sabki zindagi zar zar hogi


Wah Kya baat hai Nittu....

Na darr tu hawaon se aag humne bhi seene me laga rakhi hai.....
Dekhe the jab uski aankhon me aanson tabse teri taqdeer mitane ki kasam kha rakhi hai......

Gar Angaar hai tu toh Shole bann hum baras jayenge.....
Tu rakh jahan bhi kadam hum IshQ ki mehfil usi darr par sajayenge.....!!!!!!!
Logged
addys98
Guest
«Reply #132 on: July 19, 2006, 04:13:30 PM »
Dil ne jiska naam liya uska daman tham liya,
Jab jab dard utha hai dil mein, maine to tera naam liya,
Is bhari duniya mein koi bhi hamara nahi hua,
Gair to gair thay apno ka bhi sahara na hua!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #133 on: July 31, 2006, 05:17:20 PM »
barso beet gaye hain apna haal e dil sunaye hue
raatein beet gayi hain kisi ko dil se lagaye hue
kuch ulhjan rehti hai dilo dimag mein mere
kya karun jab bandagi zillat ban jaye

zindagi ki ladiyan tuti kuch iss kadar se
ki moti sametne mein zindagi bit gayi
wo chahte  to the sahara dena hume
par kya kare zamane k usool hi kuch aise the

beet gaya din toh mera madhoshi k aalam mein
raat hote hi jaam ne mujhe apna bana liya
fir hui subah aur kathputli bankar humne
iss zamane ko behla diya

bas ek tis si reh jati hai kabhi shaam ki tanhaai mein
ki mere muqaddar mein sirf mayusi kyun likhi hai
hasta toh mein bhi bahut hun magar
inn honto par sada gum ki parchai kyun rehti hai

yakin hain mujhe mere chahne walon par
wo aaenge rone toh mere bhi janaze par
isliye ya khuda aisi maut dena mujhe
ki duniya ko ehsaan jatane ka mauka na mile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #134 on: July 31, 2006, 06:08:41 PM »
bahut khoob Nitesh ....

tune diya jo mujhe maine kab uska gila kiya
bas dil jala mera aur thaa tanha tuta hua

baat jab hui us se  toh bas  ranzo-gum hi mila
mera vajood jeeta raha zindagi ek shukhe  hue paate ki tarah

karna chahate they hum faasle hardam kam
per waqt betha thaa wahan faasla sa banata hua

kab milega mujhe chein ,kab mujhe sakun ki neend aayegi
yeh sawal jab woh they tab bhi thaa ,aur ab bhi hai unsuljha hua
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:14:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer