RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Author  (Read 7287 times)
phoenix
Guest
«Reply #30 on: May 29, 2006, 06:27:53 PM »
bahut khoob gaurav
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
waheed_rose2004
Guest
«Reply #31 on: May 29, 2006, 06:56:01 PM »
nice  work  Phoenix...Gaurav
Logged
izhaarkeintzaarmein
Guest
«Reply #32 on: May 29, 2006, 07:40:48 PM »
aaj bade dino baad yo india  ki mkehfil mein aaya hun
and ye thread padhkar maja hi aa gaya

keep up the gud work friends
Logged
phoenix
Guest
«Reply #33 on: May 30, 2006, 11:39:51 AM »
logo ki khwahishon mein kuch is kadar ulajh gaya hun
na khabar hai khud ki duniya se bekhabar sa ho gaya hun
mera imaan mano mera mol lagane baitha hai aaj bazaar mein
bikne ko tayaar hun mein par aaj kharidar gayab hai bazar se
Logged
ranjana
Guest
«Reply #34 on: May 30, 2006, 12:55:40 PM »
kuch logo ke liye toh woh kaanch ke ghar de gaya
aur kuch logo ke haath mein woh pathar de gaya

ek katara pyar ka aaya thaa mujhse mangane
shakas woh jaate samaye mujhko samandar de gaya

jab kabhi khomosh reh kar us se kuch puche sawal
woh mujhe khmosh reh kar sabke uttar de gaya......n/m
Logged
phoenix
Guest
«Reply #35 on: May 30, 2006, 06:32:12 PM »
logon k darmiyan kuch saajish si suni hai
baich denge mera aashiyan aisi aazmaish suni hai
bacha hi kya wahan ab rakh k dher k siva
kuch yaadein hai meri ya shayad wo bhi raakh ho chuki hai
bus kuch rishto ki tapan baki hai us aag k shole me
shayad wo bhi na rahe kyunki sondhi si khusbo aane lagi hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: May 31, 2006, 04:51:50 AM »
Bahut khoob Nittu and Ranj

Rooh ke Ghav bhare nahi aur Tum Jism pe marham lagate ho....
Hai jo darmiyan dard use choo ke tum haath kyu jalate ho......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: May 31, 2006, 05:22:15 AM »
dard jitna jisne saha hai , utna hi woh khamosh raha hai
na jaane kaise raat yeh beetagi jindagi ki rooh ka ghav ab nasur bana hai

sab aate jaate rehte hain ek parinde ki tarah
ped ko dekho woh toh tanha thaa , tanha hi raha hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #38 on: June 01, 2006, 04:02:26 PM »
ya khuda mere zakhmo par itna to reham kar dena
 na mile kafan na sahi bas ek yaar ka deedar dena

ho sakta hai mein kuch na chod paonga mere dilbar k liye
ho sake to tu hi mere thode se zakham use udhar dena

mujhe meri manzil na milne ka koi afsos nahi
use mile uska dilbar bas itni si dua dena

aur kuch nahi mangta is tadapti hui rooh k liye
ik iltiza hai ki tu mujhe uski aankhon ka samandar bana dena
Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: June 02, 2006, 03:13:13 AM »
kisko yahan apne mann ki jindagaani mili hai
sabko yahan apne apne dard ki ek kahanee mili hai

dard jo pal pal karke hai ris raha
dard hai yeh woh jo dabaane se aur bada

sabki rooho per dikhte hain kuch dard ke nishaan
sab pee lete hain hanste hanste apne dard ko yahan
Logged
phoenix
Guest
«Reply #40 on: June 02, 2006, 06:58:25 PM »
zakhmon pe marham kabhi lagaya to hota
mere aansuon k liye daaman bichaya to hota
badnamiyon k bojh se jab gardan jhuk gayi
kandha apna tumne badaya to hota
gir gir k sambhal jate fir girna k liye
agar nazro ne teri yun giraya na hota
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #41 on: June 02, 2006, 09:25:14 PM »
Very Nice Phoenix & Ranjana...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: June 03, 2006, 04:22:35 AM »
shukriya Aryaan..............

uljhan bhare din hain mere tanha hai raate
de jaati hai jhakam mujhe teri woh baate
hum bhi bar ke thaam lete tera daman
yun tune hamko rulaya na hota
teri nazaro.n ke hum bhi ek hote nazare
jo tune apni nazaro mein hamko basaya hota
Logged
phoenix
Guest
«Reply #43 on: June 03, 2006, 12:54:48 PM »
thnx aryaan
Logged
phoenix
Guest
«Reply #44 on: June 05, 2006, 06:36:36 PM »
is dil k tukdo me tere hawale karta hun
jo tode hai tune ab tu hi jod kar dikha

aadi nahi hun me aur na hi hun aant tera,
ek kamzor si kadi hun apni zindagi se mujhe tod kar dikha

jo tere haath na aaye wo rait ka saagar hun
aaj is sagar ka rukh zindagi ki taraf mod kar dikha
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:51:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer