RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
Print
Author  (Read 7286 times)
ranjana
Guest
«Reply #45 on: June 06, 2006, 01:29:24 AM »
jab tu tute hue dil ke tukdo mein apna akas dekhaega
mujhe yakeen hai ki tu usmein apne saath mera bhi akas dekhega

badali teri nigha toh mere bhi duniya badal jaayegi
fir hoga kya mera anjaam yeh sara jag dekhega..............

mod sakata hai yeh payr sagar ke rukh ko bhi
payas se sagar ka rishta kya hai yeh aaj khuda bhi dekhega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
phoenix
Guest
«Reply #46 on: June 06, 2006, 05:47:29 PM »
koi to mujhe mere jeene ki wajah bata de
tadap raha hun zinda rehkar
koi to mujhe marna sikha de

tut gaye hai khwaab sare
choot gayi hain sari umeedein
bas bachi hai yaadein teri koi inhe bhi dafna de
Logged
ranjana
Guest
«Reply #47 on: June 07, 2006, 03:21:43 AM »
teri yaado ko maine aaj ek gahri kabar mein dafna diya
apne vajood ko le aaj hamane khud hi mita diya

ris rahe they  kuch ghav meri jindagi ke ab tak
teri tangdili ne ab inko  nasur bana diya.........

ab na karange payar hum kabhi bhi sanam kisi se...............
teri hi berukhi ne hame bhi jingagi ko jeena sikha diya
Logged
phoenix
Guest
«Reply #48 on: June 07, 2006, 06:01:36 AM »
kise dosh dun apni barbadi ka mein
yeh dil bhi to mera hi tha jo tuta hai

teri khata hi kya thi aey dost jo tu udaas hai
kasoor to mera hi tha jo tujhpe bharosa kar baitha

woh khuda bhi hota agar zinda to ro deta
yeh to mein hi hun jo zakhmo par has raha hun

tu gam na mana meri barbadiyon ka
aa baith tujhe armano ki mayaat dikhata hun
Logged
ranjana
Guest
«Reply #49 on: June 07, 2006, 06:14:52 AM »
nice one Nitiesh.......................

kisne mohabbat mein kisko kya sila diya
yeh dil cheege hai asi jise kai baar toda gaya

kai baar sambhala hamne bhi apne  dil ko sanam
har baar isko fir dekha hai hamne dard mein  duba hua

zakham kya dikahte ho hamko apne dil ke tum sanam
mere dil per bhi hai tera diya ghav rista hua....................
Logged
phoenix
Guest
«Reply #50 on: June 07, 2006, 06:22:00 AM »
Quote from: "ranjana"
nice one Nitiesh.......................

kisne mohabbat mein kisko kya sila diya
yeh dil cheege hai asi jise kai baar toda gaya

kai baar sambhala hamne bhi apne  dil ko sanam
har baar isko fir dekha hai hamne dard mein  duba hua

zakham kya dikahte ho hamko apne dil ke tum sanam
mere dil per bhi hai tera diya ghav rista hua....................
ab is dil ko aur sambhalne ki chahat na rahi
itne khaye hai dhoke isne ki marham ki khwahish na rahi
aaj aaya hai tu jaan ne mere dil ka sabab
par kya batau tujhe me dil pehle jaisi mohabbat na rahi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #51 on: June 07, 2006, 06:28:50 AM »
nice................

yun khud ko kab tak dhoke mein rakh sakoge tum
yun apni chahto se kab tak mooh mod sakoge tum

hai dil mein nahi hai payar toh mujhe payar na do
par ho sake toh apni nafart ka sansaar mujhe de do

tu jo bhi dega woh mujhe hoga woh dil se kabool
shart yeh hai ki pehle apna etabaar mujhe de do
Logged
phoenix
Guest
«Reply #52 on: June 07, 2006, 06:37:31 AM »
is aitbaar ka kya karogi tum
yehi to hai jo har baar tuta hai

har baar kiya hai bharosa is dil ne
aur har bar hi iss par vaar hua hai

ho chuka hun mein ek badnaam savera
har raat ko sota hun ek ilzaam k sath

jab aankho khulti hain ho pata hun tohmate
par chup reh jaata hun jab uthta hai tera naam

ab tu hi bata kaise de dun yeh aitbaar tujhko
mar bhi na paoonga jo naam tera badnaam hua
Logged
ranjana
Guest
«Reply #53 on: June 07, 2006, 06:44:32 AM »
payar karne wale badnaami se nahi darte
har phool ke saath saath hote  hai kaante

jab tera khud per kabhi aitbaar hoga
tab sanam tujhko bhi kisi se payar hoga

tab yeh ruswaiya.n ha satayagi tujhe
jab yeh   mohabbat ka teer tere dil ke paar hoga
Logged
phoenix
Guest
«Reply #54 on: June 07, 2006, 06:51:23 AM »
yeh koi mohabaat ka sadga nahi hai
hai yeh ek gum ki mehfil

keh do tum husn walo se
ki naa aaye yahan par diljale rehte hain

dhund k dekh lo pyaar ko tum
mil jaaega kahin raakh k dher mein

ye mandir hai ishq k kafiro ka
husn se keh do ki ibadaat mein dakhl na dale
Logged
ranjana
Guest
«Reply #55 on: June 07, 2006, 07:27:36 AM »
hum bhi apne dil mein dard rakhte hain
per har gum ko apni muskarahat mein chhipa rakha hai

hamne bhi apne dard ko sholo mein daba rakha hai
aur kar le tu yakeen hamne apne is dard ka naam mohbbat rakha hai

jindagi chalti rahe yun hi har subah shaam
isliiye hamne ek parda ishaqe ka daal rakha hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #56 on: June 07, 2006, 10:49:14 AM »
tanha hain raahe yaar ki
suni hai galiyan pyaar ki

bujhe hue hain armaan dil k
bhar gaye hai ghaav dil k

kitni baichani aaj is dil ko hai
tadap raha aaj koi manzil ko hai

raah takta hai aey dil tu kiski yahan
koi nahi tera bas hai khula aasman

mat laga umeed tu is jahan me
kuch nahi milega siwae dhoke k

kyun tu aaj khud ko tadpana chahta hai
mar chuka hun mein ab kyun mujhe azmana chahta hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #57 on: June 07, 2006, 11:25:48 AM »
sirf gum ni gum ab meri jindagi mein bacha
ab iske siva aur hai kya bacha..........

sikh kar udana parinde ud gaye na jaane kahan
mere pass sirf mera gosala bacha..............

jis mein apno ke pate they woh kitaab na jane kho gayi kahan
ab toh kisi se bhi milne ka koi rasta nahi bacha........................

tum kahte ho ki na azmaao mujhe
mujh mein toh ab khud ko bhi azmaane ka hosala nahi bacha
Logged
phoenix
Guest
«Reply #58 on: June 07, 2006, 11:47:20 AM »
aazmaish pyaar mein hoti
numaish izhaar mein hoti hai

hume tum bhul jane ki koshish karna
har kahaani ki manzil aasan nahi hoti hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #59 on: June 07, 2006, 05:13:56 PM »
mere gum hanste rahe , meri kushi rotee rahi
jindagi bhar main jindagi ke liye rotee rahi.

dil ki mehfilo mein teri yaade hansti rahi
meri aankh bas chupke chupke rotee rahi......

chhaa gaya jindagi mein andhera bhi bahut
ek ujale ki chhah mein bas  roshni rotee rahi

kuch mera kuch mera nahi...............
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:49:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer