RUH K GHAAV BAKI HAI

by phoenix on March 07, 2006, 05:14:40 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Author  (Read 7188 times)
phoenix
Guest
«Reply #75 on: June 19, 2006, 05:00:08 PM »
khamoshi ki sadaen mujhe pukar rahi hain
na chahte hue bhi har dhadkan thamti ja rahi hai

lagta hai ki aaj mein kahin chala jaun
tod dun sare bandhan aur khamoshi me kho jaun

meri wafae.n aaj bewfai si lagne lagi hain
kya kasoor tha mera jo ye duniya mujhse jalne lagi hai

maine bhi do pal maange the pyaar k zamane se
kya itni si khwahish ek jurm bada ban gayi hai

koi jawaab de aaj mujhe ki kya meri chahatein jyada thi bahut
ya fir meri zafao.n me wo pyaar bhara jazba na raha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
baki... by neerajB in Shayri for Dard -e- Judai
Dil pey lagey ghaav zara by husain52 in Shayri-E-Dard
Tere yaar ka jalna baki ha by jaimata in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
baki ta sab kuch thik kurhe.. by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
~~~Yaad baki hai~~~ by Sammual in Shayri-E-Dard
phoenix
Guest
«Reply #76 on: June 19, 2006, 08:58:58 PM »
mein apne kadmo ki aahat sun nahi paa raha hun
lagta hai ek zinda laash hun aur chale ja raha hun

meri saanse kyun mujhe mehsus nahi ho rahi hai
aisa kya hua hai aaj jo meri tanhaai mujhme chur ho rahi hai

harr ghadi to apne wajood se ulajhta raha hun
aur aaj jab jaan par ban aayi to galti mehsus ho rahi  hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #77 on: June 20, 2006, 03:28:41 AM »
bahut khub Nitiesh...............

ek shakas hai woh jo khamosh reh kar bahut kuch keh jaata hai
pyaar hi pyaar bhara hai uske seene mein
har waqt hansata ,muskarta nazar aata hai

uska dil hai mom ka bana ,par woh khud ko pathar dil batlata hai
hans ke seh leta hai woh har sitam ko,dusaro ke dukh le jaata hai
apne ghav bane hai uske nasur,per woh dusro ke ghav sehlata hai
chunata hai woh apni palko se dusaro ke aansu
aur hans ke har dard ke zaher ko pee jaata hai
duniya kehti hai usko sitamagar
per mujhe uski rooh mein khuda nazar aata hai.......
Logged
phoenix
Guest
«Reply #78 on: June 20, 2006, 06:59:54 PM »
ghar k dwar par jo diya rakha hai wo aaj bujhne laga hai
hawaon ka kafila mere ghar ko chukar nikalne laga hai

pehli baarish ki boondein mere aashiyane ki chaat se tapakne lagi hai
meri bebas masoom si beti bhook se bilakhne lagi hai

haath hain aaj fir is barish me tang mera
na tan par kapde hai na ghar par hai jalta chulha mera

har ghadi meri patni mujhe ghoor k dekh rahi hai
uski akhri saanse dawa ki boond ko taras rahi hai

itne mein zor se ek bijli si chamakti hain
mein aasman ko dekhta hun par kuch nahi hai wahan

jab nazre ghar k dwaar par padi to sakpaka gaya
ek sahab meri tasveeren utar rahe the

jab chamak kam hui to dekha ki wo insaan ja chuka tha
chalo aacha hi hua ek baap ki bebasi dusre baap ki rozi roti to ban gayi
Logged
ranjana
Guest
«Reply #79 on: June 20, 2006, 07:04:47 PM »
its superb aacha laga yeh kuch alag sa likha hua .......

very nice .......ek dard hai in lines mein jo pad ke mehsus hota hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #80 on: June 21, 2006, 03:51:09 AM »
lo aaj fir se koi ghav dil mein ubhar aaya
kya koi dard thaa jo meri aanhko se chalk aaya

lage hue they logo ke chahere per naqab is kadar
ki mujhe  is mein koi chehara saccha nazar nahi aaya

manzile badalti rahi meri ta -umar
per mera dil pyaar ka rasta badal nahi paaya

patharo ka shehar  hai yahan koi nahi hai tera
yeh fir unse nazare mila ke mera dil ek ghav aur kyu le aaya
Logged
phoenix
Guest
«Reply #81 on: June 21, 2006, 12:03:40 PM »
thanx ranjana ji and nice reply
Logged
phoenix
Guest
«Reply #82 on: June 21, 2006, 12:11:51 PM »
agar hota ye mumkin to hum zindagi ki har sham tere naam likh dete
agar hota tu mera yaar to ye gunaah hum bar baar kar lete

agar khuda ke samne rone se sun li jati mannate
to hum apne ghar ka pata yaar mazzar kar lete

agar hatho ki lakeero me chupa hota hai mukkadar sabka
to hum khanjar se tera har zarra haatho par tammam kar lete
Logged
ranjana
Guest
«Reply #83 on: June 21, 2006, 12:25:30 PM »
shukriya Nitiesh ..........bahut khub likha ......

ab aansu nahi behte hamare na hi aankhe nam hoti hai
kuch dard diye hue hain unke aur yaado ke kuch moti hai

jindagi naam hai hansane  ka aur rone  ka shayed
phoolo ke saath saath kaante bhi toh hote  hai........

koi sapna ho subeh ka toh shayed hum yaad rahe tumko
hum toh woh lakeere hain un haatho ki jo ho ke bhi sach nahi hoti hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #84 on: June 21, 2006, 12:32:44 PM »
mere haatho me tere naam ki lakeeren bhi thi kabhi
par na jaane inn haatho ka sath kab chod gayi

tu shayad mera muqadar tha hi nahi kabhi
chalo aacha hi hua jo ye lakeeren bhi manzil ko pa gayi

aaj hum tanhai me baith kar apne haatho ko dekhte hain
to lagta hai ki ye khanjar bhi kab tak sath dega mera

tum to ek suhani shaam si thi meri zindagi mein
kya hua jo suraj hi waqt se pehle dhal gaya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #85 on: June 22, 2006, 01:38:42 AM »
na mitne dena tum apne diye ghavo ko mere dil se
yeh woh nasaur hain jo teri yaad baar baar karaate hain
ehasas kara dete hain yeh mujhko tere kiye vaado ka
aur bhar dete hain mere dil ko dard  ke jehar se
Logged
phoenix
Guest
«Reply #86 on: June 22, 2006, 06:13:18 PM »
tumhari siskiyan in kaano ko abhi tak yaad hai
tumhara wo raat bhar mujhe jaagana yaad hai
socha tha koi mukaam pa jaenge hum
par yun badhawas thokare khana abhi tak yaad hai

har koi gila karta hai hamse iss zamane mein
par tera wo mujhko bewafa bulana abhi tak yaad hai

kya karta agar koi poochta mujhse meri haalat ka sabab
par tab bhi teri yaadon me khoye rehna abhi tak yaad hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #87 on: June 23, 2006, 01:44:15 AM »
aap yun mere dil per hain chhaaye hue
ki hain meri raato ki neende uday hue

karwate bhi kal tang aa gayi hamse
ki hum rahe tanha aapki yaado ko seene se lagaye hue

ek dard tham- tham ke rista raha raat bhar
hum gum rahe tere khayalo mein gum yun apne ko bhulaye hue

siskiyaan leti rahi meri saasne tere begair
hum bethe rahe bas tere aane ki aas lagaaye hue
Logged
phoenix
Guest
«Reply #88 on: June 23, 2006, 08:01:40 PM »
har zakham apni kahani kehta hai
har lamha apni rawani kehta hai
tum mujhe tanha chood kar chale gaye
par aaj bhi ye kamra hamari kahani kehta hai

tumhe shayad laga hoga ki mein kahin gum ho jaunga
kya kabhi socha tha tumne ki falak bankar dil mein ubhar aaunga
ab koi dawa nahi hai iss dard e dil ko mitane ki
agar hadd se guzar jae dard to dekh lena tasveer mere anjaam ki
Logged
ranjana
Guest
«Reply #89 on: June 24, 2006, 02:03:11 AM »
aaj fir dil dard se bhar utha hai isko kaun mitaaye
fir wahi tanhai ka aalam ,fir hain wahi kuch udas se saaye
kaun mere behete aanasu ko ab apne dil mein chipaaye
kaun mere uljhe se sawalo ko fir se ab suljhaye.....
sard hawa ke jhonke hai aur shaam ke dhundle saaye
mera zakhm fir se hara ho ke kyu dard de jaaye
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:27:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer