badnaam_shayar
Guest
|
«Reply #90 on: June 24, 2006, 01:18:14 PM » |
|
Tumne bhi jo kabhi Pyar kia hota..... Toh Ghaav dekh ke mera bhi ufff kia hota.....
Aaiyena bhi dekha hota toh uspar bhi aitbaar kia hota..... Jo keh na sake hum Ta Umr kaano ne na sahi par dil ne tere Suna hota....!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #91 on: June 24, 2006, 01:58:43 PM » |
|
ghav aksar dard deta hai kuch der sukhane ke baad kitne gum aur ubhar aate hain unko dekhne ke baad
bas hum un tak gaye is liye nahi ab tak kahi duriyaan aur na barah jaaye.n unke kareeb aane ke baad
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #92 on: June 25, 2006, 10:18:04 AM » |
|
ghaavo se ab mera yaarana sa lagta hai kabhi the ye gairo k par inse ab dostana sa lagta hai
aacha hi hua jo ye hamare yaar ban gaaye warna sare duniya wale aaj hamre liye talwaar ban gaye
kya hua jo humne apni duniya inke sath basa li mein ghaav hun to ye nasoor hain dono ne dosti ki marham laga li
ab na jaane kyun duniya wale hamse jalte hain kya pata in ghaavo ko dekhkar log kyun karwate badalte hain
hume to koi aitraaz nahi hai inki dosti se ye to bhale hi hain uss do pal ki khushi se
tum bhi kabhi hame koi tohfa pyara sa de do agar bura na mano to ek ghaav purana sa de do
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #93 on: June 26, 2006, 03:23:16 AM » |
|
kab tak hum apne zakhmo ko yun chhipa ke rakhenge yeh ghav ek din khud apna raaz khol ho denge
jindagi jeene ke liye kuch toh sabab chahiye hazur yeh dard hi ab mere jeene ka sahara banenge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #94 on: June 26, 2006, 09:29:47 AM » |
|
jab kabhi tere jane ka ehsaas mujhe hota hai na jaane kyun ye dil mera kyun roota hai bahut samjhaya ki reith ko hath me nahi bandh sakoge lekin ye pagal toh reith me milne ki baatein karta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #95 on: June 26, 2006, 10:29:53 AM » |
|
reit ko haath mein pakdane se kya fayada ek lahar aayi toh kuch fir bachega nahi dil ko smajhana thaa aapne ki yeh ghav hai mohabbat ka jo waqt ke saath dhalega nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #96 on: June 26, 2006, 01:03:02 PM » |
|
sehar ki talash mein na jaane kitne sehraon ko dekh liya par ye sehar na mila bas zehar hi milta gaya
humne har ghadi unko apna bana ke dekha wo to mera na hua par gumo.n se rishta ban gaya
aaj wahi sehran mera naam pukarta sa lagta hai mein bhi hun hairan kyun wo itna mujhe pyara sa lagta hai
sehar to ab mujhe naseeb na hogi kabhi agar ho saka to mere dilbar to raat tere aagosh me bitegi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #97 on: June 27, 2006, 01:29:48 PM » |
|
tujhse juda ho karake zamaane ne ek sitam hum per kar diya ek gum ek dard ka sila jindagi bhar ke liye hamare naam kar diya
kiya thaa hamne toh sirf ishqe hi unse ek baar jindagi mein unke naam ke soo afasaano ke zikar sabne hamare naam se likh diya
mere masoom dil ko sata ke zamaane ko kya mila ek ghav bana ke meri jindagi mein ,bas naam usne mohabbat likh diya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #98 on: July 03, 2006, 05:02:54 PM » |
|
mere khayalato.n ko abhi tumhe samjhna baki baki hai sab kuch suljha hua hai bas ek pyari si nigah baki hai hume koi ilm nahi apni barbadi ka aey dost bas tis rahegi ki dil tere naam ka khanjar ab bhi baki hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #99 on: July 04, 2006, 03:16:15 AM » |
|
jaane kaise khushi ke waqt jaldi dhal gaya ek pal mein tu aur tera nazriya badal gaya
yun hi tere khayalo mein duba mera waqt kab nikal gaya raha intazaar mujhe tere nazar ke badalne ka hamesha aur mera dard isi intazaar mein ek daag ban ke dil mein jam gaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #100 on: July 05, 2006, 05:47:07 PM » |
|
jis raaste par tapta suraj sari raat nahi dhalta ishq ki aisi raah guzar ko hamne chuna hai sine mein(n/m0
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #101 on: July 06, 2006, 03:57:49 AM » |
|
zindagi ,mein kuch zakham muskara ke mila karte hain hum is baat ka,is dard ka kab kisi se gilla karte hain
aati nahi hai neend aaj kal raato mein tanha hamko aaj kal hum taaro ke saath shubah tak jala karte hain
kabhi dekha jo aaina toh preshaan se hum khud ho gaye kasur aaeine ka nahi hai ismein akas apne hi dhala karte hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #102 on: July 08, 2006, 06:09:17 PM » |
|
guzre hue zamano ki ek fariyad baki hai mere seene mein kuch khayalat baki hai har lamha beeta kuch iss kadar zindagi ka ki ab jism ki gehraion mein rooh ka sirf naam baki hai
samandar ki lehro.n mein doob k dekha hai har lehar har boond ko samet k dekh liya unme ab kahan wo rawani baki hai har jagah behti hui ek kahaani baki hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #103 on: July 09, 2006, 02:09:08 AM » |
|
pal pal ab jeene ki chahat mein mar ke dekhte hain chalo aaj zindagi ko yun jee ke dekhte hain
suna hai ki pyaar ki raha mein na koi manzil hai na rasta aaj is raha ke tufaano se hum bhi nikal kar dekhate hain
milta hai unhi ko moti is duniya ke sagar mein jo yahan gehre samander mein utar kar doondate hain
suna hai rooh per ghav de jaati hai raahen mohabbat ki chalo aaj is ghav ka dard hum bhi le kar dekhte hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #104 on: July 10, 2006, 06:21:54 PM » |
|
hasrat baki thi gum uthane ki iltija puri ho gayi aaj zamane ki dekh liya hai apni barbadi ka sabaab humne ab toh bas khwahish hai mitti mein mil jaane ki
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|