saahil ki tadap

by salil2002 on September 28, 2008, 08:32:21 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2111 times)
salil2002
Guest
har saans mein hai chhupi huyi koi awaz
har saans kii aahat ko koi kya jaane
in aankhon main bas jagah hai toh nami kii
in aankhon k soonepan ko koi kya jaane
mitaya ja nahi sakta woh beeta hua kal
oon yaadon kii chubhan ko koi kya jaane
shor karta rehta hai samandar door reh kar bhi
'Saahil' ki tadap ko koi kya jaane
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main Saahil Pey Likhee Howee Koi Ibaarat Nahee by muneeb in Shayri-E-Dard
saahil pe samundar by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Saahil Ne Abhitak Ye ..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Tadap rahi hun main tadap raha hai tu jabse by deepika_divya in Shayri-E-Dard
Saahil~~ Saahil by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: September 28, 2008, 08:49:18 AM »
 Applause Applause
bahoot khoob salil ji
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2008, 08:54:32 AM »
shukriya
kii sunate hai darde dil
aur log daad dete hai
mere har aansu se log
ittefaaq rakhte hain
hai shayad dil inka bhi toota hua
nahin toh jahan mein kise yaad rakhte hain
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: September 28, 2008, 09:01:01 AM »
nice again salil

naye shayar, naye ashar par dard purana raha,
daad bhi lage chot si, khoob ye fasana raha,
kuch to baat hai salil tujhme, suna hai,
teri mahfilon me diljalon ka aana jana raha,
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 28, 2008, 11:06:22 AM »
har saans mein hai chhupi huyi koi awaz
har saans kii aahat ko koi kya jaane
in aankhon main bas jagah hai toh nami kii
in aankhon k soonepan ko koi kya jaane
mitaya ja nahi sakta woh beeta hua kal
oon yaadon kii chubhan ko koi kya jaane
shor karta rehta hai samandar door reh kar bhi
'Saahil' ki tadap ko koi kya jaane


shukriya
kii sunate hai darde dil
aur log daad dete hai
mere har aansu se log
ittefaaq rakhte hain
hai shayad dil inka bhi toota hua
nahin toh jahan mein kise yaad rakhte hain


Bohot Khoob Salil... Applause aaj bohot din baad nazar aaye aap
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2008, 11:08:45 AM »
nice again salil

naye shayar, naye ashar par dard purana raha,
daad bhi lage chot si, khoob ye fasana raha,
kuch to baat hai salil tujhme, suna hai,
teri mahfilon me diljalon ka aana jana raha,


Nice lines Sanjeev  Thumbs UP
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2008, 08:39:40 AM »
sanjeev and talat thnks for appreciating me
aur talat aap ius  baar kuch likh ka nahin gaye[:x]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2008, 08:51:13 AM »
har saans mein hai chhupi huyi koi awaz
har saans kii aahat ko koi kya jaane
in aankhon main bas jagah hai toh nami kii
in aankhon k soonepan ko koi kya jaane
mitaya ja nahi sakta woh beeta hua kal
oon yaadon kii chubhan ko koi kya jaane
shor karta rehta hai samandar door reh kar bhi
'Saahil' ki tadap ko koi kya jaane



shukriya
kii sunate hai darde dil
aur log daad dete hai
mere har aansu se log
ittefaaq rakhte hain
hai shayad dil inka bhi toota hua
nahin toh jahan mein kise yaad rakhte hain



Salil ji,
sahi kaha aapne...

Dard mein bhi daad milne lagti hai, lekin dard ko itni bakhubi bayaan karne ka fann bhi har kisi ko naseeb nahin hota..
Bahut khoobsurat andaaz mein aapne apne dard ko bayaan kiya hai..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2008, 08:52:21 AM »
nice again salil

naye shayar, naye ashar par dard purana raha,
daad bhi lage chot si, khoob ye fasana raha,
kuch to baat hai salil tujhme, suna hai,
teri mahfilon me diljalon ka aana jana raha,


Kya khoob kaha aapne.. Bahut laa-jawaab.. Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: October 02, 2008, 01:21:59 PM »
Muskurahat main chupe ghum koi kya jaane,
Palkon ki larzishain koi kya pehchaane,
Kanpte haathon main thaami hui ye yaadain,
Har qadam deti hain saath, koi kya maane !!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: October 02, 2008, 03:10:10 PM »
kya baat hai talat aap sach main lajawaab ho
hats off to u
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: October 02, 2008, 03:39:31 PM »
har saans mein hai chhupi huyi koi awaz
har saans kii aahat ko koi kya jaane
in aankhon main bas jagah hai toh nami kii
in aankhon k soonepan ko koi kya jaane
mitaya ja nahi sakta woh beeta hua kal
oon yaadon kii chubhan ko koi kya jaane
shor karta rehta hai samandar door reh kar bhi
'Saahil' ki tadap ko koi kya jaane


Bahut khoob
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: October 02, 2008, 03:44:48 PM »
shukriya roza ji

kii chup reh kar saahil ne ehsaan kiya hai
  magar na jaane lehron ne kaise dard ko pehchaan liya hai
woh daud kar aati hai simatne ko meri baahon mein
  magar rooh ne bhi kya kissii ko kabhi thaam liya hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: October 02, 2008, 04:26:08 PM »
shukriya roza ji

kii chup reh kar saahil ne ehsaan kiya hai
  magar na jaane lehron ne kaise dard ko pehchaan liya hai
woh daud kar aati hai simatne ko meri baahon mein
  magar rooh ne bhi kya kissii ko kabhi thaam liya hai

Good 1 again Salil ji.... Keep flowing
 
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: October 02, 2008, 05:33:27 PM »
wah re shahil bahut khoob hai tera haal
teri ye tarap kar degi tujhe behaal  Applause

Itna soonapan jhalakti hai in aankhon mein
Kis qadar toota hai ye dil koi kya jaane
Rah rah kar uthti hai dard seene mein
Kitni tarap hai yahan usse koi kya jaane
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:51:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer