saahil kii talaash

by salil2002 on October 05, 2008, 07:48:32 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3541 times)
salil2002
Guest
jaane kahaan ja raha hoon main
jaane kyun chala ja raha hoon main
tu hai is jahan main toh dhoond loonga
ab tere bin rahoon to kaise rahoon main

is kadar viraan kar gayi hai tu duniya meri
kii har raat ek jashn hai maut kii
haar chuki hai jindagi maut se zaddo-zahed
phir bhi saansein yeh kyun nahin tham rahi

talaashoonga tujhe har jagah har rut main
dhoondoonga tujhe har taraf har but main
tu chhuda kar haath kyun chali gayi
kya tu ek parchhayi thi jo andheron main kho gayi

kari maine kya khata ye toh bata jaate
wafa main agar kucch kami thi toh keh jaate
yun jaane se pahle kucch toh khayal kar lete
kya main ji paunga ho kar zuda khud se ye sawaal kar lete

saahil k paas hai to neer bahut sa
magar jaane kyun bujhte nahin yeh pyaas hai
kii har lehar ke saath bheja hai maine paigaam
kii "Saahil" ko teri talaash hai........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
talaash by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
TALAASH by romiAhmed in Miscellaneous Shayri
ek talaash by isha_verma7 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
saahil ki talaash mein by saahill in Shayri-E-Dard
SAAHIL KI TALAASH by saahill in Shayri-E-Dard
angel4u
Guest
«Reply #1 on: October 05, 2008, 08:09:59 AM »
Bahut khoobsurat..

Saahilon pe baith ke aaj bhi tera intezaar karte hia sanam,
ke jaane kis oor se teri muskurahat ki leher aa jaye,
tera jaana tha samundaron ki behekti hui aagosh mein,
ab kaise us bebaak samundar mein tujhe dhooda jaaye...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: October 05, 2008, 08:13:30 AM »
Bahut khoobsurat..

Saahilon pe baith ke aaj bhi tera intezaar karte hia sanam,
ke jaane kis oor se teri muskurahat ki leher aa jaye,
tera jaana tha samundaron ki behekti hui aagosh mein,
ab kaise us bebaak samundar mein tujhe dhooda jaaye...

kya baat hai angel ji

kii na pukaaro mujhe andheron ujalon main
main tumhaari awaaz ab sun nahin sakta
main chahta hoon kii aa kar tujhe aagosh main bhar loon
par main apni yeh hasrat ab poori kar nahin sakta
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 05, 2008, 10:41:05 AM »
Nice One,.
Salil Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: October 05, 2008, 10:47:06 AM »
Doob Kar Bhi Aabaad Rahega Tu, Mohabbat Ke Safar Mein,.
Saahil Ki Talaash Na Kar Aye Dost, Kinaare Ke Liye,.

_____________________________-Azeem-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: October 05, 2008, 01:41:35 PM »
kya baat hai janasheen bhai aap jabbhi aate ho chha jaate ho
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: October 05, 2008, 02:27:43 PM »
Shukriya,.
Waise Aap Bhi Kamaal ka Likhte Ho,.
Yunhi Likhte Rahiye,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: October 05, 2008, 02:31:22 PM »
Samander Me Le Jaake Dhoka Na Dena,.
Tu Kahe To "Aye Dost Main Kinaare Pe Hi Doob Jaaoon,.

__________________________________-Jaanasheen-
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: October 05, 2008, 02:32:49 PM »
Salil jii ne sahi kaha Jaanasheen bhaiya ... aap chaa gaye hai.
Nice lines  Thumbs UP
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 05, 2008, 02:45:49 PM »
Samander Se Jab Koi Waasta Rakhna,.
Zameen Pe Bhi Dost Tu Koi, Raasta Rakhna,.

Kya Paata Samander Mohabbat Ka Kab Nikaal Phenke,.

________________________________-Jaanasheen-
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: October 05, 2008, 02:47:50 PM »
Samander Se Jab Koi Waasta Rakhna,.
Zameen Pe Bhi Dost Tu Koi, Raasta Rakhna,.

Kya Paata Samander Mohabbat Ka Kab Nikaal Phenke,.

________________________________-Jaanasheen-

wah wah very good lines Jaanasheen jii
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: October 06, 2008, 02:39:19 AM »
kya baat hai angel ji

kii na pukaaro mujhe andheron ujalon main
main tumhaari awaaz ab sun nahin sakta
main chahta hoon kii aa kar tujhe aagosh main bhar loon
par main apni yeh hasrat ab poori kar nahin sakta

Bahut khoob....

andheron me khoke shayad tune ye na jaana jaan-e-wafa,
tere bin ab udaas ye haseen se ujaale hone lage hai,
teri chahaton ki shamma ab tak jalaye baithe hai,
usi ki lau se apni zindagi ke motiyon ko pirone lage hai...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: October 06, 2008, 10:31:43 AM »
Bahut khoob....

andheron me khoke shayad tune ye na jaana jaan-e-wafa,
tere bin ab udaas ye haseen se ujaale hone lage hai,
teri chahaton ki shamma ab tak jalaye baithe hai,
usi ki lau se apni zindagi ke motiyon ko pirone lage hai...
kya baat hai angel ji bahut khoobsurat khayalat hai
.....janasheen bhai kii toh tareef hi kam hai hats off to u
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: October 06, 2008, 11:03:50 AM »
Kinaarah chaahiye kis ko ? Woh hain safeeny mein!
Kyoun na yeh bahr-e-zeest yoon hi lahartaa jaaye?

                              - abd bundeli
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 06, 2008, 12:11:32 PM »
Shukriya Sonia Sis,.
Salil Ji,,.
And Nice One Husnaina Sis,.
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:24:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer